Thursday, December 7, 2017

Aurato ko nasihate

Aurto ko nasihate 


[15/09, 8:42 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

     *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.01_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*✿ Aurato Ka Jadid (Modern) Tarike Par Baal Katwana Kesa Hai ???✿*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Aurto Ka Baal Katwana Sakht Mana Hai.
Baal Khwatin Ki Zeenat V Husn Ka Zariya Hai. Is Liye Aurto Ka Baal Katne Or Mard Ki Musabahat Hoti Hai Or Mardo Se Musabahat Ikhtiyar  Karne Se Rasulallah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Mana Farmaya.

*Kitabul Masail*

Agar Shohar Aurat K Baal Faishion Ke Tour Par Katwaye To Ye Sakht Gunah Hai.
Or Haram Hai Or Gunah Ke Kaam Me Shohar Ki Ita'At Nahi Ki Jayegi.

*Khwatin Ke Fiqahi Masail 2-28 ,*
*Fatawa Rahimiyah 120-10*
*Durre Mukhtar Shami 58-39.*

Aurto Ka Sar Mundwana , Baal Katwana Haram Hai Hadis Me La'Anat Aai Hai.

*Fatawa Rahimiyah 120-10*

Aurto Ka Bagair Uzar Ke Baal Katna Jaiz Nahi.
Baal Katne Ka Gunah Hoga.

*Aap K Masail Or Unka Hal 137-7.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[16/09, 10:05 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

     *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.02_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*✿Aurato Ka Itar Lagana Kaisa Hai.✿*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

❀ Aurat Agar Apne Shohar Ya Mahram Ke Sath Ho To Itar Laga Sakti Hai.

❀ Agar Gair Marham Ke Darmiyan Ho Ya Ghar Se Bahar Safar Par Ho To Allah K Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ne Use Itar Lagane Se Mana Farmaya Hai,Isliye Is Se Bachna Chahiye.

❀ Aaj K Is Fitne Fasad Ke Zamane Me To Or Bhi Is Se Bachna Chahiye.

*📔Kitabul Fatawa 73-6.*
*📔Abu Dawud Sharif 560.*

❀Jo Bhi Aurat Khushbu Laga Kar Ban Sanvar Kar Mardo Ke Paas Se Guzre Taake Log Uski Khushbu Sunge To Wo Aurat Esi Hai Jese Zina Karanewali (Zaniya) Hai.

*📔 Ibne Maja Sharif*
*📔 Mishkat Sharif-375.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[18/09, 5:06 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

   *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.03_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*✿ Aurto Ka Beauty Parlour Me Make Up Karana Kaisa Hai..??*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

❀ Aurto Ka Beauty Parlour Me Jakar Munh Dhulwana Or Makeup Karwana Mardo Ke Paas Shar'An Najaiz Or Haram Hai.

❀ Or Agar Aurat Ho To Isme Ye Baat Hai ,
Beauty Parlour Me Jakar Naye Naye Fashion Or Naye Naye Tarike Se Chehro Par Or Baalo Me Fashion Ki Jati Hai,Isse Kudrati Husn Khatam Ho Jata Hai,Jis Se Bahot Nuksaan Hai.

❀ Or Dusra Nuksaan Ye Hai Ke Beauty Parlour Me Jo Aurte Makeup Karti Hai Wo Aksar Benamazi, Beparda , Aazad Khyal Allah Ke Ahkam Ke Baagi Or Rasulallah Sallallahu Alayhi Wasallam Ko Naraz Karnewali Hoti Hai.

Unse Makeup Karane Se Unke Asrat Hamare Andar Muntakil Hote Hai {Yani Ho Sakte Hai}.

*📔 Khwatin K Fiqahi Masail*
*📔 Aap K Masail Or Unka Hal 131-7*
*📔 Tosha'E Momin 177*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[20/09, 5:06 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.04_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*✿ Aurat Ka Lip-Stick , Nail Polish Lagana Kaisa Hai...??*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Lip-Stick Or Nail Polish Lagane Se Namaz Nahi Hoti Hai,
Isliye Ke Ye Dono Chize Lagane Se Uzv {Badan Ke Hisse} Par Jam Jati Hai,

Jis Se Vuzu Ka Paani Andar Tak (Badan Tak) Nahi Pahonchta Or Zahir Hai,

Ke Uzu Me Kisi Bhi Hisse Par Paani Na Pahonche To Wo Vuzu Durust Nahi Hota,

Or Vuzu Nahi Hoga To Namaz Nahi Hogi.

📔 *Kitabul Fatawa 81/6*

📔 *Fatawa Aalamgiri 4/1*

📔 *Aap Ke Masail Or Unka Hal 137/7*

📔 *Tosha'E Momin 177*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[22/09, 5:00 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.05_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*✿ Aurto Ka Eye Bro Karana Kaisa Hai...?*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Aaj Kal Aurte Bhaven
(Eye Bro) Ko Khubsurat Banane Ke Liye Eye Bro Ke Aas Paas Se Chand Baal Kaat Deti Hai.

Jis Se Gol Barik Lakire Ban Jati Hai. To Esa Karna Shar'An Jaiz Nahi.

Kyun Ke Ye Jism Allah Ki Amanat Hai.

Jisme Kisi Sharai Or Fitri Zarurat Ke Bagair Apni Taraf Se Tabdili Karna Durust Nahi Hai.

Isi Wajah Se Huzoor {Rasool Sallallahu Alaihivasallam} Ne Khubsurati Ke Liye Daanto Ke Darmiyan Jagah Rakhne Ko Or Jism Ko Gudne Ya Gudwane K9 Na-Jaiz ,Mujibe La'Anat Or Allah Ta'Aala Ki Khilkat Me Tagayyur (Tabdili) Karar Diya Hai.

📔 *Hadya E Khwatin 223*

📔 *Abu Dawud Sharif 574*

📔 *Bukhari Sharif 878/2*

📔 *Aap K Masail Or Unka Hal 127/7*

📔 *Tosha'E Momin 178*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[24/09, 6:35 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.06_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*✿ Mard Or Aurat Ka Siyah Khizab {Black Hair Dai} Ka Lagana Kaisa Hai..?*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Aurto Ka Baal Kaale Karwana Iski Hadees Paak Me Sakht Vaeed Aai Hai.

Mashur Muhaddis Tabrani Ne Hazrat Abu Darda Radiallahu Ta'Aala Anhu K Hawale Se Hadis Naqal Ki Hai Ke  Huzur Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ka Irshad Hai Ke Jo Siyah  Khizab Istemal Karega ,
Qayamat Ke Din Uske Chehro Ko Siyah Kar Denge.

📔 *Tohfatul Ahvazi 355/5*

Siyah Khizab Ke Lagane Ke Bare Me Ye Hadis Bhi Aai He Ke Siyah Khizab Lagane Wala Jannat Ki Khusbhu Bhi Na Sung Sakega.

Is Liye Siyah Khizab Ka Istemal Makruhe Tehrimi Hai {Yaani Haraam Ke Kareeb}.

Lekin Ye Mumana'At Ese Khizab Ki Hai Jo Muqammal Tour Par Siyah Ho.

Agar Khizabi Siyahi Maael Ho Ya Muqammal Siyah Na Ho Or Koi Dusre Rang Ka Ho To Jaiz Hai.

Agar Chemical Mili Huvi Kaali Mahendi Baalo Ka Bilkul Siyah Kar Deti Hai To Uska Lagana Durust Nahi Hai..

📔 *Kitabul Fatawa 77/6.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[26/09, 7:01 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.07_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*✿ Aurto Ka Baalo Me Mahendi Lagane Ke Bareme*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Surkh {Laal,Red} Mahendi Lagana Bila Karahat Durust Hai.

Siyah Khizab Jisme Baalo Ki Siyahi Asli Siyahi Malum Ho Makruhe Tahrimi Hai.

📔 *Fatawa Mahmudiyah 456/19*

*✿ Ita'At Guzar Biwi K Liye Jannat*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Hazrat Umme Salma Radiallahu Ta'Aala Anha
Se Rivayat Hai Ke

Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya

Jo Aurat Is Haal Me Intekal Kar Jaye Ke Uska Shohar Usse Razi Ho To Wo Jannat Me Dakhil Hogi.

📔 *Tirmizi Sharif 219/1.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[28/09, 5:22 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.08_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*✿ Fashion Karne Wali Aurato Ke Baare Me Waeed-1.*
※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Ta'Aala Anhu Farmate Hai K
Rasulallah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Ke
Do Qism Ke Log Jahannami Hai, Jinhe Mene Nahi Dekha.

Unme Se Ek Wo Hai Jo Esi Aurte Hongi Jo Kapde Pahnne Ke Bawajud Nangi Hogi.

Dusro Ko Apni Taraf Maeel {Attract} Karegi Or Khud Dusro Ki Taraf Maeel Hogi.

Unke Sar Bukhti Unt Ki Kohan Ki Tarah Honge.

Esi Aurte Jannat Me Nahi Jayegi.
Or Na Hee Jannat Ki Khushbu Paa Sakegi.

Halan Ke Uski Khushbu Kai Mile Ki Duri Se Bhi Mehsus Hogi.

📔 *Muslim Sharif 205/2*

📔 *Mishkat Sharif 306*

📔 *Tosha'E Momin 180*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[01/10, 4:44 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.09_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*✿ Fashion Karne Wali Aurato Ke Baare Me Waeed-2.*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Aurto Ka Esa Libas Pahenna Jo Badan Ko Chupane Wala Na Ho,

Dusro Ko Apni Janib Maaeel Karna ,

Dusro Ki Janib Khud Bhi Maaeel Hona
Or Isi Tarah Faishion Karna Hai.

Sar Bilkul Bukhti Unt Ki Tarah Malum Hota Ho ,

Ye Tamaam Na-Jaiz Or Haram Hai.

Agar Koi Aurat Ise Halal Samjhegi To Deene Islam Se Kharij Ho Jayegi.

📔 *Sahih Muslim*

📔 *Musalman Aurat 81*

📔 *Tosha'E Momin 180*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[01/10, 9:35 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.10_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*✿ Aurat Kaisi Honi Chahiye..?*
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Ta'Aala Anhu Se Rivayat Hai K

Rasulallah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya
Konsi Aurat Acchi Hai.

To Aapne Irshad Farmaya Ke Jab Shohar Use Dekhe To Aurat Shohar Ko Khush Kar De.

Jab Use Kisi Kaam Ka Hukam De To Ita'At Kare

Or Apni Zaat Or Apne Maal Me Esa Tasarruf Na Kare Jisse Shohar Ku Pasand Na Ho.

📔 *Ibne Maja 133*

📔 *Mishkat 268*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[02/10, 10:03 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.11_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*✿ Aurat Ka Maqam Kya Hai..?*
※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※

Hazrat Umme Salma Radiallahu Ta'Aala Anha Se Rivayat Hai Ke

Rasulallah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya

Jis Aurat Ka Is Haal Me Intekal Ho Jaye Ke Uska Shohar Usse Razi Ho To Wo Jannat Me Dakhil Hogi.

📔 *Tirmizi Sharif 219/1.*

📔 *Mishkat Sharif 281.*
※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Ta'Aala Anhu Se Rivayat He K

Rasulallah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya K

Jo Aurat Paanch Waqt Ki Namaz Adaa Kare, Ramazan Ke Roze Rakhe Or Apni Sharmgah Ki Hifazat Kare Or Shohar Ki Ita'at Kare To Wo Jannat Ke Jis Darwaje Se Dakhil Hona Chahe Ho Sakegi.

*📔 Ibne Hibban 319/17*

*📔 Musalman Aurat 191*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[03/10, 11:32 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.12_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*_✿ Tera Shohar Ya To Teri Jannat Hai Ya Teri Jahannam._*
※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※

Hazrat Husain Bin Mohsin Radiallahu Ta'Aala Anhu Farmate Hai Ke Meri Phufi Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ke Paas Kisi Zarurat Ki Wajah Se Tashrif Le Gayi.

Jab Kaam Ho Gaya To Rasulallah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Ke Kya Tum Shohar Wali Ho,,?

To Meri Phufi Ne Kaha Ji Haan.

To Rasulallah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Ke Shohar Ki Ita'At Guzari Ke Mutallik Tumhara Kya Khayal Hai?

To Meri Phufi Ne Kaha Jitna Ho Sakta Hai Me Unki Khidmat Ko Acche Tarike Se Anjam Deti Hun

To Aapne Farmaya Ke
Yaad Rakh,
Tera Shohar Ya To Teri Jannat Hai Ya Teri Jahannam.

