DEENI MASAIL 1 to 40
AAPKR MASAIL OR UNKA HAL
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 01
Kya Jaadu Karne Se Aadmii Andha aur Na-mard ho jaata hei....?
Aur Use Khatm Karne Ke Leye AmaLiyaat Ke Zariye iLaaj Karwaaya Jaa Sakta hei.....?
Kya istarah iLaaj Karne Se Shirk Ka Khtra Laahiq hota hei...?
🔵 J A W A A B- 01
Jaadu { Magic} Se Insaan Ko Nuqsaan Pahunch Sakta hei, Binaai { Vision } Mardangi { SexuaL Power } Khatm ho Saktii hei.
Lekin Istarah Kii Baaten Zyadatar Beemarii Kii Wajah Se Pesh Aatii hein...... Is Liye Aise Waaqiwaat mei Doctor Se Rujooa Karna Chaahye.
Fir Bhii Agar GhaaLib Guman { Most LikeLy } ho Ke Jaadu hii hei, Aur Muttaqee, Parhezgaar Aur Muatabar AamiL Aisa Batata ho........to Aise AamiL Se ILaaj Karane mei Koi haraj Nahie Jo Qur'aanii Aayaat Aur Hadeethe Paak Ki Duaaon Se ILaaj Karta ho......Aur Mushrikaana Tareeqa Ikhtiyar Na Karta ho.
📓 Kitab-uL-fatawaa-1/372.
Note:
тαmααm αнвααв
Se dαrкнwααsт
Ki jααтi нei кe кoi
Croos quεsтions
Hαrgiz nα кαre
αgαr msg mei кoi
βααт Sαmαjн mein
nαнie ααтi нei тo αρne
αreα кe кisi
Muƒтi γα mαuLαnα
Sε rααвтαн кαrein,
wo ααρкo кнooв
αcннcннi тαrαн
Sαmjнαdenge, sнuкriyα.
⚡ Read fallow and forward....
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 02
Mayyat k Name Kaa Khaanaa Khaanaa Jaaiz Hai Yaa Nahi?
🔵 J A W A A B- 02
Faqeer k Liye Durust Hai, Aur Maaldaaraon k Liye Achchha Nahi Hai,
[ Fatawa Darululoom . Jild No 16. Page No 84 ]
*_Note :- Tamaam ahbaab se guzarish hai ke koi bhi cross question hargiz naa kare agar msg me koi baat samjh me nahi aati hai tu apne area ke mufti ya moulana se contact kare wo aapko bhahut achi tarah samjha denge,,shukriya_*
⚡ Read fallow and forward.
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 03
Ghar mei Tasweer {Photo} Rakhna Ya Latkana Na-jaaiz hei, Isitarah Jis Ghar mei Tasweer {Photo} ho...Wahan Rahmat Ke Farishte Nahie Aate.
Magar Rozana Ghar mei Jo Akhbaar {Newspapers} aate hein, Un mei Jaandaar {Spirited} kii Tasweeren Bhie Hotii hein.....Uska Shar'ee Hukm Kya hei?
🔵 J A W A A B- 03
Ye Saheeh hei Ke Ghar mei Jaandaar {Spirited} Kii Tasweer {Photo} Rakhna aur Latkana Jaaiz Nahie,
Magar Ghar mei Akhbaar {Newspapers} Ka Lana Jaaiz hei, Koi Qabaahat Nahie.....Kyun Ke Us mei Maqsood Khabren hotii hein......Na Ke Tasweeren, Tasweeron Kii Haisiyyat Zimnee hotii hei.
Agar Koi FiLmii Magazine Jo Actors, Actress Aur ModeLs Kii Tasweeron Se Bhare huye ho, Aur Use Sirf Tasweeren Dekhne hii Ke Liye Ghar mei Laaya Jaaye To ye Kisii Surat mei Jaaiz Na hoga, Aur Aise Magazine Kii SeLLing Bhii Jaaiz Nahie.
ALLaah Ta'aaLa Hum Sab Ko AmaL kii Taufeeq Se Nawaaze, aamiin.
📓 Kitaab-uL-fatawaa-5/279.

⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 04
AajkaL FLats Ke Farokht {SeLLing} Kii Ye Soorat har Jaga aam ho Gayii hei Ke PehLe Pure Project Ka Naqsha Bana Liya jaata hei, Aur Taameer Shuroo hone Se PehLe hii Zyadatar FLats Farokht {SeLL} Kar Diye Jaate hei, Kya Istarah FLats Farokht {SeLL} Karna Jaaiz hei ?
🔵 J A W A A B- 04
Jab Tak Ek Cheez Wajood mei Na Aajaye Us Ko Bechna Durust Nahei,
Lekin Isse Ek Soorat Mustasna {Excepted} hei, Jis Ko "Istisna'a" Kehte hei.....Yaanii Aisii Cheez Jin Ko Order Par Tayyar Karne Ka Riwaaj ho, Jaise Joota {Shoes} Waghairah.
AajkaL FLats Usii Andaaz Par Banaaye Jaate hein, FLats Ke Naqshe, Us Ki Makaaniyat {Views} Taameerii Me'ayaar {Quality} Aur Poori TafseeLaat {Details} PehLe Waazeh {CLear} Kardii Jaatii hei, MahaLLe Wuqooa {Location} Dekhne Kii Bhii Gunjaaish hotii hei, Aur FLates Kis ManziL {FLoor} Par hoga Ye Bhi CLear Kar Diya Jaata hei, Jis Kii Wajah Se Niza'a {Dispute} Ka Andeshah Khatm Ya Bahut Kam ho Jaata hei,
Is Liye Jo Log FLats Taameer Kar Ke Bechte hein, Un Ke Liye Istarah Bechne Kii Gunjaaish hei.
📓 KitaabuL Fatawaa-5/273.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Jahaane IsLam Ko Dusmanon Kii Reshaadawaniyon Se hifaazat Farmaye, aamiin.

🔵 S A W A A L- 06
AajkaL Bahut Se Dukandaar {Vendor} Khareedaaron {Customers} Ko Mutawajjeh {Attracted} Karne Ke Liye Khareedii huyii Cheez Ke Saath In'aam {Gift} Bhii Dete hein, Kya Aise In'aam {Gift} Ka Lena Jaaiz hei ?
🔵 J A W A A B- 06
Agar Khareedii huyii