*📔 Musalman Aurat 192*

*📔 Tosha'E Momin 140*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[05/10, 9:12 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *_Aurato Ko Nasihat➪ Post No.13_*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*✿ Aurat Ki Khidmat Kaisi Honi Chahiye.???*
※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※

```Hazrat Abu Bakr Siddiq Radiallahu Ta'Aala Anhu Ki Pyari Beti Or Hazrat Zuber Radiallahu Ta'Aala Anhu Ki Biwi Hazrat Asma Radiallahu Ta'Aala Anha Khud Bayan Karti Hai Ke

Jab Mera Nikah Hua To Me Aanta {Jis Se Roti Banti Hai} Gundna Bhi Nahi Janti Thi.
Ansar Ki Aurte Mukhlis Thi.
Wo Mera Aanta Gund Diya Karti Thi.

Hazrat Zuber Ke Paas Na Zameen Thi Or Na Gulam , Nokar,Sirf Ek Untni Or Ghoda.

Unki Untni Ka Sara Kam Bazate Khud Hee Kiya Karti Thi.

Unki Untni Ke Liye Khajur Ki Guthliya Kut Kar Dana Ke Tour Par Deti Thi.
Or Madina Se Do Mil Dur Unke Liye Chara Lati Thi.

Yaha Tak Ke Hazrat Abu Bakr Siddiq Radiallahu Ta'Aala Anhu Ne Meri Khidmat Ke Liye Ek Gulam Bheja Or Mujhe Zimmedariyo Se Aazad Kiya.```

*📔Bukhari Sharif 245.*

*📔Musalman Aurat 209/2.*

*📔Tosha'E Momin 143.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[06/10, 5:02 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.14*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*_✿Aaj Ki Kuch Musalman Aurte Apne Shohar Ki Khidmat Se Mehrum Hai._*
※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※

Aaj Muslim Muaashra Aurat Ki Apne Shohar Ki Khidmat Ke Is Nek Jazbe Se Mehrum Banta Ja Raha Hai.Is Bina Par Aaj Hamari Halat Bahot Ziyadah Kharab Ho Rahi Hai.

Hamari Aurte Fashion Parasti Me Mubtala Hokar Aazadana Zindagi Guzar Rahi Hai.

Unhe Is Bat Ka Ehsas Tak Nahi Hai Ke Unke Shohar Apne Ahlo Ayal Ka Nafake {Naaz Nakhre} Ke Intezam Kis Tarah Kar Rahe Hai.

Libas , Shadi Wagairah Me Tabdeeli La Kar Apne Shohar Ki Kaafi Had Tak Madad Kar Sakti Hai,
Kyun Ke Wo Ghar Ki Malika Hai Ghar Ka Sara Nizam Uske Hath Me Hai,

Aurat Ki Zindagi Or Deendari Par Hee Khandan Ki Taraqi V Tanazzuli Ka Daromadar Hai

Lihaza Aurte Se Dili Guzarish Hai Ke Wo Apne Gharo Ko Misali {Misaal Wala}  Banane Ki Koshish Kare.

*Allah Ta'Aala Aurto Ko Doulate Imaani Se Navaz Kar Nek Hidayat Ataa Farmaye Aameen.*

*📔Tosh'E Momin 143.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖

※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※
ASR KE NAMAZ KE FORAN BAAD APNI JAGAH PAR BETHE HUWE.

(ALLAHUMMA SALLI ALAA MUHAMMADI NIN NABIYYIL UMMIYYI WA ALAA AALIHI WA SALLIM TSLEEMA)

80  MARTABA PADHE INSHAALLAH 80 SAAL KI IBADAT KAA SAWAB MILEGA 80  SAAL KE
 GUNAAH MAAF HONGE.

  📔ʀєғєʀєռcє: Tabrani.
※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※
[08/10, 8:57 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.15*
 ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*_✿ Behnoi Sali Ke Liye Mehram Nahi Hai_*
※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※※

Behnoi Sali Ke Liye Mehram Nahi Hai,
Mehram Ese Logo Ko Kaha Jata Hai Jiske Saath Nikah Hamesha Ke Liye Haram Ho.
Haalan Ke Behnoi Ke Sath Saali Ka Nikah Bahen Jab Tak Uske Nikah Me Tab Tak Hee Haram Hai,

Jo Behnoi Behan Ko Talak De De Or Uski Iddat Puri Ho Jaye Ya Behan Ka Intekal Ho Jaye To Behnoi Ke Sath Saali Ka Nikah Haram Nahi Hai Or Wo Apni Saali Ke Sath Nikah Kar Sakta Hai,

Is Wajah Se Saali Or Behnoi Ka Aapas Me Mazak Karna Or Parde Ke Bina Saamne Aana Shariat Ke Hisaab Se Mamnu'A {Mana} Or Haram Hai.

Hamara Samaj Me Ye Shariat Ke Hukm Ko Todte Hai Or Naqadri Karte Hai,
Jiski Kharabiya Or Buraiya Hamko Barbar Dikhne Hee Milti Hai,

Jisse Is Masle Ko Dhyan Dene Ki Bhahut Jarurat Hai.

*📔Fathul Qadir 2/426*

*📔Fatawa Mahmudiyah 17/49*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[09/10, 8:40 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.16*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*_✿ Islam Ne Aurato Kya Maqaam Diya Hai-1_*

Pyare Aaqa Janabe Muhammad Rasool Sallallahu Alaihivasallam Par Qurban Jaiye Jinhone Insaniyat Ko Allah Ke Huqooq Ki Adaygi Ka Sabak Diya Or Bando Ke Huqooq Ki Tafseel Samjhai Or Tahaffuze Insaniyat Ke Kavanin {Qanoon} Banaye Aurto Par Hone wale Zulme Kabahat V Shanaat Se Aagah Kiya.

Pyare Aaqa Janabe Muhammad Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ne To Behano Ke Huqooq Ki Adaigi Ki Bhi Takid Farmai Or Us Shakhs Ko Bahetareen Insaan Karar Diya Jo Aurto Ke Sath Umda Akhlaq Se Pesh Aaye.

Acche Suluk Ka Muaamla Kare Or Unki Khatao Se Darguzar Kare {Yaani Galati Ko Maaf Kare}.

In Sab Talimat Ka Natija Ye Hua Ke Mard V Aurat,,Validain V Aulad Or Bhai Behan Ke Darmiyan Talluqat Bahot Ziyada Mazboot Ban Gaye,

Islam Ne Aurat Ke Tamam Ikharajat (Khana Pina Rehna) Ki Zimedari Mard Par Aaeed Kar Ke (Dalkar) Aurto Ko Ghar Ki Malika Or Rani Bana Diya Or Malika Mahal Ki Zeenat Hoti Hai,Na Ke Hotelo Ki,Baazaro Ki,Guzargaho Ki.

Is Liye Aurat Ko Ye Hargiz Zaib Nahi Deta Ke Bila Zarurat Bahar Nikle.Hotelo Or Bazaro Ki Zeenat Me Izafa Kare.

Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ne Farmaya 'Al Mar'Atu Avratun'( Tirmizi) Aurat Parde Ki Chiz Hai.

Is Liye Use Apne Parde Ko Apne Liye Shiaar Banana Chahiye.

Uski Bhalai Usi Me Hai Ke Wo Iffat V Paakdamani Ki Zindagi Guzare Or Shohar Par Zaruri Hai Ke Wo Apni Biwi Ke Jaiz Zarurat Puri Kare Or Biwi Ke Liye Zaruri Hai Ke Wo Apne Shohar Ki Rahat Rasani Ke Liye Puri Puri Koshish Kare.

*📔Tosha'E Momin 136*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[10/10, 12:42 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.17*
 ╰••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••╯

*_✿ Islam Ne Aurato Kya Maqaam Diya Hai-2_*

Islam Ne Aurat Ko Izzat V Sharafat Ka Aala Maqam Diya Hai,

Aurat Ko Zamana E Zahiliyat Me Niche Ke Darje Ki Chiz Samja Jata Tha.
Lekin Mazhabe Islam Ne Use Sharafat Ka Tamga Ataa Kiya Hai,

Islam Ne Maa Ki Ita'At V Farmabardari Par Jannat Ka Vaada Kiya Or Kaha Ke Maa Ke Qadmo Ke Tale Jannat Hai.

*📔Tosha'E Momin 137*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[12/10, 2:45 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.18*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*✿ Ek Maa Ki Duaa Kya Rang Laayi Padhna Jarur*

Hazrat Baqi Bin Mukhallad Rahmatullahi Alayhi Undalus (Spain)  Ke Mashur Muhaddis The.Wo Bade Darje Ke Muhaddis Hone Ke Saath Bhahut Ibadat Karnewale Buzurg The.

Ek Bar Unke Paas Ek Aurat Aayi Or Kehne Lagi Ke Mere Bacche Ko Firangio Ne Qaid Kar Liya Hai,Unki Wajah Se Meri Raato Ki Neend Ud Gayi Hai,Mera Ek Chota Sa Ghar Hai.

Me Chahti Hun Ke Usko Bech Ke Mere Bete Ka Fidya Adaa Karo Or Usko Qaid Se Aazad Karo,
Tum Kisi Ko Keh Do Ke Mera Ghar Ko Kharid Le Kyun Ke Mere Dil Ki Shanti Or Raato Ki Neend Vida Ho Chuki Hai.

Hazrat Baqi Bin Mukhallad Rahmatullahi Alayhi Ne Uski Fariyad Sunli Or Kaha Ke Jaa Me Tere Mamle Me Sochunga.

Isi Ke Sath Wo Aurat Sar Zuka Ke Beth Gayi Or Bacche Ki Aazadi Ke Liye Duaaye Karti Rahi.

Is Vaakiaah Ko Koi Lamba Waqt Na Gujra Tha Ke Wohi Aurat Vapas Aayi Is Baar Uske Sath Uska Ladka Bhi  Tha Or Kehne Lagi.

Zara Usse Suno Ke Uske Sath Kya Mamla Huaa Tha. 

Hazrat Baqi Bin Mukhallad Rahmatullahi Alayhi Ne Pucha To Kehne Laga

Mujhko Un Qaidi Me Shamil Kiya Gaya Jinko Bedio Se Pakad Ke Badshah Ke Khidmat Me Laya Jata.

Ek Din MujhKo Kahe Gaye Kaam Se  Le Jaya Ja Raha Tha Ke Achanak Se Pair Ki Sankan Chalte Chalte Gir Gayi.Mere Paas Jo Sipahi Tha Wo Mujhko Galiya Bolne Laga Ke Kyu Nikal Diya Vagairah Vagairah.

Luhar( Sankan Bananewale Ko) Bula Ke  Fir Se Pahenaya Or Majbut Khile Acchi Tarah Dal Diya Gaya.Uske Bawajud Me Uth Ke Chalne Laga To Sankan Tut Ke Niche Gir Gayi.

Unhone Fir Bandhi Lekin Jab Chala To Fir Gir Gayi.

Wo Log Bhahut Hairaan Ho Gaye Or Apne Padrio Se Wajah  Pucha To Kaha Ke Kya Uski Maa Jinda Hai?

Mene Kaha : Haan Meri Maa Zinda Hai,

Unhone Kaha Mujhe Lagta Hai Ke Uski Maa Ki Duaa Qubul Ho Gayi Hai,

Fir Padrio Ne Sipahi Ko Kaha Ke Ab Unko Chor Diya Jaye .Sipahio Ne Mujhe Chor Diya Or Me Islami Shaher Me Pahonch Gaya.

Hazrat Baqi Bin Mukhallad Rahmatullahi Alayhi Ne Sankan Gir Jane Ka Waqt Pucha To To Thik Wahi Waqt Nikla Jis Waqt Uski Maa Ne Uske Azaad Hone Ki Duaa Ki Thi.

📔 *Islami waqiyat 241 Se 243*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[13/10, 4:10 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.19*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

✿ *Nek Aurat Ka Faidah Kab Tak.???*

Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ne Irshad Farmaya Ke,

Duniya Ki Sari Chize Kuch Waqt Ke Liye Faidah Denewali Hai,

Or Duniya Ki Behtarin Faidah Uthanewali Chiz Nek Aurat Hai,

Kyun Ke Nek Aurat Ka Faidah Paayedar Or Hamesha Rehnewala Hai..

📔 *Muslim Sharif*

🍀 *Note-Aaj Jumaa Hai Darood Sharif Khoob Padhiye Chalte Firte Har waqt*


*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[16/10, 6:24 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.20*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

✿ *Waqia Maa Ki Tarbiyat Ka-1*

Imaam Gazali Rahmatullahi Alayhi Deen Ke Bahot Bade Aalim Or Allah Ke Vali The.,
Unki Zindagi Ko Aap Dekhiye Unke Piche Unki Maa Ka Kirdar Nazar Aayega.

Muhammad Gazali Rahmatullahi Alayhi Or Ahmad Gazali Rahmatullahi Alayhi Do Bhai The.,

Ye Apne Ladakpan Ke Zamane Me Yateem Ho Gaye The,.

In Dono Ki Tarbiyat Unki Maa Ne Ki.,
Unke Bareme Ek Ajeeb Bat Likhi Hai Ke Maa Unki Itni Acchi Tarbiyat Karnewali Thi Ke Wo Unko Neki Par Lai Yahan Tak Ke Aalim Ban Gaye.

Magar Dono Bhaiyo Ki Tarbiat Me Fark Tha.

Imam Gazali Rahmatullahi Alayhi Apne Waqt Ke Bade Vaaiz Or Khatib The Or Masjid Me Namaz Padhte The.

Unke Bhai Aalim Bhi The Or Nek Bhi Lakin Wo Masjid Me Namaz Padhne Ke Bajaye Apni Alag Namaz Padh Liya Karte The.

*📣 Baaki Waqia Next part Me Insha Allahu Ta'ala📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[17/10, 5:24 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.21*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

✿ *Waqia Maa Ki Tarbiyat Ka-2*

Ek Martaba Imam Gazali Rahmatullahi Alayhi Ne Apni Walidah Se Kaha Ammi !

Log Mujh Par Aiteraz Karte Hai Ke Tu Itna Bada Khatib Or Vaaiz Hai,
Or Masjid Ka Imaam Bhi Hai Magar Tera Bhai Tere Piche Namaz Nahi Padhta.

Ammi Aap Bhai Se Kahiye Ke Wo Mere Piche Namaz Padha Kare.

Maa Ne Bulakar Nasihat Ki,
Chunanche Agli Namaz Ka Waqt Aaya To Imam Gazali Rahmatullahi Alayhi Namaz Padhane Lage.

Or Unke Bhai Ne Piche Niyat Bandh Li.,
Lekin Ajeeb Baat Hai Ke Ek Rakat Padhne Ke Baad Jab Dusri Rakat Shuru Hui To Unke Bhai Ne Namaz Todi.

Or Jama'At Se Bahar Nikal Aaye.

Jab Imam Gazali Rahmatullahi Alayhi Ne Namaz Mukammal Ki Unko Badi (Rusvai) Mehsoos Hui.

Wo Bahot Ziyadah Pareshan Hue Or Magmum Dil Ke Sath Ghar Wapas Laute.

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[18/10, 7:08 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.22*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

✿ *Waqia Maa Ki Tarbiyat Ka-3*

Maa Ne Pucha ! Bade Pareshan Nazar Aate Ho ! Kehne Lage Ammi!

Bhai Na Jata To Behtar Rehta.

Ye Gaya Or Ek Rakat Padhne Ke Baad Dusri Rakat Me Wapas Aa Gaya Or Usne Aakar Alag Namaz Padhi.

Maa Ne Usko Bulakar Pucha!

Beta Aisa Kyu Kiya?

Chota Bhai Kehne Laga Ammi!

Me Unke Piche Namaz Padhne Laga ,
Pehli Rakat To Unhone Thik Padhai Magar Dusri Rakat Me Allah Ki Taraf Dhyan Ke Bajaye Unka Dhyan Kisi Or Jagah Tha Is Liye Mene Unke Piche Namaz Chor Di Or Aakar Alag Namaz Padh Li.

*📣 Baaki Waqia Next part Me Insha Allahu Ta'ala📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[18/10, 4:23 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.23*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

✿ *Waqia Maa Ki Tarbiyat Ka-4*

Maa Ne Imam Gazali Rahmatullahi Alayhi Se Pucha Ke Kya Baat Hai ??

Kehne Lage Ke Ammi!
Bilkul Baat Thik Hai Me Namaz Se Pehle Ek Fiqah Ki Kitaab Padh Raha Tha Or Nifas Ke Kuch Masail The,

Jin Par Gouro Khouz (Soch Vichar) Kar Raha Tha, Jab Namaz Shuru Hui To Pehli Rakat Meri Tavajjoh Illallah Me Guzri ,

Lekin Dusri Rakat Me Wohi Nifas Ke Masail Mere Zahan Me Aane Lag Gaye,

Unme Thodi Der Ke Liye Zahan Dusri Taraf Mutavajjeh Ho Gaya Is Liye Mujhse Ye Galti Hui.

Maa Ne Us Waqt Thandi Saans Li Or Kaha: Afsos Hai Ke Tum Dono Me Se Koi Bhi Mere Kaam Ka Na Bana.

Is Jawab Ko Jab Suna Dono Bhai Pareshan Hue.

Imaam Gazali Rahmatullahi Alayhi Ne To Maafi Mang Li.,

Ammi !Mujhse Galti Hui Mujhe Esa Nahi Karna Chahiye Tha.

Magar Dusra Bhai Puchne Laga Ammi!
Mujhe Kashf Huva Tha Us Kashf Ki Wajah Se Mein Ne Namaz Tod Di To Me Aap Ke Kaam Ka Kyun Na Bana?

Maa Ne Jawab Diya Ke

"Tum Me Se Ek Nifas Ke Masail Khada Soch Raha Tha , Or Dusra Piche Khada Uske Dil Ko Dekh Raha Tha.

Tum Dono Me Se Allah Ki Taraf To Ek Bhi Mutavajjeh Nahi Tha.
Lihaza Tum Dono Mere Kaam Ke Na Bane.

📔 *Bikhre Moti 28-29-30 Jild 2.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[20/10, 11:03 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.24*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

✿ *Ilm Ka Hasil Karna Har Musalman Mard Aurat Par Farz Hai..*

Ilm Ki Talab Jis Tarah Mard Ke Liye Laazmi Hai,
Isi Tarah Aurat Ke Liye Bhi Laazmi Hai.

Balke Agar Kisi Aadmi Ke Do Bacche Ho,
Ek Beta Or Ek Beti Or Uske Vasail Itne Ho Ke Dono Me Se Ek Hee Ko Talim Dilwa Sakta Hai To

Use Chahiye Ke Wo Beti Ko Talim Pehle Dilvaye .

Is Liye Ke Mard Padha To Fard  Padha Or Aurat Padhi To Pura Khandan Padha.

Jab Aurto Me Deeni Talim Aam Hogi To Fir Aainda Naslo Ki Tarbiyat Acchi Hogi.

Balke Aap Gour Kare To Ummat Ke Har Kamiyab Mard Ke Piche Aap Ko Ek Aurat Ka Qirdar Nazar Aayega.

Kabhi Biwi Ki Shakal Me,
Kabhi Behan Ki Shakal Me,
Kabhi Maa Ki Shakal Me Or Kabhi Beti Ki Shakal Me.

Allah Ta'Aala Amal Ki Taufiq Ataa Farmave Aamin.

📔 *Dawa_E_Dil.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[26/10, 6:35 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.25*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

✿ *_Sabse Afzal Tareen Aurat Kon Hai Aur Uske Fazail Kya hai ??_*


Hazrat Ubada Ibne Kasir Ne Hazrat Abdullah Se Or Unhone Hazrat Maymuna Radiallahu Ta'Aala Anha Se Rivayat Hai Ke

Huzur Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ne Irshad Farmaya Ke

Meri Ummat Ke Mardo Me Se Afzal Mard Wo Hai Jo Apni Aurto Ke Sath Accha Suluk Karte Hain

Or Meri Ummat Ki Afzal Aurto Me Se Wo Aurat Afzaltareen Aurat Hai Jo Apne Shohar Ke Sath Accha Suluk Karti Hai.

Aisi Aurat Ko Raat Or Din Me Aise Hazar Shahido Ka Sawab Milta Hai Jo Khuda Ki Raah Me Sabr Ke Sath Shaheed Hue Ho’

Or Mukhlis Ho Or Un Aurto Me Se Har Aurat Jannat Ki Moti Moti Aankho Wali Huro Par Is Qadar Fazilat Rakhti Hai Jaise Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Ko Tum Me Se Adnaa Par

Or Meri Ummat Ki Aurto Me Wo Aurat Sab Se Afzal Hai Jo Apne Shohar Ki Khwahish Ke Mutabik Uski Farmabardari Karti Hai, Siva Uske Jo Gunah Ke Kaam Hai.

📔 *Tosha'E Momin 142.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[29/10, 7:29 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.26*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

✦ *_Aurat par haq kisa hai aur Mard par kis ka hai.!!??_*

Hazrat Aaisha Siddiqa Radiallahu Ta'Aala Anha Se Rivayat Hai Ke Mein Ne

Rasulallah Sallallahu Alayhi Wasallam Se Daryaft Kiya Ke

Aurat Par Sab Se Ziyadah Haq Kiska Hai?

To Aapne Irshad Farmaya Ke Uske Shohar Ka!!!


Fir Mein Ne Arz Kiya Mard Par Kiska Haq Hai?

Aapne Farmaya Ke Uski Maa Ka.

📔 *_Tosha'E Momin 144._*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[31/10, 5:47 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.27*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*✦Hazrat Rabiaa Basariya Rh..  Ka Bachpan Or Unka Zuhad V Taqwa✦.*

Hazrat Rabiaa Basariya Rh..  Se Jo Auliya E Kamilin Me Se Thi Kisi Shakhs Ne Pucha Ke

Allah Ta'Aala Ki Talab Ka Rasta Aap Ke Hath Kaise Laga?

Yaani Allah Tal'ala Ki Talab Ki shuruwat kaise Hui?

Farmaya Ke Me Saat Saal Ki Thi Ke Basra Me Kahat *「Sukha」* Pada,

Mere Maa Baap Ki Vafat Ho Gayi Or Meri Bahene Mutafarrik (Alag Alag) Ho Gayi.

Or Mujhe Rabiaa (Chothi, Small) Is Liye Kehte Hai Ke Meri Teen Bahene Or Thi Chothi Me Thi.

Pas Me Ek Zalim Ke Hath Padi, Usne Mujhko 6 Dirham Me Bech Dala.

Jis Shakhs Ne Mujhko Kharida Tha Wo Mujhse Sakht Se Sakht Kaam Leta Tha.

Ek Roz Me Kothe Se Gir Padi Or Mera Hath Toot Gaya.

Mene Apna Chehra Zameen Par Rakha Or Arz Kiya :

Baare Khudaya!
Me Ek Garib Yateem Ladki Hu Ek Shakhs Ki Qaidi Padi Hu.

Mujh Par Raham Farma Me Teri Raza Chahti Hun, Agar Tu Razi Hai To Fir Mujhe Koi Fikar Nahi.

*✦Aage Ka Qissa Agle Part Me Insha Allah✦*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[02/11, 6:01 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.28*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*✷Hazrat Rabiaa Basariya Rahmatullahi Alayhi Ka Bachpan Or Unka Zuhad V Taqwa✷*

 *✦Aage Ka Hissa.✦*

Uske Jawab Me Mene Ek Aawaz Suni Ke Aye Zaifa !
Gam Mat Kha, Ke Kal Ko Tujhe Ek Aisa Martaba Hasil Hoga Ke Mukarrabane Aasman Tujhko Accha Janne Lagenge.

Uske Baad Me Apne Maalik Ke Ghar Aai To Me Ne Roza Rakhna Shuru Kiya

Or Raat Ko Ek Gosha {Corner,} Me Jakar Ibadat Me Masgul Ho Jati.

Ek Martaba Me Aadhi Raat Ko Haq Taa'Ala Se Munajat Kar Rahi Thi Or Ye Keh Rahi Thi,

Ilahi ! Tu Janta Hai Ke Mere Dil Ki Khwahish Tere Farman Ki Muvafikat Me Hai,

Or Meri Aankh Ki Roshni Teri Khidmat Karne Me Hai
Or Tu Meri Niyat Ko Janta Hee Hai Ke Agar Mere Zimme Makhluq Ki Khidmat Na Hoti To Ghadi Bhar Ke Liye Bhi Teri Ibadat Se Aasuda Na Hoti.

*✦Aage Ka Hissa Agle Part Me Ίη  Sհα Aʆʆαհ✦*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[05/11, 8:15 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.30*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

Huzur  Sallallahu Alaihivasallam  Wasallam Ne Irshad Farmaya

Arab Ki Behtareen Aurate Quraish Ki Nek Bakht Aurate Hai,

Kyun Ke Wo Apne Bachcho Par Unke Bachpan Me Bahot Maherban Hoti Hai.

Or Apne Shohro Ke Maal Ki Jo Unke Qabze Me Hota Hai Bhahut Hee Hifazat Karti Hai,,

Yaani Apne Shohar Ke Maal Ko Bekar Zae'A  Nahi Karti (Yani Barbaad Nahi Karti)...

*✦Is Hadees Se Malum Hota Hai Kejis Aurat Me Do Khoobiyan Ho Wo Tamam Aurto Me Behtar Hai, ✦*

*✷1.Bachcho Par Shafaqat {Meharbani}Kare, Or Unki Parvarish Se Ukatae Nahi {Yaani Bored Na Ho}.*

*✷2.Shohar Ke Maal Ko Zae'A [Barbaad, Waste] Na Kare Balke Ahtiyat Se Kharch Kare.*

*📓 Muslim Miya Biwi 9-10*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[06/11, 3:47 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.31*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*¡ᴹᵃᶠʰᵒᵒᵐ ᴱ ᴴᵃᵈᵉᵉˢ!*

Rasool Sallallahu Alaihivasallam  Ne Irshad Farmaya Hai Ke

Agar Islam Me Allah Ke Alava Kisi Ko Sajdah Karna Jaiz Hota To Me Aurat Ku Hukam Deta Ke Wo Apne Shohar Ko Sajda Kare.

Kasam Hai Us Zaat Ki Jiske Qabze Me Meri Jaan Hai Ke

Aurat Apne Rab Ke Huqooq Us Waqt Tak Adaa Nahi Kar Sakti Jab Tak Wo Apne Shohar Ke Huqooq Adaa Kare.

Aurat Ko Uska Shohar Bulaye Or Aurat Unt Ke Uper Sawar Ho Tab Bhi Shohar Ko Apni Zaat Se Faidah Uthane Ke Liye Na Roke.

📓 *Ibne Majah*

📓 *Musalman Aurat 186*

📓 *Mishkat Sharif 281*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[07/11, 4:39 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.32*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*✦Ek Aurat Ka Ajeeb Waqia-1.*

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Ta'Aala Anhu Farmate Hain Ke

Ek Aurat Mere Paas Aayi Or Usne Mujhse Pucha :

Kya Meri Tauba Qubool Ho Sakti Hai?

Mein Ne Zina Kiya Tha , Jisse Mere Yaha Bachcha Paida Huaa Tha, Fir Mein Ne Usko Qatal Kar Dala.

Mene Kaha Nahi.
(Tumne Do Bade Gunah Kiye Is Liye)

Na To Tumhari Aankh Thandi Ho ,
Or Na Tujhe Sharafat V Karamat Hasil Ho,

Us Par Wo Aurat Afsos Karti Hui Uthkar Chali Gayi

Fir Mein Ne Rasool Sallallahu Alaihivasallam  Ke Sath Fajar Ki Namaz Padhi.

Or Us Aurat Ne Jo Kuch Kaha Tha Or Mein Ne Use Jo Jawab Diya Tha Wo Sab Huzur Rasool Sallallahu Alaihivasallam  Ko Bataya.

*✷Aage Ka Hissa Agle Part Me In sha Allah.✷*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[08/11, 10:08 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.33*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*✦Ek Aurat Ka Ajeeb Waqia-2.*

*✷Aage Ka Hissa.*

Aap Rasool Sallallahu Alaihivasallam  Ne Irshad Farmaya

Tumne Use Bura Jawab Diya,
Kya Tum Ye Aayat Nahi Padhte.

Or Jo Log Allah Ta'Aala Ke Sath Kisi Or Ma'Abud Ki Parastish Nahi Karte

Or Jis Shakhs Ke Qatal Karne Ko Allah Ta'Ala Ne Haram Farmaya He Usko Qatal Nahi Karte.

Haan Magar Haq Par ,
Or Wo Zina Nahi Karte ,

Or Jo Shakhs Esa Kaam Karega To Saza Se Usko Sabka Padega Ke
Qayamat Ke Roz Uska Azaab Badhta Chala Jayega,

Or Wo Us Azaab Me Hamesha Hamesha
Zalil ( V Khwar)  Hokar Rahega.

Magar Jo (Shirk Or Ma'Aasise ) Tauba Kar Le Or Imaan Bhi Le Aaye Or Nek Kaam Karta Rahe To Allah Ta'Aala Aiswle Logo Ke Guzishta Gunaho Ki Jagah Nekiya Inayat Farmayega
Or Allah Ta'Aala Gafurur Raheem Hai.

*Surah Furqan 68 -70.*

Fir Mene Ye Aayate Us Aurat Ku Padh Kar Sunai.

Usne Kaha Tamam Taarife Us Allah Ke Liye Hai Jisne Meri Khalasi Ki Surat Bana Di.

*✷Aage Ka Hissa Agle Part Me Insha.✷*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[09/11, 12:32 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.34*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*✦Ek Aurat Ka Ajeeb Waqia-3.*

*Aage Ka Hissa*

Ibne Jarir  Ki Rivayat Hai Ke

Wo Afsos Karte Hue Unke Paas Se Chali Gayi Or Wo Keh Rahi Thi Ke Haay Afsos!

Kya Ye Husn Jahanum Ke Liye Paisa Kiya Gaya Hai?

Is Rivayat Me Aage Ye Hai Ke

Huzur Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ke Paas Se Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Ta'Aala Anhu Vapas Aaye Or Unhone Madina Ke Tamam Mohallo Or Gharo Me Aurat Ko Dhund Na Shuru Kiya,

Use Bahot Dhunda Lekin Wo Aurat Kahi Nahi Mili.

Agli Raat Ko Wo Khud Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Ta'Aala Anhu Ke Paas Aayi

To Huzur Rasool Sallallahu Alaihivasallam  Ne Jo Jawab Diya Tha Wo Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Ta'Aala Anhu Ne Use Bata Diya.

Wo Fauran Sajde Me Gir Gayi Or Kehne Lagi

Tamam Tarife Allah Ke Liye Hai Jisne Mere Liye Khalasi Ki Shakal Bana Di.

Or Jo Gunah Mujhse Sarzad Ho Gaya Tha Usse Tauba Ka Rasta Bata Diya.

Or Us Aurat Ne Apni Ek Bandi Or Uski Beti Aazad Ki.
Or Allah Ke Samne Sachchi Tauba Ki.

📓 *Tafsire Ibne Kasir 4/22.*

📓 *Bikhre Moti 2/113-114-115.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[11/11, 8:39 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.35*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

★ *_Jannati Mard Aur Aurat Kon Hai..??_*

Hazrat Qa'Ab Ibne Aujarah Radiallahu Ta'Aala Anhu Se Rivayat Hai Ke

Rasool Sallallahu Alaihivasallam  Ne Irshad Farmaya Ke

Kya Me Tumhe Aisa Mardo Ki Khabar Na Dun Jo Jannat Me Jayenge.

Hamne Kaha , Aye  Rasool Sallallahu Alaihivasallam  Kyun Nahi.

To Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ne Farmaya Ke

Ambiya Jannat Me
Siddiqeen Jannat Me Hai
Bachcha Jannati Hai
Jo Aadmi Shahar Ke Kisi Kinare Me Rehta Ho Or Allah Ki Raza Ke Liye Apne Bhai Ki Mulakat Ke Liye Jaye Wo Bhi Jannati Hai,


Fir Allah Ke Nabi Rasool Sallallahu Alaihivasallam  Ne Irshad Farmaya  Ke

Kya Me Tumhe Aisi Aurto Ke Bare Me Khabar Na Dun Jo Jannati Ho Or Jannat Me Jayegi.

Sahaba Radiallahu Ta'Aala Anhum Ne Jawab Diya
Aye Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam  Kyun Nahi.

To Aapne Farmaya Ke

Wo Aurat Jo Apne Shohar Se Ziyadah Mohabbat Karne Wali Ho,

Or Ziyadah Bachche Janne {Paida} Karne Wali Ho .

Jab Aurat Badsuluki Se Pesh Aaye Ya Aurat Ke Sath Badsuluki Ki Jaye To Aurat Kahe Ke Mera Sar Tumhare Hatho Me Hai.

Thodi Der Ke Liye Bhi Palak Zapak Ne Nahi Dungi.
Jab Tak Tum Razi Na Ho.

📓 *Musalman Aurat 109*

📓 *Tosha'E Momin 146*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[12/11, 8:35 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.36*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*Jaan Qurbaan Kar Ke Izzat Bacha Li.*

Halaku Khan Ne Jab Bagdad Ko Fateh Kiya To Amirul Mu'Amini Aakhri Abbasi Khalifa Moatasim Billah Ko Usne Qatal Kiya
Or Uski Begam Ko Qabze Me Le Liya.

Uski Biwi Ne Socha Ke Meri Izzat To Gayi Me Kya Karu?

To Usne Apni Ek Kaniz Ko Patti Padhai.

Uske Kaan Me Kuch Kaha.

To Wo Dono Halaku Khan Ke Paas Gaye

To Kaniz Ne Kaha Aya Khan Ne Aazam !

Abbasi Khandan Ki Khwateen Me Ek Sifat Thi Ke Un Par Talwar Asar Nahi Karti.

Halaku Khan  Ukhad Dimag Ka Tha Bola Ye  Kaisa Ho Sakta Hai?
Un Par Koi Talwar Asar Nahi Karti.
Ye Kaise Ho Sakta Hai?.

Kaniz Ne Kaha Agar Ijazat Ho To Tajurba Kar Ke Dikhav?

Usne Kaha Dikhao.
Or Usne Ek Vaar Kiya Or Gardan Udakar Rakh Di.

Apne Allah Ka Esa Khouf Tha Apni Izzat Bachane Ke Liye Apni Gardan Udaa Li.

Wo Halaku Ko Itna Gussa Aaya Ke Gusse Se Apne Baal Nochne Laga Ke Ye Aurat Mujhe Dhoka De Gayi.

To Usne Kaniz Ko Azaab De Kar Itni Bedardi Se Maara
Itni Bedardi Se Qatal Kiya Ke Dekhne Walo Ke Bhi Rongte Khade Ho Gaye.

Lakin Allah Ta'Aala Se Darnewali Aurat Ne Gardan Dekar Apni Izzat Bacha Li.

Reference-Ek Aalim Ke Bayan Mein Suna Hua Waqia..

{ *_Aaj Kal Ki Morden Aurat Jhute Ishq Me Sab Kuch Qurbaan Kar Deti Allah Har Aurat Ko Apni Izzat Ki Hifazat Karne Wala Bana De.. Aameen_* }

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[13/11, 3:02 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.37*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

Ek Hadees Me Rasool Sallallahu Alaihivasallam  Ne Irshad Farmaya

Ke Jo Aurat Apne Shohar Ki Tabedar Or Muti'A Ho Uske Liye Parinde Hawa Me Istigfar Karte Hai,

Or Machliya Dariya Me Istigfar Karti Hai,

Or Farishte Aasmano Me Istigfar Karte Hai,

Or Darinde Jungle Me Istigfar Karte Hai,

✦📓Hawala✦

*Ma'Aariful Qur'Aan 2/399*

*Bikhre Moti 1 / 62.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[14/11, 2:57 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.38*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*★ Barik Libas Ki Kharabi*

Jis Kapde Ke Libas Se Badan Ka Andar Ka Hissa Zalakta Ho To Bahot Baar Wo Pure Nange Hone Se Bhi Ziyadah Khwahish Peda Hone Par Majubr Ho Jata He.
Isi Wajah Se Barik Libas Pahenne Ki Sakht Manai Hai,

Ek Baar Hazrat Aaisha Siddiqa Radiallahu Ta'Aala Anha Ki Khidmat Me Unki Bhatiji Hafsa Binte Abdurrahman Aayi.

Us Waqt Hazrat Hafsa Radiallahu Ta'Aala Anha Ne Barik Dupatta Odh Rakha Tha.

To Hazrat Aaisha Siddiqa Radiallahu Ta'Aala Anha Ne Wo Dupatta Fad Liya Or Apne Paas Se Ek Jada (Mota) Dupatta Unko Odhne Ke Liye De Diya.

📓 *Muatta Imam Maalik Rahmatullahi Alayhi.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[15/11, 10:22 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.39*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

★ *Aurte Teen Qism Ki Hoti Hai.*

Hazrat Umar Radiallahu Ta'Aala Anhu Ne Farmaya Aurte Teen Qism Ki Hoti Hai.

1. Ek Aurat Wo Hai Jo Paakdaman , Musalman , Naram Tabiat , Muhabbat Karnewali , Ziyadah Bachche Denewali Ho Or Zamane  Ke Fashion Ke Khilaf Apne Ghar Walo Ki Madad Karti Ho (Sadagi Se Rehti Ho).

Or Gharwalo Ko Chorkar Zamane Ke Fashion Par Na Chalti Ho.
Lekin Tumhe Aisi Aurte Bhahut Kam Milegi.

2. Dusri Aurat Wo Hai Jo Khawind Se Bhahut Mutalaba Karti Ho {Jyada Cheezen Talab Karti Ho} Or Bachche Janne Ke Alava Uska Or Koi Kam Nahi.

3. Teesri Aurat Wo Hai Jo Khawind Ke Gale Ka Taak Ho Or Jun Ki Tarah Chimti Huvi Ho
(Yaani Badakhlaq Bhi Ho Or Uska Mahar Bhi Ziyadah Ho Jiski Wajah Se Uska Khawind Use Chor Na Sakta Ho.)

Aisi Aurat Ko Allah Ta'Ala Jiski Gardan Me Chahe Dal Dete Hai Or Jab Chahe Uski Gardan Utar Dete Hai.

📓 *Hayatussahaba  3/562*

📓 *Bikhre Moti 1/119*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[16/11, 4:19 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.40*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡


Hazrat Abu Umama Radiallahu Ta'Aala Anhu Se Rivayat Hai Ke

Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ne Irshad Farmaya Ke

Teen Shakhs Aise Hain Ke Unki Namaz Unke Kaano Se Tajavuz Nahi Karti.
(Qubul Nahi Hoti).

1. Aise Aurat Jo Is Haal Me Raat Guzare Ke Uska Shohar (Uski Nafarmani , Bad-Akhlaqi Ki Wajah Se) Usse Naraz Ho.

2. Aisa Gulam Jo Bhag Gaya, Yahan Tak Ke Wo Wapas Aa Jaye.

3. Aisa Imaam Ke Log Uski Fisq Ya Kisi Sharai Kharabi Ki Wajah Se Use Pasand Na Karte Ho.

📓 *Tirmiz Sharif. *

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[17/11, 10:39 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.41*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

★ *_Kis Aurat Par Allah Ki Lanat Hoti Hai??_*

Huzoor Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ne Irshad Farmaya Ke

Jo Aurat Apne Khavind {Shohar} Se Naraz Rehti Hai,
Us Par Allah Ki La'Anat Hoti Hai.

📓 *Tirmizi Sharif.*

*📜 Khulasa┬*
                       Jo Aurat Shohar Se Bila Kisi Sharai Uzr Ke Shohar Se Naraz Hoti Hai Us Par Allah Ki Lanat Hoti Hai Isliye Aurato Ko Chahiye Ke Wo Apni Facility Puri Na Hone Par Shohar Se Naraz Na Ho Balke Unse Mohabbat Ka Izhar Kare.

★ *_Aurat Ko Hamaam {Swimming Pool} Me Nahana Kaisa Hai..??_*

Aurat Ko Hamaam Khane {Swimming Pool} Me Nahana Haram Hai,

Yaani Namahram Mardo Ka Jaha Aana Jana Rehta Ho, Us Jagah Aurato Ko Nahana Chahiye.
Mardo Ki Jagah Me Aurto Ka Kya Kaam?
Aurto Ko Gair Mardo Se Juda Hona Chahiye.

📓 *Muslim Miya Biwi 102.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[20/11, 6:40 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.42*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

★ *Hazrat Aasiya Radiallahu Ta'Aala Anha Ka Waqia*

Allah Se Mohabbat Ho Jaye To Koi Rok Nahi Sakta.

Hazrat Aasiya Radiallahu Ta'Aala Anha Firaun Ki Biwi Hai

Mohabbat Ho Gayi Hazrat Aasiya Rz....  Ko Imaan Le Aai Imaan Andar Rasikh Ho {Samaa}Gaya.

Puri Misr Ki Hukumat Ko Thokar Mar Di.
Nahi Chahiye Latka Do Suli Par.
Suli Par Latkna Aasan Hai.

Sab Se Pehle Suli Ka Ijad Karne Wala Bhi Firaun Hai,
Haatho Me Kil Gaadkar Lakdi Gaad Deta Tha.

Ab Bari Aai Hazrat Aasiya Rz..  Ki
Agar Wo Kehti Ke Nahi Manti To Dil Me Imaan Tha.
Sirf Zaban Se Keh Deti To Uske Liye Jaiz Tha Maaf Tha.

Lekin Imaan Ki Ek Esi Sifat Aati Hai Ke Jaan Lagana Or Jaan Par Khel Jana Mahbub Ban Jata Hai,

Aur Aaj Ye Humari Maa Behno Ka Imaan Hai Jo Ke Unko Namaz,Ilm,Zikr, Akhlaq Par Nahi Laa Sakta,

Aaj Humari Maa Behan Bahana Banati Hai Ke Ke Mera Shohar Bada Gusse Wala Hai Zalim Hai Marta Peeta Hai Deen Par Chalenge Tu Sakti Karta Hai Kya Un Maa Behano Ka Shohar Firaun Se Bhi Bada Zalim Hai Jara Socho Ke Firaun Ne Apni Biwi Ko Kaisi Taqleef De ??

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[22/11, 8:50 AM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.43*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡


Huzur Rasool Sallallahu Alaihivasallam  Ne Shohar Ke Huqooq Ke Baare Me Kitna Kuch Irshad Farmaya Hai,

Magar Aaj Mamuli Jhagdo Ki Bina Par Aurte Shohar Ke Ghar Se Nikal Jati Hai,

Or Maa Baap Bhi Ladki Ko Sahi Rasta Batane Ke Bajaye Kabhi Kapde Or Zevar Ko Lekar To Kabhi Shohar Ke Maa Baap Se Alahida Rehne Ko Lekar Apni Ladki Ko Chadhate Badhate Hai,

Or Ghar Hee Par Bithaye Rakhte Hai,
Kya Yahi Islami Talim Hai? Hargiz Nahi.

Aisi Aurte Islami Talimat Ko Badnaam Karti Hai,

Jabke Ke Kisi Sharai Uzar Shohar Ke Ghar Na Bhejna Haram Hai,

Or Jo Maa Baap Ladki Ko Shohar Ke Ghar Jane Se Rokte Hain Wo Zalim Hai

Lihaza Duniya Or Aakhirat Ko Aabad Karne Ka Yahi Tarika Hai Ke Islami Talimat Ke Mutabik Har Ghami Or Khushi Ke Moke Par Shohar Ki Ita'At Karte Hue Uske Huqooq Adaa Kar Ke Allah Ki Razamandi Hasil Karne Ki Koshish Ki Jaye.

Yahi Shohar Ki Khidmat Jihad Ke Barabar Hai,

📓 *Musalman Aurat 94.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[23/11, 3:11 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.44*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*ᴹᵃᶠʰᵒᵒᵐ ᵉ ʰᵃᵈᵉᵉˢ*

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Ta'Aala Anhu Se Riwayat Hai Ke

Rasool Sallallahu Alaihivasallam  Ne Irshad Farmaya!!!!!

Jab Shohar Ke Bulane Par Biwi Inkaar Kar De Or Shohar Gusse Ki Halat Me Raat Guzare To Farishte Subah Tak Us Aurat Par La'Anat Karte Hai.

📓 *Mishkat Sharif 280*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[25/11, 5:24 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.45*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

※ *Jab Duniya Ki Aurat Apne Shohar Ko Satati Hai Tu Jannat Ki Hoor Kya Kehti Hai.?????*

Hazrat Mu'Aaz Bin Jabal Radiallahu Ta'Aala Anhu Se Rivayat Hai Ke

Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ne Irshad Farmaya Ke

Jab Koi Aurat Apne Shohar Ko Satati Hai To Uski Hoor Biwi Ko Kehti He Ke Khuda Tujhko Halak Kare.

Wo To Tere Paas Kuch Hee Dino Ke Liye Aaya Tha.

Uske Baad Tujhe Chor Kar Wo Hamare Paas Aanewala Hai.

📓 *_Mishkat Sharif 281._*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[26/11, 2:34 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.46*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

★ *A͟u͟r͟a͟t͟ M͟e͟ K͟͟a͟i͟s͟i͟ S͟i͟f͟a͟t͟ H͟o͟n͟e͟ C͟h͟a͟h͟i͟y͟e͟. ?*

Aurat Ke Liye Pehli Sifat Paakizgi Or Deendari Hai,
Ye Sab Se Aham Or Zaruri Chiz He.

Kyun Ke Jo Aurat Deendar Or Paakiza Nahi Hogi Wo Apne Shohar Ke Maal Me Khiyanat Or Dhokebazi Karegi.
Or Usse Uske Shohar Ko Pareshani Hogi.

Agar Wo Apni Ismat (Izzat ) Me Khiyanat Karegi Or Is Par Wo Shohar Khamosh Rahega To Uski Izzat Or Deendari Ko Nuksaan Pahonchega Or Logo Me Badnaam Hogi.

Or Agar Shohar Khamosh Nahi Rehta To Uska Chain V Sukun Khaak Me Mil  Jayega Or Zindagi Tabah Ho Jayegi.

Or Agar Talaq De De To Bhi Sarasar Nuksaan Hee Hai, Baad Me Uski Yaad Aayegi.

Is Liye Aise Cheezo Par Nazar Rakh Kar Nikah Karne Se Pehle Aurat Ki Deendari Ke Bare Me Tehqeeq Kar Lena Chahiye.
Na Bad-Deen Se Nikah Karoge
Na Kharabiya Peda Hogi.

📓 *Muslim Miya Biwi 93.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[27/11, 10:06 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.47*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

★ *Nek Biwi Jisko Mil Gayi*

{Haya Wali,Shohar Ki Itaat Wali, Shohar Ke Maal Ki Aur Apni Izzat Ki Hifazat Karne Wali Aurat Agar Kisi Ko Mil Jaye }.

Tu Ye Aisi Sifat  Hai Ke Mard Ke Liye Aisi Biwi Ka Hona Duniya Me Jannat Jaisa Hai.

Dekhi Aurat Ki Ye Khubiyan?
 Jis Par Jitne Bhi Qurban Ho Itna Kam Hai.

Or Hum Logo Ke Nazdik Aurat Me Ye Khubiya Honi Chahiye.
Hasin ( Khubsurat), Nachna Janti Ho , Gaana Janti Ho , Beparda Gumne Fir Ne Me Sharam Mehsus Na Karti Ho , Hath Me Hath Pakad Kar Bagair Sharam Ke Bazaro Me Or Galiyo Me Jati Ho.

Aisa Musalmano Par Jitna Afsos Kiya Jaye Utna Kam Hai,{Jo Apni Biwi Ko Be Sharam Aur Be Parda Hone Ko Kahe}

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[28/11, 3:18 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.48*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*Huzur ﷺ Ke Munh Ke Lukma Ki Barkat Se Behaya Aurat Haya Waali Ban Jana*

Hazrat Abu Umamaؓ  Farmate Hai Ke

Ek Aurat Mardo Se Behayai Ki Baate Kiya Karti Thi.
Or Bhahut Bebak
(Be-Adab) Or Bad Qalam {Bad Zubaan} Thi.

Ek Martaba Wo Rasool ﷺ Ke Paas Se Guzri.

Huzur Rasool ﷺ Ek Unchi Jagah Par Bethe Hue Sarid {Ek Khane Ki Cheez Hai} Kha Rahe The.

Us Par Us Aurat Ne Kaha
Unhe Dekho Aise Bethe Hue Hai Jaise Gulam Bethta Hai,
Aise Kha Rahe Hai Jaise Gulam Khata Hai

Ye Sunn Kar Huzur ﷺ Ne Farmaya Konsa Banda Mujhse Ziyadah Bandgi Ikhtiyar Karne Wala Hoga.

Fir Us Aurat Ne Kaha Ye Khud Kha Rahe Hai Or Mujhe Nahi Khila Rahe Hai,

Huzur ﷺ Ne Farmaya Tu Bhi Kha Le.
Usne Kaha Mujhe Apne Hath Se Ataa Farmaye.

Huzur ﷺ Ne Usko Diya To Usne Kaha

Jo Aap Ke Munh Me Hai Usme Se De.

Huzur ﷺ Ne Usme Se Diya Jise Usne Kha Liya.

( Us Khane Ki Barkat Se) Us Par Sharam V Haya Galib Aa Gayi,

Or Uske Baad Apne Intekal Tak Kisi Se Behayai Ki Baat Nahi Ki.

📓 *Bikhre Moti Jild. 1.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[29/11, 10:01 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.49*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡


★ *Shohar Ki Chori.*

Hazrat Aaisha Siddiqaؓ Farmati Hai Ke

Hind Dane Jo Amir Muaaviya ؓ  Ki Walidah Hai

Huzoor ﷺ  Ki Khidmat Me Hazir Ho Kar Arz Kiya

Ya Rasulallah ﷺ!

Abu Sufiyan Mere Shohar Bahot Hee Bakheel {Kanjoos} Hai

Wo Mere Piche Kharch Ke Muvafiq Mujhe Nahi Dete.

Albatta Me Aisa Karti Hun Ke Chupe Tour Par Unke Maal Me Se Dayanat Dari Se Mere Kharch Ke Muvafiq Le Leti Hu.

Ye Kaam Jaiz Hai Ya Nahi?

Aap ﷺ  Ne Farmaya!!

Dayanat Dari Se Itna Le Lena Jitna Tere Or Tere Bachcho Ke Liye Kafi Ho Jaye Jaiz Hai.

📓 *Bukhari Sharif*

📓 *Muslim Sharif.*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[01/12, 10:17 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.50*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*Aurat Me Kaisi Sifat Honi Chahiye.*

Aurat Ki Aadat Or Akhlaq Achche Ho
Sach Bolnecwali Or Hansmukh {Khush Mijaaz} Ho.

Kyun Ke Bad Mijaaz Wali Aurat Na-Shukri Or Zaban Daraz Hoti Hai, Baat Baat Par Bigad Jati Hai,

Bura Bhala Kehna Shuru Kar Deti Hai,
Or Bol Bol Kar Ke Shohar Ki Bolti Band Kar Deti Hai,

Is Liye Aisi Aurat Mard Ki Zindagi Kadwi Or Deen Bhi Kharab Kar Dalti Hai,

Ek Sifat Ye Bhi Hai Ke

*Wo Khubsurat Or Hasin Ho*

Kyun Ke Aurat Jis Miqdar Me Khubsurat Hogi Usi Qadar Mard Ko Uske Sath Mohabbat Ziyada Hogi.

Yahi Wajah Hai Ke Nikah Se Pehle Aurat Ko Dekh Lena Sunnat Hai,

Imam Gazali Rahmatullahi Alayhi Ne Se Nakal Hai Ke Jo Nikah Bagair Dekhe Kiya Jata Hai Uska Natija Ranj Or Dukh Hota Hai

Aurat Ke Saath Deendarii Or Parhezgari Ki Wajah Se Nikah Karna Chahiye , Khubsurati Ki Wajah Se Nahi .

Uska Matlab Ye Hai Ke Aurat Ki Sirf Khubsuratì Par Nazar Na Honi Chahiye.
Balke Khubsuratì Ke Sath Dusre Sifat Bhi Dekhne Chahiye.

Or Jis Shakhs Ka Nikah Karne Ka Maksad Hee Ye Ho Ke Aulad Peda Ho.
Chahe Aurat Habshi Nasal Ki Hee Kyun Na Ho To Ye Cheez Uski Parhezgari Hai

📓 *Muslim Miya Biwi-94 -95*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[03/12, 10:34 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.51*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*Aurat Me Kaisi Sifat Honi Chahiye -2.*

*Bahetareen Aurat Ki Shifat Ye Bhi Hai Ke Uski Mahar Ki Rakam Kam Ho.*

Kyun Ke Rasulallah ﷺ Ne  Farmaya Ke Aurto Me Wo Aurat Sab Se Ziyadah Achchi Hai Jiska Mahar To Kam Ho , Or Khubsuratì Me Aage Ho.

Yaani Khubsurat Hone Ke Bawajud Uska Mahar Kam Ho.

*Ek Sifat Ye Hai Ke Aurat Kunwari Ho.*

Kyun Ke Kunwari Aurat Ke Sath Shohar Ko Aksar Ziyadah Mohabbat Hoti Hai,

Or Jo Aurat Bewa Ya Talak Shuda Hogi Uska Dil Aksar Apne  Pehle Shohar Ke Sath Laga Rahega.

Or Bat Bat Par Uski Yaad Satayegi.

Hazrat Jabir ؓ  Anhu Ne Ek Bewa Aurat Ke Sath Nikah Kiya Tha.

Huzur ﷺ Ne Farmaya Ke Aye Jabir ؓ  !

Kunwari Ke Sath Kyu Nikah Nahi Kiya?

Agar Kunwari Ke Sath Nikah Kiya Hota To Wo Tere Sath Khelti Or Tu Uske Sath Khelta.

📓 *_Muslim  miya biwi _*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[05/12, 6:49 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.52*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡

*Aurat Me Kaisi Sifat Honi Chahiye -3.*

*Ek Sifat Ye Bhi Hai Ke Wo Aurat Baanz Na Ho.*

*Or Ek Sifat Ye Bhi Hai Ke Aurat Achche Or Deendar  Khandan Ki Ho.*

Kyun Ke Aisi Aurat Se Bad Akhlaq Bachche Paida Hone Ki Ummed Kam Hoti Hai.

Kyun Ke Be-Deen Or Bad Akhlaq Khandan Ki Aurat Ke Akhlaq Or Aadate Achchi Nahi Hoti.

Aiso Aurat Ki Aulad Navve Fisad (90 %)  Aise Akhlaq Wali Hoti Hai.

📓 *_Muslim Miya Biwi_*

*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖
[06/12, 9:59 PM] Tabrez Alam: 💖🌿💖🌿 ﷽ 💖🌿💖🌿

    *Aurato Ko Nasihat➪ Post No.54*
  ♡••••••••◐••••••••♡◐♡••••••••◐••••••••♡


★ *Shohar ki ijazat ke bina ghar se nikalna jaiz nahi.*

Aurto ko ghar se nikal ne ke liye ek adab ye bhi sikhaya gaya hai ke wo apne shohar ki ijazat ke bina ghar se nikle nahi.

Huzur ﷺ ka irshad hai ke

Jo aurat bhi allah or Qiyamat ke din par imaan laati hai uske liye jaiz nahi he ke wo apne shohar ke ghar uski ijazat ke bina kisi ko aane de or shohar ki marji ke bina ghar se bahar nikle.
Or is mamle me wo kisi ki tabedari na kare.

📓 *Mustadarke hakim*

Huzur ﷺ  ne irshad farmaya ke

Jo aurat bhi shohar ke ghar se shohar ki ijazat ke bina nikalti hai to allah ta'aala usse naraz rehte hai. Yaha tak ke wo ghar vapas aa jaye Ya uska shohar use se razi ho jaye.

📓 *Kanzul ummal.*


*📣 Next Post Jald Insha Allah📣*

💖🌿💖🌿   💖🌿💖🌿💖

Saturday, June 3, 2017

UMRAH ADAA KARNE KA TARIQA

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umrah Ada karne ka Tareeqa ♦

           ⭐ PART-1⃣⭐

      ⭕Umrah ka Hukm ⭕

👉 Saahibe istta'at ke liye zindgi me ek martaba Umrah Ada karna Sunnat he,

👉 Ek se zyada Umrah karna mustahab he,

👉 Baaz Ulma ke nazdeek Saahibe istta'at ke liye zindgi me ek baar Umrah karna wajib he,

🔜 , 2, in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umrah Ada karne ka Tareeqa ♦

           ⭐ PART-2⭐

   ⭕ Umrah ki Fazilat ⭕

👉 Huzur Akram Sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Ek Umrah doosre Umrah tak un gunaho ka kaffara he Jo dono Umro ke darmiyan sarzad ho'n aur Hajj Mabroor ka badla to jannat he, "

" Ramzan me Umrah ka sawab Hajj ke barabar he, "

📚 Bukhari, Muslim,

👉 Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Pe dar pe Hajj Umrah kiya Karo, beshak ye dono garibi aur gunaho ko is tarah door kar dete he'n jis tarah bhatti lohe aur Sona v Chandi ke mel kuchel ko door kar deti he, "

📚 Tirmizi, Ibne maaja,

👉 Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Hajj Umrah karne wale Allah ta'aala ke mehman he'n, agar Allah ta'aala se dua kare to wo qubool farmaye, agar wo usse magfirat talab kare to wo unki magfirat farmaye, "

📚 Ibne maaja,

🔜 ,3  in sha Allah ta'aala,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

           ⭐ PART-3⭐

     ⭕ Safar ka Agaaz⭕

👉 Ghar se Rawangi ke waqt 2 raka'at nifl Ada karke Allah ta'aala se Safar ki asaani ke liye aur Umrah ke qubool hone ki Duae kare,

👉 Apni zaruriyaat ke samaan ke saath apna pass port, ticket aur kharch ke liye raqam bhi saath le le'n,

👉 Mard Hazraat hasbe zarurat Ahraam ki chaadre'n bhi le le'n,

🔜 , 4 in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

           ⭐ PART-4⭐

⭕ Safar me Namaz ko Qasar Karna⭕

👉 Agar aapka safar 48 meal yani taqriban 77 km.se zyada ho to Aap apne Shehar ki hudood se bahar nikalte hi shara'i musafir ho ja'enge, lihaza zuhar, Asr, aur isha ki 4 raka'at Farz ke bajae 2 raka'at Ada kare, Magrib aur Fajar puri Ada kare,

👉 Agar kisi muqeem imaam ke pichhe Namaz padhe to imaam ke saath puri Namaz Ada kare,

👉 Sunnato aur Nawafil ka hukm ye he k agar itminan ka waqt he to puri padhe aur agar zaldi he ya thakan he ya koi aur dushwari he to na padhe, koi gunah nahi, albatta Vitr aur Fajar ki 2 raka'at sunnato ko na chhode,

🔜 , 5 in sha Allah ta'aala,

📚 Umra ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

           ⭐ PART-5⭐

  ⭕ Umrah ke Arkaan⭕

👉 Umrah me 4 kaam karne hote he'n,

1- Miqaat se Umrah ka Ahraam baandhna,

2- Masjide Haraam pahunch kar Betullah ka Tawaaf karna,

3- Safa marva ki Sa'i karna,

4- Sar ke Baal mundwana ya Katwana,

🔜 ,6,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

           ⭐ PART-6⭐

            ⭕ Miqaat ⭕

🔵 Miqaat wo maqaam he jaha se Makka mukarrama jane wale ke liye Ahraam baandhna wajib he,

👉 Miqaat asal me waqt muayyan aur makaan muayyan ka naam he,

🔵1- Miqaate zamani -
Pure saal raat din me jab chahe aur jis waqt chahe Umrah ka ahraam baandh sakte hai'n, lekin Behiqi me  Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki hadees ke peshe nazar imaam Abu Hanifa Rh ne 5 din ( 9 zilhijja se 13 zilhijja tak) Umrah ki adaaygi ko makrooh tehrimi qaraar diya he, chahe hajj Ada kar raha ho ya nahi,

🔴2- Miqaate Makaani,
Wo maqamaat jaha se Hajj ya Umrah karne wale Hazraat Ahraam baandhte he'n miqaat keh late he'n, Miqaat ke aitbaar se puri duniya ki sar zameen ko shari'at me 3 hisso me taqseem kiya he,

🔜 ,7,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

           ⭐ PART-7⭐

             ⭕ Aafaaq⭕

👉 Haram aur Hil ke bahar puri duniya ki sar zameen Aafaaq kehlati he, Aafaaqi hazraat jab bhi Umrah ki niyat se Makka mukarrama Jana chahe to unke liye zaruri he k in 5 Miqaato me se kisi ek Miqaat per ya usse pehle Ahraam baandhle,

👉 Jo miqaat ki hudood se bahar rehta he use Aafaaqi kehte he, Jese Indian, Pakistani, Misri, Shaami, Iraaqi, Iraani vagera,

🔵 Yalmalam -

👉 Makka mukarrama se junub ki taraf 2 manzil per ek pahaad he, isko aaj kal Sa'adiya bhi kehte he'n, Ye Yaman aur India, Pakistan se aane walo ki Miqaat he,

🔵 Zawalhalifa-

👉 Ahle Madina aur uske raaste se aane walo ke liye' Zawalhalifa" Miqaat he jisko aajkal Bar-Ali  kaha jata he, Madina munavvara ke qareeb hi ye miqaat he,Ye Madina munavvara ki taraf se aane walo ki miqaat he,

🔵 Jahfah-

👉Ahle shaam aur uske raaste se aane walo ke liye ( maslan Misr, Libya, Aljazirair, Marakash vagera) Jahfah miqaat he, ye Makka mukarrama se taqriban 186 km he,

🔵 Zaate Arq -

👉 Ye Iraaq se Makka Mukarrama aane wali ki Miqaat he, Makka mukarrama se taqriban 100 km mashriq me waq'a he

🔵 Qiranul Manazil-

👉 Ahle Najd aur uske raaste se aane walo ke liye ( maslan Behren, Qatar, Riyaad vagera) miqaat he, isko aaj kal Alseelul kabeer kaha jata he, Ye Makka mukarrama se taqriban 78 km he,

🔜 ,8,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi  DB,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

          ⭐ PART-8⭐

          ⭕ Haram, ⭕

👉 Makka mukarrama aur uske charo taraf kuchh door tak ki zameen Haram kehlati he, is maqaam per har shakhs ke liye chahe wo muqeem ho ya Hajj v Umrah ke liye aaya ho chand cheeze karna haraam he isliye isko haram kaha jata he,

1- Yaha ke khud uge darakht ya podhe ko kaatna,

2- Yaha ke kisi jaanwar ka shikar karna ya usko chhedna,

3- Giri padi cheez ka uthana,

👉 Hudoode Haram ke andar musqil ya aarzi tor per qayaam pazeer yani ahle haram ko Umrah ka Ahraam baandhne ke liye Haram se bahar Jana hoga,

🔜 ,9,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

           ⭐ PART-9⭐

              ⭕ Hil ⭕

👉 Miqaat aur Haram ke darmiyan ki sar zameen Hil kehlati he, jisme wo cheeze halaal he'n Jo Haram me haraam thi,

👉 Ahle Hil jinki riha'ish Miqaat aur hudoode Haram ke darmiyan he maslan Jaddah ke rehne wale Umrah ka Ahraam apne ghar se baandhenge,

🔜 ,10,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

           ⭐ PART-10⭐

             ⭕Ahraam -1⭕

      🔵 Ahraam ke masail

👉 Gusl se faarig hokar ahraam baandhne se pehle khushbu lagana sunnat he,

👉 Aurto ke liye ahraam ka koi khaas libaas nahi he aam libaas pehan le, chehre se kapda hata le, fir niyat karke ahista se talbiya padhle,

👉 Aurte baalo ki hifazat ke liye agar sar per rumaal baandh le to koi harj nahi, vazu ke waqt isko kholkar sar per masah zaruri he,

👉 Agar koi aurat ese waqt me Makka mukarrama pahunchi k maahvari aa rahi ho to wo paak hone tak intezar kare, paak hone ke baad hi Umrah karne ke liye masjide Haraam me jaye, Umrah ki adaaygi tak usko ahraam me hi rehna hoga,

👉 Agar Aap pehle Madina munavvara ja rahe he'n to Madina munavvara Jane ke liye kisi ahraam ki zarurat nahi he lekin jab Aap Madina munavvara se Makka mukarrama jaye to fir Madina ki miqaat per ahraam baandhe,

👉 Ahraam ki haalat me agar ahatlaam ho jaye to isse ahraam me koi farq nahi padhta, Kapda jism dhokar gusl kar le, agar ahraam ki chadar badalne ki zarurat ho to doosri chadar istemal kar le, lekin miya bivi wale khaas talluqat se bilkul door rahe,

🔵 Ek Aham hidayat

👉Miqaat per pahunch kar ya isse pehle Ahraam baandhna zaruri he,

👉 lekin agar aap Hawai jahaaz se jaa rahe he'n aur Aapko Jaddah me utarna he to Hawai jahaaz me sawaar hone se pehle hi ahraam baandhle ya Hawai jahaaz me miqaat se pehle pehle baandhle, aur agar moqa ho to 2 raka'at bhi Ada kar le, fir niyat karke Talbiya padhle ,

👉 Ahraam baandhle ke baad niyat karne aur Talbiya padhne me takheer ki ja sakti he, yani aap ahraam Hawai jahaaz me sawaar hone se pehle baandhle aur niyat miqaat aane se pehle karke Talbiya padh le,

👉 Yaad rahe k Niyat aur Talbiya ke baad hi ahraam ki pabandi shuru hoti he,

🔵 Tambeeh,

👉 Agar miqaat se bahar rehne wala ( jisko aafaaqi kehte he) bager ahraam miqaat se guzar gaya to aage jaakar kisi bhi jagah ahraam baandhle lekin us per ek Dam laazim ho gaya,

👉 Maslan Riyaad ka rehne wala bager ahraam ke Jadda pahunch gaya to Jadda ya Makka mukarrama se ahraam baandhne per ek Dam dena hoga,

 🔜 ,11 ,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi DB,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

           ⭐ PART-11★
         ⭕ Ahraam -2 ⭕

   🔵 Mamuaat Ahraam,

Ahraam baandh Kar talbiya padh lene ke baad ye cheeze haraam he----
👉 Khushbu lagana,

👉 Nakhun kaatna

👉 Jism se baal door karna

👉 Chehre ka dhankna,

👉 Miya Bivi wale khaas talluqat, jinsi sohbat ke kaam karna,

👉Khushki ke jaanwaro ka shikaar karna,

🔵 Sirf Mardo ke liye mamnu, ---

👉 Sile hue kapde pehanna

👉 Sar ko Topi ya kapde se dhaankna,

👉 Esa juta pehanna jisse paanv ki darmayani haddi chhup jaye,

🔵 Makroohate Ahraam,

👉 Badan se mel door karna,

👉 Saabun ka istemal karna

👉 Kangha karna

🔵 Ahraam ki haalat me jaa'iz umoor,

👉 Gusl karna lekin khushbudar sabun ka istemal na kare

👉 Ahraam ko dhona ya badalna

👉 Anguthi, Ghadi, Chashma, Belt, Chhatri vagera ka istemal karna

👉 Ahraam ke ouper mazeed chadar daal kar sona, lekin Mard apne sar aur chehre ko aur Aurte apne chehre ko khula rakhe,

 🔜 ,,12,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi DB,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

         ⭐ PART-12⭐

⭕Masjide Haraam ki haajri⭕

👉Makka mukarrama pahunch kar samaan vagera apni qayamgah me rakhkar Aaraam ki zarurat ho to thoda Araam karle varna gusl ya vazu karke Umrah karne masjide Haraam ki taraf sukoon, itminaan ke saath talbiya padhte hue jaye,

👉 Darbare ilaahi ki azmat v jalaal ka lihaaz rakhte hue Daaya qadam andar rakh kar masjid me dakhil hone ki dua padhte hue dakhil ho jaye,

🔵 Qaba Sharif per pehli Nazar,

👉 Jis waqt Khana Qaba per pehli nazar padhe to Allah ta'aala ki badai bayaan karke Jo chahe apni zubaan me Allah ta'aala se maange, kyuki ya dua qubool hone ka khaas waqt he,

 🔜 ,13,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb DB,
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

          ⭐ PART-13⭐

             ⭕Tawaaf-1⭕

👉 Masjide Haraam me dakhil hokar Kaaba sharif ke us hisse me aa jaye jaha Hajre Aswad laga hua he aur Tawaaf ki niyat kar le

👉 Umrah ki sa'i bhi karni he isliye Mard Hazraat iztbaa kar le yani Ahraam ki chadar ko Daaye bagal ke niche se nikaal kar mondhe ke ouper daal le,

👉 Fir Hajre Aswad ke saamne khade hokar ' Bismillah Allahu Akbar" kehte hue Hajre Aswad ko bosa le ya dono haatho ki hatheliyo ko Hajre Aswad ki taraf karke haatho ka bosa le,

👉 Fir Kaaba ko Baayi taraf rakhkar Tawaaf shuru kare,

👉 Mard Hazraat pehle 3 chakkar me ( agar mumkin ho to) Ramal kare yani zara mondha hilakar akadte hue chhote chhote qadam ke saath tez chale,

👉 Tawaaf ke waqt nigah saamne rakhe yani Kaaba sharif aapke Baayi jaanib rahe,

👉 Tawaaf ke dauran bager haath uthaye yaad ho to Duae karte rahe ya Zikr karte rahe,

👉 Aage ek nisf daayre ki shakl ki 4-5 foot ounchi diwaar aapke Baayi jaanib aa'egi isko Hateem kehte he,

👉 Hateem darasal Betullah ka hi hissa he, isme namaz padhna esa hi he jese Betullah ke andar Namaz padhna, agar Tawaaf ke baad moqa mil jaye to zarur nifl Ada kare,

👉 iske baad jab khana Kaaba ka jab teesra kona aa jaye jisko Rukne Yamani kehte he, ( Agar mumkin ho to) dono haath ya sirf Daahina haath us per fere ya uski taraf ishara kiye bager yuhi guzar jaye,

👉 Rukne Yamani aur Hajre Aswad ke darmiyan chalte hue ye dua baar baar padhe,

Rabbana aatina fiddunya hasanatanv va fil akhirati hasanatanv va qina azaaban naar

👉 Fir Hajre Aswad ke saamne pahunch kar uski taraf hatheliyo ka rukh kare, Bismillah Allahu Akbar kahe aur hatheliyo ka bosa le,

☑ is tarah aapka ek chakkar pura ho gaya, iske baad baqi 6 chakkar bilkul isi tarah pure kare, kul 7 chakkar karne he'n, Akhri chakkar ke baad Hajre Aswad ka istlaam kare aur Safa chale jaye,

 🔜 ,14,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb DB,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

         ⭐ PART-14⭐

           ⭕ Tawaaf -2⭕

🔵 Tawaaf ke baaz aham Masail

👉 Masjide Haraam me dakhil hone ke baad Talbiya band kar de,

👉 Tawaaf ke dauran koi makhsoos dua zaruri nahi balki Jo chahe aur jis zubaan me chahe dua maangte rahe, agar kuchh bhi na pade khamosh rahe tab bhi Tawaaf sahi hoga,

👉 Tawaf ke dauran Jama'at ki namaz shuru hone lage ya thakan ho jaye to tawaaf rok de fir jis jagah se Tawaaf band kiya tha usi jagah se Tawaaf shuru kar de,

👉 Nifli Tawaaf me Ramal yani akad kar chalna aur iztiba nahi hota,

👉 Namaz ki haalat me baazuo ko dhakna chahiye kyuki iztiba sirf tawaaf ki haalat me sunnat he

👉 Agar Tawaaf ke dauran vazu toot jaye to Tawaaf rok kar vazu karke Fir Tawaaf usi jagah se shuru kar de jaha se Tawaaf band kiya tha, Kyuki bager Vazu Tawaaf karna jaa'iz nahi,

👉 Tawaaf nifli ho ya Farz usme 7 hi chakkar hote he, aur iski ibtida Hajre Aswad ke istlaam se hi hoti he aur iske baad 2 raka'at namaz padhi jati he,

👉 Agar Tawaaf ke chakkaro ki tadaad me shak ho jaye to kam tadaad shumar karke baqi chakkaro se Tawaaf mukammal kare,
👉 Masjide Haraam ke andar ouper ya niche ya mutaaf me kisi bhi jagah Tawaaf Kar sakte he

👉 Tawaaf Hateem ke bahar se hi kare, agar Hateem ke andar dakhil hokar Tawaaf karenge to wo motbar nahi,

👉 Kisi aurat ko Tawaaf ke dauran Haiz aa jaye to foran Tawaaf band kar de aur Masjid se bahar chali jaye,

👉 Khwateen Tawaaf me Ramal yani akadkar chalna na kare ye sirf Mardo ke liye khaas he

👉 Hujoom hone ki soorat me Khwateen Hajre Aswad ka bosa lene ki koshish na kare bas door se ishara kar le, isi tarah hujoom hone per Rukne Yamani ko bhi na chhue

👉 Agar Hajre Aswad ke saamne se ishara kiye bager guzar gaye aur agar hujoom zyada he to wapas aane ki koshish na kare kyuki Tawaaf ke dauran Hajre Aswad ka bosa lena, uski taraf ishara karna sunnat he wajib nahi,

☑ Aham masla,
Mazoor shakhs jiska vazu nahi theharta ( maslan peshab ke qatre muslsal girte ho ya musalsal riyah kharij hoti rehti ho ya aurat ko bimari ka khoon aa raha ho) to uske liye hukm ye he k wo Namaz ke ek waqt me vazu kare, fir us vazu se us waqt me chahe Jitne Tawaaf kare, namaze padhe, Tilawat kare, Doosri namaz ka waqt dakhil hote hi vazu toot ja'ega, agar Tawaaf mukammal hone se pehle hi doosri namaz ka waqt dakhil ho jaye to vazu karke Tawaaf mukammal kare,

🔜 ,,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb DB,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

          ⭐ PART-15⭐

    ⭕ 2 Raka'at Namaz, ⭕

👉 Tawaaf se faarig hokar Maqame Ibrahim ke aaye, Sahuliyat se Maqame Ibrahim ke pichhe jagah mil jaye to waha, varna Masjide Haraam me kisi bhi jagah Tawaaf ki 2 raka'at Ada kare,

👉 Tawaaf ki in 2 raka'at ke mutalliq Nabi Akram Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat ye he k Pehli raka'at me Surah Kafiroon aur doosri raka'at me Surah ikhlaas padhi jaye,

👉 Hujoom ke dauran Maqame Ibrahim ke paas Tawaaf ki 2 raka'at namaz padhne ki koshish na kare kyuki isse Tawaaf karne walo ko takleef hoti he, balki Masjide Haraam me kisi bhi jagah Ada kar le,

 🔜 16,,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb DB,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

         ⭐ PART-16⭐

   ⭕Maqame Ibrahim ⭕

👉 Ye ek Patthar he jis per khade hokar Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne Kaaba ko tameer kiya tha, Us patthar per Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke qadmo ke nishanat he'n,

👉 Ye Kaaba sharif ke saamne ek jaalidar shishe ke chhote se qubba me mehfooz he, jiske atraaf peetal ki khushnuma jaali nasab he,

👉 Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Hajre Aswad aur Maqame Ibrahim qeemti pattharo me se do patthar  he'n , Allah ta'aala ne dono pattharo ki roshni khatm kar di he, Agar Allah ta'aala esa na karta to ye dono patthar Mashrik aur Magrib ke darmiyan har cheez ko roshan kar dete, "

📘 Ibne Khuzema,

🔜 ,17,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb DB,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

         ⭐ PART-17⭐

         ⭕ Multazim⭕

👉 Tawaaf aur Namaz se faarig hokar agar moqa mil jaye to Multzim per aaye,

👉 Hajre Aswad aur Kaaba sharif ke darwaze ke darmiyan 2 meter ke qareeb Kaabe ki diwar ka Jo hissa he wo Multazim kehlata he,

👉 isse chimat kar khoob duae maange , ye dua qubool hone ki khaas jagah he,

👉 Hujjaj ikraam ko takleef dekar Multazim per pahunchna jaa'iz nahi he, lihaza Tawaaf karne walo ki tadaad agar zyada ho to waha pahunchne ki koshish na kare kyuki waha Duae karna sirf sunnat he, wajib nahi,

 🔜 ,18,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb DB,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

         ⭐ PART-18⭐

    ⭕ Aabe Zam Zam ⭕

👉 Tawaaf se faarig hokar qibla Rukh hokar Bismillah padh kar 3 saans me khoob ser hokar zam zam ka paani piye aur Alhamdulillah keh kar ye Dua ( Agar yaad ho to) padhe

" Allahumma inni as'aluka ilman naafi'anv va rizqanv vaasi'anv va shifa'an min kulla daa'i, "

Tarjuma, -
Ey Allah me aapse nafa dene wale ilm ka aur qushada rizq ka aur har marz se shifayabi ka sawaal karta hu'n,

👉 Masjide Haraam me har jagah Zam Zam ka paani ba-asaani mil jata he, Zam Zam ka paani khade hokar pina mustahab he,

👉 Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu farmate he'n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko Zam Zam pilaya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne khade hokar piya,

📘 Bukhari,

👉 Zam Zam ka paani pikar uska kuchh hissa sar aur badan per daalna bhi mustahab he,

👉 Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu kehte he'n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko ye farmate hue suna,
" Zam Zam ka paani jis niyat se piya jaye wahi faa'ida isse hasil hota he,

📘 Ibne maaja,

👉 Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Rue zameen per sabse behtar paani zam zam he Jo bhooke ke liye khana aur bimaar ke liye shifa he,

📘 Tabrani,

🔜 ,19,in sha Allah ta'aala,


💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

        ⭐ PART-19⭐

⭕ Safa Marva ke darmiyan Sa'i ⭕

👉 Safa per pahunch kar behtar ye he k zubaan se ( yaad ho to ) kahe

" Abda'u bima bada Allahu bihi,  innas safa va marvata min Saha'aiirillahi "

👉 Fir Kaaba ki taraf rukh kar ke Dua ki tarah haath uthale aur 3 martaba Allahu Akbar kahe,

👉 Aur agar yaad ho to 3 baar ye Dua padhe,

Laa ilaaha illallahu vahdahu La sharika lahu lahul mulku va lahul handu va huva alaa kulli shayin qadeer,
 laa ilaaha illallahu vahdahu anjaza va'adahu va nasara abdahu va hazamal ahzaaba vahdahu, "

👉 iske baad khade hokar khoob Duae manage, ya duae qubool hone ka khaas maqaam aur khaas waqt he,

👉 Duao se faarig hokar niche utar kar Marva ki taraf aam chaal se chale, Duae managte rahe ya Allah ka zikr karte rahe,

👉 Sa'i ke dauran bhi koi khaas dua laazim nahi albatta is dua ko padhte rahe,

" Rabbagfir varham va tajavaz amma ta'alam innaka antal azzukram "

👉 Jab sabz sutoon ( jaha hari tube lite lagi hui he'n) ke qareeb pahunche to Mard Hazraat zara tez raftaar se chale, uske baad fir ese hi hare sutoon aur nazar aa'enge waha pahunch kar tez chalna band kar de aur aam chaal chale,

👉 Marva pahunch kar Qibla ki taraf rukh kar ke haath uthakar duae manage,

👉 Ye Sa'i ka ek fera pura hua, isi tarah Marva se safa ki taraf chale, ye doosra chakkar ho jaa'ega, is tarah aakhri v saatva chakkar Marva per khatm hoga, har martaba Safa aur Marva per pahunch kar Khana Kaaba ki taraf rukh kar ke duae managni chahiye,

🔜 ,20,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb DB,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

       ⭐ PART-20⭐

⭕ Sa'i se mutalliq baaz Aham Masail⭕

👉 Sa'i ke liye vazu karna zaruri nahi albatta afzal v behrar he,

👉 Haiz ki haalat me bhi Sa'i ki ja sakti he albatta Tawaaf Haiz ki haalat me hargiz na kare balki Masjide Haraam me bhi dakhil na ho,

👉 Tawaaf se faarig hokar agar Sa'i karne me takheer ho jaye to koi harj nahi,

👉 Sa'i ko Tawaaf ke baad karna shart he, Tawaaf ke bager Sa'i motbar nahi,

👉 Safa Marva per pahunch kar Betullah ki taraf haath se ishara na kare balki Dua ki tarah dono haath uthakar Dua kare,

👉 Sa'i ke dauran Namaz shuru hone lage ya thak jaye to Sa'i ko rok de fir jaha se band kiya tha usi jagah se shuru kar de,

👉 Tawaaf ki tarah Sa'i bhi paydal chal kar karna chahiye, albatta agar koi uzr ho to Wheel chair per bhi Sa'i kar sakte hai'n,

👉 Agar Sa'i ke chakkaro ki tadaad me shak ho to kam tadaad shumar karke baqi chakkaro se Sa'i mukammal kare,

👉 Khwateen Sa'i me Sabz sutoono ( jaha hari tube lite lagi hui he'n) ke darmiyan Mardo ki taraf doad kar na chale,

👉 Agar chahe to Sa'i ke baad bhi 2 raka'at namaz Ada kar le kyuki baaz rivayaat me iska zikr milta he,

👉 Nifli Sa'i ka koi saboot nahi he, albatta nifli Tawaaf zyada se zyada karne chahiye,

 🔜 21,,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi DB,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦Umra Ada karne ka Tareeqa♦

         ⭐ PART-21⭐

⭕ Baal Mundwana ya katwana⭕

👉 Tawaaf aur Sa'i se faarig hokar sar ke baad mundwade ya katwade,

👉 Mardo ke liye mundwana afzal he, kyuki Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Baal mundwane walo ke liye rehmat v magfirat ki Duae 3 martaba farmayi he aur Baal katwane wale ke liye sirf ek martaba,

👉 Allah ta'aala ne apne paak kalaam Qurane kareem me halaq karane walo ka zikr pehle aur Baal katwane walo ka zikr baad me kiya he,

👉 Khwateen choti ke aakhir me se ek pore ke barabar Baal khud kaat le ya kisi mehram se katwale,

        🔵 Tambeeh, 🔵

👉 Baaz Mard Hazraat chand Baal sar ke ek taraf se aur chand Baal doosri taraf se Qenchi se kaat kar ahraam khol dete he'n, ye sahi nahi he, esi soorat me jamhoor Ulma ke nazdeek Dam wajib hoga, lihaza ya to sar ke baad mundwaye ya is tarah baalo ko katwaye k pure sar ke Baal kat jaye,

👉Agar Baal zyada hi chhote ho to mundwana hi laazim he,

👉sar ke baal mundwane ya katwane se pehle na ahraam khole aur na hi nakhun vagera kaate varna Dam laazim hoga,

👉 Baal ka hudoode Haram me katwana zaruri he, lihaza Jaddah me Baal mundwane ki soorat me Dam laazim hoga,

👉 Jab Baal katwane ka waqt ho jaye yani Tawaaf, Sa'i se faarig ho gaye to ek doosre ke Baal kaat sakte hai'n,

♦ Alhamdillah ab aap ka Umrah pura ho gaya, Ahraam utaar de, Sile hue kapde pehan le, ab aapke liye wo sab cheeze jaa'iz ho gayi Jo ahraam ki haalat me na-jaa'iz ho gayi thi,

🔜 22,,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi DB,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦ Umra Ada karne ka Tareeqa ♦

         ⭐ PART-22⭐

⭕Mutaddid Umre karna⭕

👉 Umrah ki adaaygi ke baad apni taraf se ya apne mutalliqeen ki taraf se nifli Umre karna chahiye,

👉 Hill me kisi jagah maslan Tan'eem jakar gusl karke ahraam baandhle, 2 raka'at namaz padh kar niyat kare, Talbiya padhe fir Umrah ka Jo tareeqa bayaan kiya gaya he uske mutabiq Umrah kare,

👉 Kisi Marhoom, ya intehai boodhe ya ese bimar shakhs jiski sahat ki bazahir tawaqqa nahi he, ki jaanib se bila shubha Umrah badal kiya ja sakta he,

👉lekin Sahat mand, zinda shakhs ki jaanib se Umrah badal ki adaaygi me Fuqha ka ikhtilaf he , ahatyaat Sahat mand shakhs ki taraf se Umrah badal na karne me he,

    🔵 Tawaaf e Vida, 🔵

👉 Waapsi ke waqt Tawaafe vidaa karna chahe to kar le lekin Sirf Umrah ke safar me Tawaafe vidaa zaruri nahi,

🔜 23,,in sha Allah ta'aala,

📚 Umrah ka Tareeqa, by Mufti Najeeb Sambhli Qasmi DB,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

 ♦Umra Ada karne ka Tareeqa♦

        ⭐ PART-23⭐

⭕Umrah se mutalliq baaz zaruri Masail ⭕

👉 Aurat bager mehram ya shohar ke Umrah ka Safar ya koi doosra Safar nahi kar sakti he, Agar koi Aurat bager mehram ya shohar ke Umrah kare to uska Umrah to Ada ho ja'ega lekin esa karne me bada gunaah he,

👉 Aurte'n Mard ki taraf se aur Mard Aurto'n ki taraf se nifli Umrah badal kar sakte hai'n,

👉 Ahraam ki haalat ahraam ke kapde utaar kar gusl bhi kar sakte hai'n aur ahraam tabdeel bhi kar sakte hai'n,

👉 Baaz logo ne ye mashhoor kar rakha he k kisi ne Umrah kiya to us per Hajj farz ho jata he, ye galat he, Agar wo saahibe istetaat nahi he yani agar uske paas itna maal nahi he k wo Hajj Ada kar sake to us per Umrah ki adaaygi ki vajah se Hajj farz nahi hota, agarche wo Umrah Hajj ke mahine me hi ada kiya jaye, fir bhi iski vajah se Hajj farz nahi hoga,

➖ Alhamdulillah ikhtitaam➖
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    🖊 Admin Shad Ansari
 📲 +919997090918

💐 Umrah per jaane Wale aur Khwahishmand Hazraat ko DuniYa oR AkhiRaT Group ki janib se Hadiya,

Sunday, May 28, 2017

ZakaT ke MasaiL

※★※  

      ╭━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╮
    *вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм* ╰━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╯

         ┎══━┅┅━───━┅┅━══┒
         💎 *Zakaat⇌Ke⇌Masail* 💎
         ┖══━┅┅━───━┅┅━══┚

                     ■◣◢■◤◥■◣◢
                        ☆ *_Part--01_*☆
                     ■◣◢■◤◥■◣◢

            ✺ *Zakaat Ke Ma’ani* ✺
            ◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆◇◆

★ Zakaat ke ma’ani ( meaning ) Pakizgi, Badotri aur Barkat ke he,

★ Allah ta’ala ka irshad he, :-

⇨ Tarjuma: –

” Unke maal se zakaat lo taki unko paak kare’n aur Barkat kare’n uski vajah se aur Dua de’n unko,

↳® *Surah At- Taubah, 103*

★ Shara’iat me Maal ke us khaas hisse ko zakaat kehte he’n jisko Allah ta’ala ke hukm ke mutabik faqeero’n, mohtajo’n vagera ko dekar unko maalik bana diya jaye,

↳📗 *Zakaat Ke Masail.*
               
  ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕
   📿 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 📿 ╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛
※★※  

      ╭━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╮
    *вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм* ╰━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╯

         ┎══━┅┅━───━┅┅━══┒
         💎 *Zakaat⇌Ke⇌Masail* 💎
         ┖══━┅┅━───━┅┅━══┚

                     ■◣◢■◤◥■◣◢
                        ☆ *_Part--02_*☆
                     ■◣◢■◤◥■◣◢

           ✺ Zakaat ka Hukm ✺
             ✯——————————✯

★ Toheed v Risalat aur Namaz ke baad islaam ka Teesra sabse bada Rukn zakaat he,

★ Quran kareem me 70 se zyada maqamaat me Aqamate -Salaat aur Adae- Zakaat ka hukm saath saath kiya gaya he,

Jisse maloom hota he k Deen me in dono Ka maqaam qareeb qareeb he aur zakaat ki farziyat ka munkir Deene islam se kharij he

★ Namaz ki tarah zakaat ka hukm bhi agli Shariyat me mojood tha,

⇨ Hazrat Ismaiyl Alaihissalam ke bare me he↷↷↷


” Woh apne ghar walo ko Namaz aur zakaat ka hukm dete he’n, ”

M↳® Sarah Mariyam, 55

↳®Fiqhul ibadaat, 270
               
  ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕
   📿 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 📿 ╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛
※★※  

      ╭━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╮
    *вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм* ╰━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╯

         ┎══━┅┅━───━┅┅━══┒
         💎 *Zakaat⇌Ke⇌Masail* 💎
         ┖══━┅┅━───━┅┅━══┚

                     ■◣◢■◤◥■◣◢
                        ☆ *_Part--03_*☆
                     ■◣◢■◤◥■◣◢


              ✺ *Zakaat Ke Pehlu* ✺
           ✯————————————✮

★ Neki aur Fawa’id ke lihaaz se zakaat me 3 pehlu he’n :-

● 1- Apna kamaya hua maal Allah ta’ala ke hukm ke mutabik Allah ta’ala ke Bando’n per kharch karta he to goya Allah ta’ala ke huzoor maali Nazrana pesh karke apni Aazizi v inksaari ka izhaar karta he k

” ye maal dar haqeeqat aapka atiya tha Jo mene aapko Razi karne ke liye kharch kiya, ”

● 2- Zakaat ke zariye gareeb v mohtaaj Bando’n ki khidmat v i’aanat hoti he, is tarah unki khoob Duae’n hasil hoti he,

● 3- Zakaat ka ma’ani paaki he, Jis tarah meyla kapda dhone se paak ho jata he, Meyla jism nahane se paak saaf ho jata he,

Isi tarah zakaat nikaalne se wo maal paak saaf ho jata he aur khud zakaat dene wale ko bhi paaki haasil hoti he, Uske andar se maal ki hirs, muhabbat, Bukhl (kanjoosi) vagera andruni bimariyo’n ka ilaaj hota he,

★Qur'an Kareem Me Hai

*_” Ey Nabi ! Aap musalmano ke amwaal me se Sadqa ( zakaat ) vasool kijiye jisse unke quloob ki tatheer aur unke nafso’n ka tazkiya ho,_*

↳® *Surah AT- Taubah, 103*

↳® *Fiqhul ibadaat, 270*
               
  ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕
   📿 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 📿 ╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛
※★※  

      ╭━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╮
      *⚘بسْــــــــــــــــــمِ ﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم⚘*
╰━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╯

         ┎══━┅┅━───━┅┅━══┒
         💎 *Zakaat⇌Ke⇌Masail* 💎
         ┖══━┅┅━───━┅┅━══┚

                     ■◣◢■◤◥■◣◢
                        ☆ *_Part--04_*☆
                     ■◣◢■◤◥■◣◢


✺ *Zakaat Ada Karne Ki Fazilat* ✺
 ✰━═━═━═━═━═━═━═━═━═━✰

★” Jo log Allah ki raah me apne maalo ko kharch karte hai,

unke kharch kiye hue maalo ki haalat esi he jese ek daane ki haalat ,

jisse ( farz karo) saat baale (aur) har baal ke andar 100 Dane ho’n aur ye afzuni khuda ta’aala jisko chahta he ataa farmata he,

Aur Allah ta’ala badi wus’at wale hai’n ,. jaanne wale hai’n,

→ Jo log apna maal Allah ki raah me kharch karte hai fir kharch karne ke baad na to (us per ) ahsaan jatate hai’n aur na ( baato ) se usko azaar pahunchate hai’n ,

in logo ko in ( ke amaal ) ka sawab milega, unke parvardigar ke paas aur na un per koi khatra hoga aur na ye magmoom honge, ”

↳® Surah Al-Baqrah, 261-262

↳® Aapke Masail aur unka Hal, 3/341.
    ━═─────────────────═━

★ Hazrat Abu Hurayra Raziyallahu Anhu farmate. hai’n k Hujzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,

“Jo shakhs ek khajoor ke Dane ke barabar paak kamai se sadqa kare aur Allah ta’ala sirf paak hi ko qubool farmate hai’n ,

To Allah ta’ala usko apne dast me lekar qubool farmate hai’n , fir uske Maalik ke liye uski parvarish farmate hai’n ,. jis tarah k tumme se ek shakhs apni ghodi ke bachche ki parvarish karta he,

yaha tak k woh (ek khajoor ke Dane ka sadqa qayamat ke din ) pahaad ke barabar ho jayega, ”

↳® Sahih Bukhari, Muslim

↳® Aapke Masail aur Unka Hal, 3/341.
               
  ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕
   📿 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 📿 ╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛
📝 *_Deeni Ilm Hasil Karne Ke Liye Aap apna 5 Mint De Dijiye_*

      ╭━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╮
    *вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм* ╰━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╯
         ┎══━┅┅━───━┅┅━══┒
         💎 *Zakaat⇌Ke⇌Masail* 💎
         ┖══━┅┅━───━┅┅━══┚
                     ■◣◢■◤◥■◣◢
                        ☆ *_Part--05_*☆
                     ■◣◢■◤◥■◣◢

                     ✯——————————✯

*✺ Zakaat Ada na Karne Ka Vabaal -✺*

★ Allah Ta’ala ka irshad he, َ

” Jo log Sona chandi jama karke rakhte hai’n aur unko Allah ki raah me kharch nahi karte,

→ so Aap unko ek badi dardnaak saza ki khabar suna dijiye k us roz waqe hogi k unko dozakh ki aag me avval tapaya jayega,

→ fir inse un logo ki peshaniyo aur unki karwato aur unki pushto ko daag diya jayega,

→ye woh hai jisko tumne apne vaaste jama karke rakha tha,

→ so ab apne jama karne ka maza chakho, ”

*↳® Surah At-Tauba, 34-35*

★ Hazrat ibne Masu’od Raziyallahu Anhu Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k

” Jo shakhs apne maal ki zakaat Ada nahi karta Qayamat ke din uska maal ganje saanp ki shakal me uski gardan me daal diya ja’ega,

→ fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne is majmoon ki aayat hume padhkar sunayi, ٌ

⇨ Aayat ka tarjuma ye he —

” aur hargiz khayal na kare ese log Jo esi cheez me bukhl karte hai’n Jo Allah ta’ala ne unko apne fazal se di he k ye baat kuchh unke liye achchhi hogi balki ye baat unki bahut buri he,

_woh log qayamat ke roz tauk pehna diye ja’enge uska jisme in hone bukhl kiya tha,”

*↳®Ravah Al- Tirmizi,*

★ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna he k Aap Sallallahu Alaihivasallam farmate the k,

” Zakaat ka maal jab doosre maal se makhloot ( mix ) ho to zarur usko tabaah kar dega, ”

*↳® Musnad Shafai,*

*↳® Aapke Masail aur unka Hal, 3/343*
✯———————————————————✯

*┱✿ Zakaat Kis Per Farz He ✺*

★ Zakaat Baalig per wajib he,,

⇨ Na-balig Bachcho ke maal per zakaat nahi, Albatta sadqa e fitr Na-balig ki taraf se Ada karna bhi zaruri he, (agar na-balig sahibe maal ho)

★ Majnoon, Pagal ke maal per zakaat nahi,

★ Zever aurat ki milkiyat hote hai’n , aur zakaat Ada karne ki zimmedari bhi Maalik hi per hogi, Shohar agar uske kehne per zakaat Ada kare to Ada ho ja’egi,

★ Shohar aur Bivi ki zakaat ka hisaab alag -alag he,

★ Marhoom Shohar ki zakaat Beva ke zimme Farz nahi, agar vaaris Ada kare to achchhi baat he,

★ Agar Na-Baalig ladki ko zever ki Maalik bana diya to jab tak ladki baalig nahi hogi zakaat Farz nahi he,

⇨ Sirf ye keh dena ya ye niyat kar lena k zever ladki ke Jahez me diya ja’ega, zakaat se mushtasna nahi karaar diya ja sakta, Jab tak k ladki ko zever ka Maalik na bana diya jaye,

→Aur ladki ko Maalik bana dene ke baad us zever ko khud istemal karna jaa’iz nahi hoga,

*┱✿ Zakaat in cheezo per Farz he,*

★1- Sona Jabke Saade Saat Tola ( yani 87.479 gram), ya isse zyada ho,

★2- Chandi Jabke Saade Bavan Tola ( yani 612.35 gram ) ya isse zyada ho,

★ 3- Rupya- Paisa, aur Maale- Tijarat Jabke iski maaliyat Saade Bavan Tola chandi (612.35 gram) ke barabar ho,

→ Agar kisi ke paas thoda sa Sona he, kuchh Chandi he, Kuchh Naqad Rupya he , ya kuchh maale Tijarat he aur inki majmooi ( in sabki qeemat jodne ke baad ) maaliyat Saade Bavan Tola chandi (612.35 gram) ke barabar he to is per bhi zakaat Farz he,

→ isi tarah agar kuchh Sona he, kuchh Chandi he, ya kuchh Sona he, kuchh Naqad Rupya he, ya kuchh Chandi he, kuchh maale Tijarat he, tab bhi inko milakar dekha jayega k Saade Bavan Tola chandi ki maaliyat banti he ya nahi,
agar banti he to zakaat wajib hogi varna nahi,
 Khulasa ye he Sona, Chandi, Naqdi, Maale Tijarat me se koi si bhi do ( Ya do se zyada ) Cheezo ki maaliyat jab Chandi ke nisaab ( 612.35 gram) ke barabar ho to us per zakaat Farz hogi,

★ 4- in ( Jo ouper Zikr ki gayii ) cheezo ke alawa charne wale maveshiyo (animals) per bhi zakaat Farz he, isme Bhed, Bakri, Gaay, Bhens, Ount ke alag alag nisaab hai’n ,

→ Jo log maveshi rakhte hai’n ahle ilm motbar ulema Hazraat se daryaft kar le, ( isme tafseel zyada he isliye isko nahi likha )

★ 5- Ushri Zameen ki paydawar per bhi Zakaat Farz he, jisko Ushr kaha jata he,
( Tafseel aage zikr ki ja’ egi in sha Allah)

*↳® Aapke Masail aur unka Hal, 3/ 345*        

     ★
★ ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕
   📿 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 📿 ╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛
※★※  
      ╭━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╮
    *вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм* ╰━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╯
         ┎══━┅┅━───━┅┅━══┒
         💎 *Zakaat⇌Ke⇌Masail* 💎
         ┖══━┅┅━───━┅┅━══┚
                     ■◣◢■◤◥■◣◢
                        ☆ *_Part--06_*☆
                     ■◣◢■◤◥■◣◢

                     ✯——————————✯

*┱✿ Maale Tijarat me Kya Kya Dakhil he ✺*

★ Maale Tijarat me har wo cheez dakhil he jisko Aadmi ne bechne ki niyat se kharida ho, ( aur Yahi niyat baqi ho )

★ Lihaza Jo log investment ki garz se plot kharid lete he’n aur shuru hi se niyat hoti he k jab achchhe paise milenge to usko farokht karke usse munafa kama lenge to us Plot per bhi Zakaat waajib he,

⇨ lekin agar Plot is niyat se kharida k agar moqa hua to us per Riha’ish ( residence) ke liye Makaan banwa lenge ya moqa hoga to usko Kiraaye per chada denge ya kabhi moqa hoga to usko farokht kar denge,,,,,,,,

Yani koi waazeh niyat nahi he Balki wese hi kharid liya he to is soorat me us Plot ki qeemat per zakaat waajib nahi he,

*↳® Zakaat ke Masail, Mufti Muhammad Najeeb Qasmi,*

     ★
★ ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕
   📿 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 📿 ╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛
※★※  
      ╭━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╮
    *вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм* ╰━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╯
         ┎══━┅┅━───━┅┅━══┒
         💎 *Zakaat⇌Ke⇌Masail* 💎
         ┖══━┅┅━───━┅┅━══┚
                     ■◣◢■◤◥■◣◢
                        ☆ *_Part--07_*☆
                     ■◣◢■◤◥■◣◢

✯——————————✯

*┱✿ Zakaat Ke Hisaab ke liye Tareekh Mutayan Karna ✺*

★ Aksar log sirf Ramzan me zakaat nikaalte he’n aur usi me hisaab karte he’n, Ramzanul Mubarak me Zakaat nikaalne ki fazilat to he lekin apne maal ka hisaab bhi Ramzan hi me kiya jaye? Isme bahut si kharabiya he”n,

"_Isliye k Zakaat ka sahi tareeqa ye he k Aap Qamri Maah ( Chand ki tareekh ) ki jis tareekh ko Sahibe Nisaab hue the, hamesha wahi tareekh aapki zakaat ke hisaab ke liye mutayan rahegi,

★ is Tareekh me Aapke paas Jo Sona, Chandi, Maale Tijarat aur Naqdi Jo kuchh bhi ho, chahe ek Roz pehle hi mila ho sab per zakaat Farz hogi, Zakaat ka hisaab isi tareekh ko hoga Ada chahe jab kare,

★ Agar darmiyan saal me nisaab ke mutabik maal bilkul nahi raha to ab fir ( dobara ) jis tareekh me Sahibe Nisaab honge, wo tareekh mutaiyan hogi,

★ Agar Sahibe Nisaab banne ki Qamri tareekh ( chand ki tareekh ) yaad nahi ho to goro fikr ke baad jis tareekh ka itminan zyada ho wo mutaiyan hogi,

★ Agar kisi tareekh ka bhi itminan na ho to khud koi Qamri tareekh Mutayan kar lijiye, isme Angrezi Saal se hisaab karna durust nahi he,

*↳® Ahsanul fatawa, 4/205*

*↳®Fiqhul ibadaat, 147*

*┱✿ Zakaat ki Mikdaar ✺*

★ Sona, Chandi, Maale Tijarat ki qeemat laga kar usme Naqdi Jama karke Jab majmui (Total ) maaliyat ( Jama Punji ) maloom hogi to ab Zakaat ki mikdaar

2-1/2 % ( 2.5 % ) Yani 40 va hissa

Ya 40 Rupye per 1 Rupya Zakaat Ada karna zaruri he,

★ ( Sona Chandi, Maale Tijarat me us din ki qeemat ( Bazaar ki Rate ) ke etbaar se hisaab hoga )

*↳®Fiqhul ibadaat, 275*.

     ★
★ ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕
   📿 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 📿 ╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛
※★※  
      ╭━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╮
    *вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм* ╰━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╯
         ┎══━┅┅━───━┅┅━══┒
         💎 *Zakaat⇌Ke⇌Masail* 💎
         ┖══━┅┅━───━┅┅━══┚
                     ■◣◢■◤◥■◣◢
                        ☆ *_Part--08_*☆
                     ■◣◢■◤◥■◣◢

                     ✯——————————✯

*┱✿ Sona Chandi per zakaat ✺*

★ Sona Chandi ki har cheez per zakaat waajib he, Asli zari, Sona Chandi ke Batan, vagera in Sab per zakaat Farz he Chahe Thappa, Gota aur Zari kapde me lage ho,

     *▩◆● Tambeeh ●◆▩*

⇨ Bahut se logo ka khayal hota he k Sona Chandi ke istemali zevraat vagera per zakaat Farz nahi, Halanki Shar’an zevraat istemali ho ya gair istemali sab per zakaat Farz he,

★ Hazrat Abdullah bin Amru bin Aas Raziyallahu Anhu se rivayat he k ek khatoon apni ek Ladki ko lekar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haazir hui, Us ladki ke haath me Sone ke mote bhari Kangan the,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne puchha: –

” Kya tum in Kangano ki zakaat deti ho? ”

Usne arz kiya k me zakaat nahi deti,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,:-

”_ Kya tumhare liye ye baat khushi ki hogi k Allah ta’ala tumhe Kangano ki ( zakaat na dene ki ) Vajah se qayamat ke din aag ke Kangan pehnaye? ”

Allah ta’ala ki us bandi ne dono Kangan haath se utaarkar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saamne daal diye aur arz kiya,:-

” Ye Allah ta’ala aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke liye he’n,

*↳ ® Sunan Abu Dawood Jamia Tirmizi,*

*↳®Fiqhul ibadaat, 275*
                                 
     ★
★ ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕
   📿 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 📿 ╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛
※★※  
      ╭━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╮
    *вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм* ╰━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╯
         ┎══━┅┅━───━┅┅━══┒
         💎 *Zakaat⇌Ke⇌Masail* 💎
         ┖══━┅┅━───━┅┅━══┚
                     ■◣◢■◤◥■◣◢
                        ☆ *_Part--09_*☆
                     ■◣◢■◤◥■◣◢
                     ✯——————————✯

*┱✿Company ke Shares Per Zakaat ✺*

★ Milo aur Companiyo ke Shares per bhi Zakaat Farz he, Ba-sharte k Shares ki qeemat baqadre nisaab ho ya uske alawa digar maal se Shares Holder Maalike Nisaab ban jaye,

★ Albatta Companies ke Shares ki qeemat me chuki machinery aur makaan, Furniture ki laagat bhi shamil hoti he, Jo dar haqeeqat zakaat se mutashna ( Free ) he,

⇨Isliye agar koi shakhs Company se maloom karke jitni raqam uski Machinery, Makaan aur Furniture me lagi hui he usko apne hisse ke mutabiq Shares ki qeemat me se kam karke baqi ki Zakaat de to ye bhi jaa’iz he,

★ Saal ke khatm per jab Zakaat dene lage us waqt Jo Shares ki qeemat hogi wahi lagegi,

*↳®Fiqhul ibadaat, 276*

*✺ Mil Kaarkhano. Per zakaat ✺*

★ Kaarkhana aur mil ki imaarat aur machine vagera per zakaat Farz nahi lekin usme Jo maal tayyar hota he us per zakaat Farz he,

★ isi tarah Jo Khaam Maal ( Raw material ) Kaarkhane me samaan tayyar karne ke liye rakha he, us per bhi zakaat Farz he,

*↳ ® Durre Mukhtar, Shami,*
*↳®Fiqhul ibadaat, 276*

     ★
★ ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕
   📿 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 📿 ╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛
※★※  
      ╭━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╮
    *вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм* ╰━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╯
         ┎══━┅┅━───━┅┅━══┒
         💎 *Zakaat⇌Ke⇌Masail* 💎
         ┖══━┅┅━───━┅┅━══┚
                     ■◣◢■◤◥■◣◢
                        ☆ *_Part--10_*☆
                     ■◣◢■◤◥■◣◢
                                 ✯——————————✯

*┱✿Provident Fund Per Zakaat-✺*

★ Provident fund me Jo Raqam mulazim ki tankhwah se kaati jati he aur us per Mahana ya Saalana izafa kiya jata he, Ye sab mulazim ki khidmat ka wo muaawza he Jo abhi uske qabze me nahi aaya, Lihaza wo mahkame ke zimme mulazim ka qarz he,

★ Zakaat ke maamle me Fuqha ikraam Rh ne qarz ki 3 qisme bayaan farmayi he’n, Jinme se baaz per zakaat waajib hoti he aur baaz per nahi hoti, Vasool hone ke baad zaabte ke mutabiq Zakaat waajib hogi, Jiski Tafseel ye he,

★ 1- Mulazim agar pehle se Sahibe Nisaab nahi tha, magar us raqam ke Milne se Sahibe Nisaab ho gaya to vasool hone ke waqt se ek Qamri Saal pura hone per Zakaat waajib hogi, Ba-sharte us waqt tak ye shakhs Sahibe Nisaab rahe,

⇨Agar Saal pura hone se pehle Maal kharch hokar itna kam reh gaya k Sahibe Nisaab nahi raha to zakaat waajib nahi hogi,

⇨ Aur agar kharch ya Jaaya hone ke bavjood Saal ke akheer tak Maal ba-qadre nisaab bacha raha to jitna baqi bach gaya sirf uski zakaat waajib hogi, Jo kharch ho gaya uski nahi hogi,

★ 2- Agar Ye mulazim pehle se Sahibe Nisaab tha to fund ki raqam chahe miqdare nisaab se kam mile ya zyada uska saal alag se shumar nahi hoga,

→Balki jo maal pehle se uske paas tha Jab uska saal pura hoga yani pehle se mojooda nisaab ki zakaat nikaalne ki tareekh aayegi to fund ki vasool shuda raqam ki zakaat bhi usi waqt waajib ho jayegi chahe us nayi raqam per ek din hi guzra ho,

⇨Zakaat ki ye tafseel imaam e aazam Abu Hanifa Rh ke qoal per mubni he, Sahabeen Rh ke qoal ke mutabiq qarz ki har qism per zakaat Farz he,

→Lihaza agar koi ahatyaat per amal karte hue guzishta tamaam saalo ki zakaat Ada kare to behtar he,

⇨ iska behtar tareeqa ye he k jabse ye mulazim Sahibe Nisaab ho us waqt se har saal ke khatm per hisaab kar liya jaye, k ab uske fund me kitni raqam jama he, Jitni raqam jama he uski zakaat Ada kar de, isi tarah har saal karta rahe,

★ Agar Usne ye Raqam kisi shakhs, Bank, Insurance company ya kisi aur Tijarati Company me Ya mulazimeen ke numaindo per mushtamil board ki taraf muntkil karwa di ho to ye esa he jese khud apne qabze me le li ho,

⇨Kyuki is tarah wo shakhs ya company us mulazim ki vakeel hogi aur vakeel ka qabza shar’an muvakkil ke qabze ke hukm me he,

⇨Lihaza jabse ye Raqam us company ki taraf muntkil hui us waqt se us per bila ittefaaq zakaat waajib hogi aur har saal ki zakaat mazkoora baala zaabte ke mutabiq laazmi hogi,

★ Tijarati company ko Nafa nuksaan me shirkat ki buniyad per dene ki soorat me jabse us per Nafa milna shuru hoga us waqt se Nafa per bhi zakaat waajib hogi,

★ insurance company ya kisi aur Soodi karobaar karne wali company ko dene ki soorat me nafa haraam he,

*↳®Fiqhul ibadaat, 278*

                 
★ ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕
   📿 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 📿 ╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛


  ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
  ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬11_* ✿


*┱✿ Tijarati Plot Per Zakaat✺*

★ Agar koi shakhs tijarat ki niyat se plot kharide aur yahi niyat baqi rahe to plot ki qeemat per zakaat waajib hogi,

→Doosre Tijarati maal ke saath iski zakaat bhi Ada ki jaye,

→Aur agar doosra maal na ho to bhi plot ki qeemat nisaab ke ba-qadr hone ki soorat me zakaat waajib he

*↳®Ahsanul fatawa, 4/305*

*★ Masla No. 1: —*

→Kharide gaye plot aur Makaan per kharidte waqt usme 3 qism ki niyate hoti he’n,

→Kabhi to ye niyat hoti he k yaha’n makaan banakar Rihaish akhtyar {Rahna Sahnaa} karenge, Agar is niyat se plot kharida he to ese plot per zakaat nahi,

*★ Masla No. 2: —*

⇨ isi tarah agar kharidte waqt na to farokht karne ki niyat thi aur na khud rehne ki niyat thi, is soorat me bhi us per zakaat nahi,

*★ Masla No. 3: —*

⇨ Jo makaan ya plot is niyat se kharida jaye k usko baad me farokht kar denge to ese makaan aur plots ki haisiyat Tijarati maal ki hogi, is soorat me unki Kul qeemat per har saal jitni qeemat hogi zakaat Farz hogi,

*↳®Ba- Hawala Durre Mukhtar, 2/298*
*↳®Fiqhul ibadaat, 279*

*✺ Fix Deposits Per Zakaat ✺*

★ Bank me raqam jama karane ka ek tareeqa Fix Deposit he, iski soorat ye he k raqam ko Bank me ek makhsoos muddat ke liye ( 3 ya 5 ya 7 saal ) is shart per rakhte he’n k Muddat mukarrah se pehle ye Raqam naqabile wapas hogi, is muddat ke khatm hone per ye Raqam ek mukarrah Sood ( interest) ke saath wapas mil jati he,

★ is per Jo Sood milta he wo na-jaa’iz aur haraam hone ki Vajah se bager Sawab ki niyat se sadqa karna zaruri he, Asal jama shuda raqam per zakaat waajib he lekin uski adaygi vasooli ke saath hi waajib hogi, vasool hone se pehle waajib nahi , jaa’iz he,

⇨ Lihaza agar kisi ne vasooli se pehle hi zakaat Ada kar di to bhi zakaat Ada ho jayegi,

*↳®Makhuzaz – Jadeed Fiqhi masail 132,*
*↳®Fiqhul ibadaat, 279*              

★☆★


  ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
  ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬12_* ✿

*┱✿ Bank me Jama Shuda Raqam Per Zakaat ✺*

★ Bank me Jama shuda raqam per bhi zakaat waajib he,

★ Saal guzarne per doosre maal ke saath unki ( Bank me Jama Shuda raqam ki ) zakaat bhi Ada ki jaye,

⇨ Fix Deposit ke alawa digar accounts jinme har waqt raqam nikaalne ka akhtyar hota he {Jaise Saving Current Account}, Unme vasooli ka intezar na kare,

*↳ ® Makhuzaz – Ahsanul fatawa, 4/311*

*↳®Fiqhul ibadaat, 280*

*✺ Soodi Account aur Zakaat ✺*

★ Bank account se zakaat vasool karne per baaz zahno me ye Baat rehta he k soodi account he aur sood aur zakaat kese jama ho sakte he’n,?

⇨ Agar kisi shakhs ki Aamdani halaal v haraam se makhloot ( mix ) ho aur wo majmua (Kul jamaa) me se zakaat nikaal de to koi qabahat nahi, Fark sirf itna he k halaal Aamdani ka 2.5% shar’an zakaat hoga aur haraam Aamdani ka 2.5% zakaat nahi hoga balki sadqa samjha jayega, Jo haraam Aamdani se jaan chhudane ke liye karna waajib tha,

★ Asal shar’an hukm ye he k sood Lena qatan haraam he, lekin agar koi shakhs sood vasool kar le to wo poora ka poora ( soodi raqam ) fuqra v masakeen ko de dena waajib he,
,
*↳®Fiqhul ibadaat, 298*

*✺ Hajj Ke liye Jama Raqam Per Zakaat ✺*

★ Maaldar hone ke etbaar se zakaat waajib hone ki tareekhe mukhtalif hoti he’n, Mukarrarah tareekh me Jo maal milk me mojood hoga us per zakaat Farz hogi,

⇨ Ab agar kisi ne Hajj ke liye raqam jama karwayi he aur uska saal pura ho raha he ek Ramzan ko, To aamado raft ka kiraya aur muallim vagera ki fees ke liye Jo Raqam di gayi he us per zakaat nahi,
isse zaa’id Jo Raqam Currency ki soorat me usko wapas milegi us per zakaat Farz he, Doosri raqam ke saath uski zakaat bhi Ada kare,

*↳® Makhuzaz – Ahsanul fatawa, 4/264*

*↳®Fiqhul ibadaat, 280*        
★☆★


  ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
  ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬13_* ✿


*┱✿ Hajj Ya Makaan Ya Beti ki Shadi Ke liye rakhi Hui Raqam Per Zakaat ✺*

★ Agar kisi shakhs ne itni raqam Jo nisaab tak pahunchti he, isliye jama kar rakhi he k me isse Hajj karunga ya isse Makaan kharidunga ya banaunga Ya isse Beti ki Shadi karunga vagera vagera,

⇨ To agar us raqam per saal guzar gaya to us per zakaat waajib ho gayi, Jab tak ye Raqam rakhi rahegi kharch nahi ho jayegi, Us waqt tak Maalik ko har saal zakaat Ada karni hogi,

⇨ Hajj ka iraada karna ya Makaan kharidna, banwana, Beti ki shadi vagera sab kaam per zakaat ki adaaygi ke liye uzr tasavvur nahi honge,

*↳® Fatawa Darul Uloom , Jild -6,Ba- Hawala, Durre Mukhtar, 7/2*

*↳®Fiqhul ibadaat, 280*

*✺ Kiraye per dene ke liye kharide hue Makaan ya Samaan Per Zakaat- ✺*

★ Ek shakhs ke paas apne rehne ke alawa bahut se makaan he aur un makaano ko kiraye per chalane ke liye kharida he aur maqsood ye bhi he taki uska Rupya bhi mehfooz rahe to ese makaanat ki qeemat per zakaat Farz na hogi chahe wo kitni hi qeemat ke ho,

⇨ Albatta unke kiraye se haasil shuda raqam nisaab ke ba-qadr ya usse zyada jama ho aur saal bhi guzar jaye to uski zakaat dena zaruri he,

★ Lekin agar is niyat se kharida he k jab qeemat bad jayegi to farokht karke nafa kamayenge, Us waqt tak kiraye per chalta rahe, To fir qeemat per zakaat Farz hogi,

*↳ ® Aapke Masail aur unka Hal, Jild -3,*

*↳®Fiqhul ibadaat, 281*

★ Isi tarah Agar koi shakhs Bartan, Shamiyana, Furniture, Cycle vagera ya aur koi samaan kiraye per dene ke liye kharidta he aur kiraye per chalata he to in cheezo per bhi zakaat Farz nahi,

⇨ Albatta kiraye ki vasooli shuda raqam agar ba-qadre nisaab ho aur us per ek saal guzar jaye to is raqam per zakaat Farz hogi,

★ Aur agar doosre maal ka nisaab bhi mojood he to kiraye ki raqam usi maal me shamil kar diya jayega, us per fir mustkil saal guzarna zaruri nahi hoga,

*↳® Fatawa Qaazi khan, 1/17*

*↳®Fiqhul ibadaat, 281*
★☆★
╨─────────────────────


  ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
  ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬14_* ✿

*┱✿ Maqrooz Per Zakaat ka Hukm ✺*

★ Agar koi shakhs esa he jiske paas kuchh sona aur kuchh chandi bhi he jis per zakaat Farz ho sakti he lekin wo maqrooz bhi he,

⇨ To esa shakhs apni tamaam cheezo ko yani sona, chandi, naqdi, tijarati maal vagera Jo kuchh uski milk me he usko jama karke fir dekhe k qarz chukane ke baad uske paas ba-qadre nisaab yani Saade Bavan tola chandi ki qeemat ke barabar raqam bachti he ya nahi,

⇨ Agar itni raqam bachti he to us per us zaa’id bachi hui raqam per zakaat Farz hogi,

⇨ Agar ba-qadre nisaab raqam nahi bachti to maqrooz per zakaat Farz nahi,

*↳® Ba- Hawala– Sharah Bidaya, 2/168*

*↳®Fiqhul ibadaat, 281*

*✺ Qarz Per di hui Raqam per Zakaat ✺*

★ Qarz dena apne musalman bhai ki zarurat ko pura karna he aur ye bahut ajro sawab ka kaam he,

★ Qarz per di hui raqam zakaat qarz dene wale ke zimme laazim he lene wale ke zimme nahi, kyuki iski maaliyat raqam qarz dene wale ki milk me dakhil he,

★ Agar kisi ne kuchh raqam qarz de rakhi he ya Farokht shuda maal ki qeemat kharidaar ke zimme baqi he to us raqam ki zakaat maalik per har saal waajib hogi,

⇨ Albatta akhtyar hoga k chahe vasool hone se pehle zakaat nikaal de ya Jab ye qarz vasool ho jaye ( Jitne saalo me bhi vasool ho ) to guzishta tamaam saalo ki zakaat ikatthi nikaal de,

*↳®Fiqhul ibadaat, 283*

★☆★


  ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
  ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬15_* ✿


*┱✿ Ladkiyo'n ke Naam kiye Hue Zevero Per Zakaat ka Hukm ✺*

★ Baaz log bachcho ke jahez ke naam per zevraat kharid lete he’n, Un per zakaat ka Hukm ye he k Agar bachcho ko maalik nahi banaya to Baap ke zimme laazim he k doosre maal ke saath un zevraat ki bhi zakaat Ada kare,

⇨ Agar Bachcho ko maalik bana diya to Baalig hone se pehle us maal per zakaat Farz nahi, Baalig hone ke baad Jo Ladki Saahibe Nisaab hogi us per zakaat Farz hogi,

*↳ ® Ba- Hawala—- Durre Mukhtar, 2/258*

★ Ladkiyo per zakaat waajib hone ki soorat me adaygi ki do soorte he’n,

1-Ya to Baap unki taraf se zakaat Ada kare,

2- Ya ladkiya apni taraf se Ada kare,
Agar esi koi soorat na ho to zevraat ka kuchh hissa bech karke zakaat Ada kar di jaye,

*↳®Fiqhul ibadaat, 282*

*✺ Chande Ki Raqam Per Zakaat ka Hukm ✺*

★ Agar kisi idaare ne Beva, Yateem vagera mustahiqeen per kharch karne ki niyat se chanda karke zakaat ki raqam ikatthi ki aur wo raqam nisaab se zyada he, Saal ke dauran kuchh raqam aati rahi aur hasbe zaabta kuchh kharch hoti rahi,

⇨ Saal ke aakhir me ba-qadre nisaab ya isse zyada ki bachat to us zakaat ki bachi Hui raqam per zakaat Farz nahi hogi,

⇨ Kyuki ye kul raqam hi zakaat hi ki he aur ye kisi Farde wahid ki milk me dakhil bhi nahi he,

*↳ ® Ahsanul fatawa, 4/299*
*↳®Fiqhul ibadaat, 284*

*✺ Murgikhana aur Machhli ke Talaab Per Zakaat ✺*

★ Murgikhana aur Machhhli ke talaab ki zameen, makaan aur isse mutalliq samaan per zakaat nahi,

⇨ Murgiya’n aur Chuje kharidte waqt agar unhi ko bechne ki niyat ho to unki maaliyat per zakaat he, aur agar unki bajaye unke ande aur bachche bechne ki niyat ho to zakaat waajib nahi,

*↳ ® fatawa Qazikhan, 1/117*

★ Talaab me machhliya’n ya unke bachche khareed kar dale ho to unki maaliyat per zakaat Farz he, varna nahi,

⇨ Murgikhana aur Talaab ki aamdani per bahar soorat zakaat he,

*↳® Ahsanul fatawa, 4/300*
*↳®Fiqhul ibadaat, 285*

*_Note-India Me aaj yani {jume Raat} ko ibadat Karna hai Aur Roza kal yani juma ko Rakhna hai {Koi Khas ibadat Ki Tarteeb Hadees Se sabit Nahi Hai Apne hisab se Aap Sab log ibadat kar le Jaise,,,,,Qaza Namaz,Nafil Namaz,,Salatut tasbeeh ki namaz,Zikr O azkar,Qur'an Ki tilawat}_*

★☆★


  ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
  ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬16_* ✿


*┱✿ Masarife Zakaat aur Uski Tafseel ✺*

★ Zakaat ki adaaygi ke liye Shariyate Mutahra ne ye usool muqarrar farmaya he k,
Zakaat sirf unhi logo ko di ja sakti he Jo mustahiq ho,

⇨ Aur mustahiq e zakaat wo log he’n jinke paas Saade Bavan tola chandi ya iski qeemat ke barabar raqam ya itni maaliyat ka koi samaan zarurat se zyada na ho,

*↳ ® Ba- Hawala– Durre Mukhtar, 2/347*

*⇨ Zakaat ki adaaygi ki Shart,,,*

★ Zakaat ki adaaygi ke liye ye shart laazim he k kisi mustahiq shakhs ko bager kisi avaz ke mahaz lillaah maalik banakar de di jaye,

⇨ Lihaza jin soorto me kisi mustahiq ko maalik nahi banaya jaye unme zakaat Ada nahi hogi,

*®Ba- Hawala— Durre Mukhtar, 2/344*
*↳®Fiqhul ibadaat, 285*

*✺ Masraf Talash karne me Kotahi ✺*

★ is silsile me baaz log ye kotahi baratte he k Zakaat nikaalte to he lekin iski parvaah nahi karte k sahi masraf me lag rahi he ya nahi, Kahi esa to nahi k laparvahi me gair mustahiq ko zakaat de di aur samajhte rahe apne zimme se farig ho gaya,

⇨ Halanki gair mustahiq ko dene ki Vajah se zimma farig nahi hua, kyuki jis tarah maaldar per ZAKAAT ki adaaygi zaruri he, Mustahiq talaash karna bhi zaruri he,

⇨ Bager tehqeek kisi bhi shakhs ko Zakaat ki raqam pakda di to usse na zakaat Ada hogi na zimma farig hoga, isliye khoob tehqeek karke dena laazim he,

*↳®Fiqhul ibadaat, 286*

★☆★

    ★

┱✿
 *RAMAZAN-IS-TARAH-GUZARIYE*
             *(NIZAMUL - AWQAAT)*

                       *Part - 6* ┗═════════════════✿

*┱✿- Duao'n ka ahatmam karna,*

✾ Har roz khaas tor per 30 minutes Dua maangne ka ahatmam kare,

            *Al-Quran*

✾ “Allah ta’aala ka irshad he k Jo mujhse dua maangta he, me uski duae qubool karta hu,”

*↳® Al- Quran,*

*☞- Maahe Ramzan me zakaat Ada karna,*

✾ Agar maale nisaab ko pahunche to maal ki zakaat Ada karne ka ahatmam kare,

              *Al-Quran *

✾ ” Allah ta’ala ka irshad he k namaz qaayam karo aur zakaat Ada karo aur ruku karne walo ke saath ruku karo yani jamaat ke saath namaz Ada kiya karo,”

*↳® Surah Al- Baqrah, 43*

*☞- Tahajjud ki namaz Ada karna,*

✾ Rozana tahajjud ki namaz ka ahatmam karna,

          *Al-Quran *

✾ “Allah ta’aala ka irshad he,
unke pehlu bistaro se door rehte hai
aur khof aur ummeed ke saath apne rab ko pukarte hai
aur Jo humne unko de rakha he usko raahe Khuda me kharch karte hai,”.

              *↳® Al Qur’an*
           ╙══════════╜

 ReF✿┅╮
   
*📁_Ramazan Kis Tarah Guzaare,*

  ╟❥ *Next-7  in Sha Allah*


  ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
  ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬17_* ✿

*┱✿ ✺ Gareeb Rishtedaro ko Zakaat Dene ki Fazilat ✺*

★ Agar aapke azizo aqaarib me gareeb log mustahiqe zakaat ho to unko Zakaat v Sadqa dena zyada behtar he aur dohra sawab rakhta he,
Avval Sawab Sadqa ka aur dom Silah rahmi ka,

⇨ isme ye bhi zaruri nahi k unhe ye batakar zakaat de k Sadqa ya zakaat de raha hu’n balki kisi Tohfa ya Hadiya ke unwaan se bhi diya ja sakta he taki lene wale shareef Aadmi ko apni khaft mehsoos na ho,

★ Suleman bin Aamir Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k,

"_Kisi ajnabi miskeen ko Allah ke liye kuchh dena sirf Sadqa he, Aur apne kisi azizo aqaarib ( zaruratmand ) ko Allah ke liye dene me do pehlu he’n aur do tarah ka sawab he, Ek ye k Sadqa he, doosre ye k Silah rahmi he ( Yani haqe qarabat ki adaaygi Jo bajaye khud badi neki he ),

*↳ ® Musnad Ahmad, Tirmizi,*

*↳®Fiqhul ibadaat, 286*

*✺ Kin Rishtedaro Ko Zakaat de Sakte he’n ✺*

★ In Rishtedaro ko zakaat di ja sakti he Ba-sharte k wo mustahiqe zakaat ho: –

★ 1- Apne Haqeeqi Bhai Bahan ( jinke maa baap ek ho ),
Alaati Bhai Bahan ( jinke baap ek ho lekin maa alag alag ho ),
Akhyafi Bhai Bahan ( Jinki maa ek ho aur baap alag alag ho ),
Razaa’i Bhai Bahan ( Jinhone muddate raza’at me ek hi aurat ka doodh piya ho )
Inko zakaat dena durust he, isi tarah inke alawa ko bhi dena durust he,

★ 2- Apne Chacha, Chachi, Fufa, Fufi, Mamu, Mumani, Khala, Khalu aur in sabki Aulaado ko bhi zakaat dena durust he,

★ 3- Apne Sotele Maa Baap, Razaa’i Maa Baap, Razaa’i Beta Beti aur in sabki Aulaado ko bhi zakaat dena durust he,

★ 4- Apne Sasur, Saas aur unki Aulaad ko bhi zakaat dena durust he,

★ 5- Shohar Apni Bivi ki esi Aulaad Jo uske pehle Shohar se ho, isi tarah Bivi apne Shohar ki esi Aulaad Jo pehli Bivi se ho, unko Zakaat dena durust he,

★ 6- Apne Damaad aur Bahu ko bhi zakaat dena durust he,

*↳® Fatawa Darul Uloom, Jild -6,*

*↳®Fiqhul ibadaat, 287*

*✺ In Rishtedaro ko Zakaat nahi de Sakte ✺*


★ 1- Apne Maa, Baap, Dada, Dadi, Pardada, Pardadi, ko zakaat dena durust nahi he,

★ 2- Apne Nana, Nani, Parnana, Parnani, ko bhi zakaat dena durust nahi he,

★ 3- Apne haqeeqi Beta, Beti aur unki Aulaad yani Pota, Poti,parpote, Parpoti, Navasa, Navasi Parnavasa,Parnavasi ko bhi zakaat dena durust nahi he,

★ 4- Shohar apni Bivi ko aur Bivi apne Shohar ko bhi zakaat nahi de Sakti he,

*↳®Fiqhul ibadaat, 288*
★☆★
╨─────────────────────


  ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
  ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬18_* ✿

*┱✿ ✺ Zakaat Ada karne Ka Tareeqa - ✺*

★Zakaat dete waqt zakaat ki niyat zaroori he Jo cheez zakaat ki niyat se na di jaye usse zakaat Ada nahi hogi,

★Behtar he k zakaat ki niyat karke kuchh raqam alag rakh li jaye or fir us me se waqtan fa waqtan,thodi thodi dete rahe to zakaat Ada ho jayegi,

★ Ekmusht Zakaat Ada ho jati he, magar kisi ko ekmusht itni zakaat de dena k wo Sahibe nisab ho jaye makrooh he,

★ Zakaat dete waqt ye batana zaroori nahi k ye zakaat he, Hadiya ya Tohfa ke unwaan se Ada ki jaye aur Ada karte waqt niyat zakaat ki kar li jaye to zakaat Ada ho jayegi,

★Agar doosra aadmi, sahibe maal ke hukm ya ijazat se uski taraf se zakaat Ada kar de to zakaat Ada ho jayegi varna nahi,

★ Riyakari aur numaish ki garaj se zakaat ki tashheer jaa’iz nahi, balke isse sawaab batil ho jata he,

★ Peshgi ( advance) zakaat Ada karna bhi sahi he, zakaat Ada ho jayegi,

★ Agar koi shakhs gaflat aur kotahi ki vajah se farayaz ko chhodta he to farayaz maaf nahi honge ,

⇨balki hisaab karke zakaat jitne saalo ki zimme he waqtan fa waqtan thodi thodi Ada karte rahe yaha tak k zakaat poori ho jaye,

★ Dukan me jitna maaliyat ka samaan he, uski qeemat laga kar, Jo Qarz agar zimme ho usko ghata kar Jo raqam bache uska 40 va hissa zakaat Ada kar de,

★Zakaat ki raqam ka jab tak kisi miskeen fakeer ya mustahiq ko maalik nahi bana diya jayega zakaat Ada nahi hogi,

★Raddi aur na bikne wali cheez ka zakaat me dena ikhlaas ke khilaf he,

*★Qarz di hui raqam me zakaat ki niyat karne se zakaat Ada nahi hogi,*

⇨kyuki qarz dete waqt zakaat ki niyat nahi hoti he,, aur zakaat Ada karte waqt niyat karna shart he,,ese hi mulazim ( servant) ko advance di hui raqam ki zakaat ki niyat karna durust nahi,

★Zakaat ki raqam se mulazim (servant) ko tankhwah ( salary) dena jaa’iz nahi, imdaad ke liye zarurat ya mohtaaj samajhkar tankhwah ke alawa zakaat de di jaye to zakaat Ada ho jayegi,

★Zakaat ki raqam ko masjid me lagana jaa’iz nahi,

★Aurat ke paas Rupya Paisa na ho to zever bechkar zakaat Ada kare,

★Agar Naqdi Rupya Paisa na ho to Saabka {Pichlaa} aur Aainda saalo ki zakaat me zever de sakte hai,

*★ income tax Ada karne se zakaat Ada nahi hoti,*

⇨ income tax mulki zaruriyat ke liye government ki taraf se muqarrar hota he, jabki zakaat ek musalman ke liye fariza e khudavandi aur ibadat he, income tax Ada karne se zakaat Ada nahi hoti, balki zakaat ka alag Ada karna zaroori he,
 ,
*↳® Aapke Masail aur unka Hal,Jild-3*


 ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │   *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │*ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
 ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬19_* ✿

*┱✿ ✺ Shadi Shuda Aurat ko Zakaat dena ✺*

★ Aurat Jiska Mahar nisaab ke barabar ya usse zyada ho aur ye ummeed ho k jab ye Aurat Mahar talab karegi to uska Shohar bila ta’amul de dega, To esi Aurat ko zakaat dena na-jaa’iz he,

⇨ lekin agar Shohar itna gareeb he k Mahar Ada nahi kar sakta ya Maaldar to he lekin nahi deta, aur khud Aurat ke paas nisaab ke ba-qadr maal mojood nahi, To esi Aurat ko zakaat dena durust he,

*↳® Ba- Hawala– Sharah Tanveer, 2/113*

*↳®Fiqhul ibadaat, 289*

*✺ Beva Ko Zakaat ka Hukm ✺*

★ Baaz log ye samajhte he’n k agar koi Beva he to usko zakaat zarur deni chahiye, halanki yaha bhi shart ye he k wo mustahiqe zakaat ho, Sahibe Nisaab na ho,

⇨ Agar Beva mustahiqe zakaat he to uski madad karna badi achchhi baat he,

⇨ lekin agar koi Beva khatoon mustahiqe zakaat nahi to mahaz Beva hone ki Vajah se wo masrafe zakaat nahi, ( yani usko zakaat nahi de Sakte), Balki esi khatoon per to khud zakaat ki adaaygi farz hoti he,

★ Lihaza khoob tehqeeq ke baad zakaat di jaye, Bahut si Bevao ke bare me pata chalta rehta he k unke paas bahut kuchh maal he jiski vajah se wo khud Sahibe Nisaab he, Baharhal sirf Beva hona istahqaq ki zamanat nahi he,

*↳ ® Hindiya,,, 1/137*

*↳®Fiqhul ibadaat, 290*

*✺ Sayyad ko Zakaat ka Hukm ✺*

★ Sayyad ko bhi zakaat dena na-jaa’iz he, Albatta agar uski Bivi gair Sayyad ho aur mustahiqe zakaat he to usko zakaat de Sakte he’n, Wo zakaat ki Maalik hone ke baad chahe to apne Shohar per aur Bachcho per bhi kharch kar sakti he,

*★ Bani Haashim ko Zakaat,,,,*

⇨ isi tarah Hazrat Ali Raziyallahu Anhu, Hazrat Abbas Raziyallahu Anhu, Hazrat Zaafar Raziyallahu Anhu, Hazrat Aqeel Raziyallahu Anhu, Hazrat Haaris bin Abdul Muttalib Raziyallahu Anhu ki Aulaad ko bhi zakaat dena na-jaa’iz he,

⇨Kyuki ye sab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke khandan se he’n, Agar ye gareeb he’n to unki madad aur iaanat Hadaya, atiyaat se karni chahiye,

*↳® Sharah Bidaya, 2/188*

*↳®Fiqhul ibadaat, 289*

★☆★
╨─────────────────────


 ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
 ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬20_* ✿

*┱✿ ✺ Yateem ko Zakaat ka Hukm ✺*

★ isi tarah yateem ko zakaat dena uski madad karna bhi bahut achchhi baat he,

⇨ lekin yaha bhi dekha jaye k wo mustahiqe zakaat he k nahi,

⇨ Agar wo Sahibe Nisaab he to fir yateem hone ki Vajah se usko zakaat nahi di ja sakti, lihaza in ahkamaat ko madde nazar rakhte hue zakaat deni chahiye,
,
*↳®Fiqhul ibadaat, 290*

*✺ Khair aur Tameer ke Kaam me Zakaat ✺*

★ Masjid, Madarsa, Khanqah, Kunwa, Pul ya kisi idaare ki Tameer vagera me zakaat ki raqam kharch karna jaa’iz nahi,

⇨ Agar usme kharch kar di gayi to zakaat Ada nahi hui,

⇨ Kyuki us maal me zakaat ko malikana tor per nahi diya gaya, Jabki Ada e zakaat ke liye mustahiq shakhs ko maalik banakar dena zaruri he,

*↳ ® Sharah Tanveer, 2/100*

*↳®Fiqhul ibadaat, 290*

★☆★
╨─────────────────────


 ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
 ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬21_* ✿

*┱✿ ✺ Mutafarrik ✺*

★ Zakaat lene wale ke jaahir ka etbaar hoga, agar jaahir ke haal ko dekh kar dil maanta ho k ye mustahiq hoga usko zakaat de di jaye,

⇨ Agar koi mustahiq na ho balki apne aapko jaahir kare aur uske jaahir ko dekh kar guman ke mutabik zakaat de di gayi to zakaat Ada ho gayi, magar zakaat ese bheek mango ko nahi dena chahiye,

★Jisko zakaat di jaye usko batana Zaroori nahi k ye zakaat ki raqam he, sirf zakaat ki niyat kar lena kaafi he,

★imaam e masjid agar mustahiq he to zakaat de sakte hai, lekin tankhwah me zakaat ki raqam nahi de sakte,

★ Gair Muslim ko zakaat dena jaa’iz nahi, nifli sadqa de sakte hai,

★ Deeni Madaris ko zakaat dena behtar he,kyuki gurba masakeen ki iaanat ke saath saath uloome deeniya ki sar parasti bhi hoti he,

★ Falahi idaare tamaam ( Jo zakaat vasool kar ke mustahiq tak pahunchate hai) zakaat ke vakeel hai jab tak mustahiq ko Ada na kar de,

★ Zakaat se chanda vasool karne wale ko muqarrarah hissa ( commission) Dena jaa’iz nahi,
,
*↳® Aapke Masail aur unka Hal, Jild-3,*
★☆★
╨─────────────────────


 ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
 ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬22_* ✿

*┱✿ ✺ Heela Tamleek ✺*

★ Baaz log Jo Madaris ya Masjid ke masarif aam me zakaat sarf karne ke liye ek heela kiya karte he’n k Avval kisi miskeen ko samjha diya k hum tumko …..Rupya denge, fir tum Masjid ya Madarse me de dena, aur fir usko zakaat ki raqam dete he’n wo Madarsa aur Masjid me de deta he, aur isko Heela Tamleek kaha jata he ,

⇨ Chunki yaqeeni baat he isme dene wala haqeeqat me us miskeen ko maalik nahi banata mahaz soorat tamleeki he, aur na hi dene wala miskeen ba tayyab khatir Masjid ya Madarsa ko deta he, lihaza is tarah zakaat Ada nahi hoti,

      *● Sahi Soorat: —*

★ Agar kahi ese moqe per zakaat se imdaad karne ki zarurat ho to iski ek tadbeer Jo bilkul qawa’id ke mutabik he, ye he k kisi miskeen ko mashwara diya jaye k tum maslan (1000) rupya kisi se qarz lekar fala Sayyad ko de do ya Masjid ya Madarsa me de do to hum tumhari iaanat adae qarz me kara denge,

→Jab wo miskeen waha de de to tum us miskeen ko ( 1000 ) rupya Zakaat me de do,

*↳ ® Makhuzaz- islahul muslimeen,*

*↳®Fiqhul ibadaat, 291*

★☆★
╨─────────────────────


 ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
 ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART-NO↬23_* ✿

*┱✿ ✺ Qarz Maaf karne se Zakaat Ada ka Hukm ✺*

★ Agar kisi gareeb Aadmi per Aapke maslan 1000 Rupya qarz he, Aur Aapke maal ki zakaat bhi 1000 Rupya ya isse zyada he to Agar aapne apna qarz usko zakaat ki niyat se maaf kar diya to zakaat Ada nahi hogi,

⇨ Albatta agar usko 1000 Rupya Zakaat ki niyat se de de to zakaat Ada ho gayi, Ab wahi 1000 Rupya agar apne qarz me usse vasool kar le to durust he,

*↳ ® Ba- Hawala—- Durre Mukhtar, 2/18*

*↳®Fiqhul ibadaat, 293*

*✺ Zakaat ki Raqam in Kaamo me Bhi kharch ki Ja sakti he ✺*

★ 1- Zakaat ki raqam se Deeni kitaabe aur Quran majeed chhapwakar ya khareed kar mustahiq Talba aur Ahle ilm ko maalik bana kar dena,

★ 2- Zakaat ki raqam se Madarse ke Talba ka mahana vazeefa muqarrar karna,

★ 3- Zakaat ki raqam se Madarse ke gareeb Ustaado ki Madad karna ( Tankhwah ke alawa),

★ 4- Zakaat ki raqam se kisi zarurat mand aur haajat mand ka mahana muqarrar karna,

★5- Zakaat ki raqam se mujahideen ki Jihaad ki zaruriyaat poori karna,

★6- Zakaat ki raqam se Gareeb Walden ki ladki ( Jo sahibe Nisaab na ho ) ki shadi me Madad karna, vagera vagerah,,,,,,,,

*● Allah ta’ala Hume iski tofeeq ata farmaye,( Aameen )*

*↳®Fiqhul ibadaat, 293*
★☆★
╨─────────────────────


 ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
 ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬24_* ✿

*┱✿ ✺ Thodi Thodi aur Ashya ki Shakl me Zakaat ✺*

★ Jitni miqdaar me zakaat waajib hui he uski adaygi zaruri he, chahe to saal ke Aakhir me ek musht Ada Kare to ye bhi durust he,

★ aur chahe to har maah kuchh raqam thodi thodi karke peshgi saal bhar zakaat ki niyat se nikaalta rahe taki saal ke khatm per bojh na pade, Ye bhi durust tareeqa he,

⇨ Baharhal miqdaar zakaat waajib he iska Ada karna zaruri he chahe kisi bhi tareeqe se ho

*↳ ® Aapke Masail aur unka Hal, Jild-3,*

★ Koi shakhs agar raqam dene ke bajaye zakaat ke Rupye se galla, kapda ya digar istemali cheezo ko khareed kar mustahiq ko deta he, isse bhi zakaat Ada ho jayegi,

⇨ Halaat ko dekhkar chahe raqam de di jaye ya istemali cheeze khareed kar hadiya ya Tohfa ke naam se de di jaye, dono soorato me zakaat Ada ho jayegi basharte k maalik banakar di jaye,

*↳® Ahsanul fatawa, 4/291*

*↳®Fiqhul ibadaat, 293*

*✺ Guzishta Saalo ki Zakaat ✺*

★ Ek shakhs ne 2-3 ( Ya isse zyada) saal ki zakaat Ada nahi ki,

⇨ Ab doosre, teesre ( ya isse zyada ) saalo ki zakaat Ada karne ki soorat ye he k pehle saal ki zakaat munhama karne ke baad ( hisaab karne ke baad) Jo Raqam bachti he doosre saal us per zakaat Ada kare, Fir uske baad Jo Raqam bachti he teesre saal uski zakaat Ada kare,

⇨( isi tarah guzishta tamaam baqiya saalo ka hisaab karke zakaat Ada kare)

*↳ ® Ba- Hawala,,, Bidaya, 2/7*

*↳®Fiqhul ibadaat, 299*

*✺ Zakaat ki Niyat ka Hukm ✺*

★ Zakaat ki adaaygi ke liye niyat Ada e zakaat bhi zaruri he,

⇨ Jis waqt zakaat ka Rupiya vagera kisi mustahiq ko de, us waqt dil me ye niyat zarur kar lena chahiye k me zakaat Ada karta hu’n,

★ Agar kisi ne yu’n kiya k Zakaat ki raqam hisaab karke alag karke rakhi k jab mustahiq aa jaenge to deta jaunga, to ye niyat bhi kaafi ho jaegi, fir chahe dete waqt niyat na kare,

*↳ ® Ba- Hawala— Sharah Bidaya, 1/180*

★ Agar kisi mustahiq ko zakaat ka maal dete waqt Ada e zakaat ki niyat nahi ki to jab tak wo maal us gareeb( Jisko zakaat di gayi) ke paas mojood he, us waqt tak bhi niyat kar lena durust he, Ab niyat karne se bhi zakaat Ada ho jaegi,

⇨ Albatta faqeer ke paas se us maal ke kharch ho Jane ke baad niyat ki to us niyat ka aitbaar nahi, Ab dobara zakaat dena padegi,

*↳® Ba- Hawala— Durre Mukhtar, 2/16*
,
*↳®Fiqhul ibadaat, 292*

★☆★
╨─────────────────────


  ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
  ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬25_* ✿

*┱✿ ✺ Amanat aur Peshgi Raqam Per Zakaat ✺*

★ Agar kisi ke paas raqam rakhwayi he to uski zakaat Amanat rakhwane wale ke zimme hogi na ki jiske paas rakhi he, Kyuki ye Raqam Amanat rakhwane wale ki milk he {Yani Wo Uska Malik Hai},

*↳ ® Kifayatul Mufti, Jild -4*

★ Kiraye ke makaan aur Dukaan ke liye Jo Raqam bator zamanat peshgi kirayedaar se li jati he wo Maalik makaan v dukaan ke paas amanat rehti he aur qabile waapsi hoti he,

⇨ Lihaza iski zakaat kiraayedar ke zimme he, maalik dukaan ya makaan ke zimme nahi,

*↳® Aapke Masail aur unka Hal, Jild-3,*

*↳®Fiqhul ibadaat, 295*

*✺ Zakaat dene me Galti ho Jaye To iska Hukm ✺*

★ Agar kisi shakhs ne kisi ko gareeb v mustahiq samajhkar zakaat de di fir maloom hua k wo to zimmi kaafir ( Yani esa kaafir Jo Darul islam ke shehri huqooq rakhta ho ) ya Maaldar ya Sayyad he,

⇨ ya raat ke andhere me kisi ko de diya fir maloom hua k wo uski maa, uska baap ya koi esa rishtedar he jisko zakaat Dena uske liye durust nahi tha,

⇨ in soorato me zakaat Ada ho gayi dobara lotane ki zarurat nahi, kyuki zakaat ki raqam uski milk se nikalkar mahle sawab me pahunch chuki he aur Jo galti kisi andheri ya mugalte ki Vajah se ho gayi wo maaf he,

*↳ ® fatawa Darul Uloom , Jild -2,*

★ Aur agar zakaat dene ke baad maloom hua ki jisko zakaat di he wo gair zimmi kaafir he ( yani esa kaafir Jo Darul islam ke shehri huqooq na rakhta ho ) to fir zakaat Ada nahi hui, dobara ada karna padegi,

⇨ Agar kisi ke bare me shak ho k maloom nahi mustahiq he ya nahi? jab tak tehqeeq na ho jaye us waqt tak usko zakaat na de, lekin agar bager tehqeeq ke de di to ab agar gumaan ye ho k gareeb tha to zakaat Ada ho gayi aur gaalib gumaan ye ho k maaldar tha to zakaat Ada nahi hogi, dobara ada karni padegi,,

*↳®Fiqhul ibadaat, 297*
★☆★
╨─────────────────────


 ╭┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅
 │    *вiѕмiʟʟaнiʀ*
 │ *ʀaнмanniʀ ʀaнeeм*
 ╰┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅


╭┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╮
       💸 *_Zakaat↝Ke↜MasaiL_* 💸
╰┄┅┅❉══❉══♡◐♡══❉══❉┅┅┄╯

            ✿ *_PART NO↬26_* ✿

*┱✿ ✺ Paydawaar Per Zakaat ( Ushr ) ✺*

★ Ushr zameen ki paydawaar ki zakaat he, Agar zameen Barani ho k barish ke paani se seraab hoti ho to paydawaar uthne ke waqt uska 10 va hissa Allah ta’ala ke Raaste me dena waajib he,

★Agar zameen ko khud seraab ( Watering) kiya jata he( kunwa, tubwell, nahar, Talaab se )to paydawaar ka 20 va hissa sadqa karna wajib he,

★Hamare imaam Abu Hanifa Reh. ke nazdeek paydawaar kam ho ya zyada, us per Ushr waajib he,

★Jaanwaro ke chare ke liye kaast ki gayi fasal per bhi Ushr wajib he,

★ek baar Ushr Ada karne ke baad jab tak usko becha nahi jata, us fasal per dobara ushr nahi he, na hi zakaat,

★ Fasal bechne ke baad Jo raqam haasil hogi us per zakaat us waqt wajib hogi jab saal guzar jaye, agar ye shakhsh pehle se hi sahibe nisab he to jis waqt ye apne nisaab per saal poora hone per zakaat Ada karega to is raqam per bhi zakaat Ada karega,

★Zameen me Jo akhrajaat ( kharch) hote hai, ( beej, khad, tractor etc) paydawaar me se inko ghataya (inka kharch kam nahi kiya jayega ) nahi jayega balki poori fasal per 20 va Ya 10 va ( Jesi fasal he ) hissa Ushr Ada karna hoga,

★ Qabile farokht baag, ya qabile nafa Fal ( Fruits) hone per bechne wale maalik ke zimme Ushr hoga,

★ Hissedari ki Paydawaar per apne apne hisse ki paydawaar ka Ushr Ada kare, usool ye he k fasal jiske ghar aayegi zameen ka Ushr bhi us ke zimme hoga,

★ Ushr ki raqam bhi zakaat ki tarah fuqra masakeen ko di jayegi,

⇨ Tamaam Masail ko, behtar ye he k apne Ulma Kiraam se samajha jaye,

*↳® Aapke Masail aur unka Hal,, 3/408*

*Alhamdulillah Mukammal Hue_____*

★☆★
╨─────────────────────

Parde ke ahkaam

 ★☆★    ▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁     βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм    ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔       ✦ PARDE  KE  AHKAAM ✦   ✰═❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖═✰ ☞ 01- Par...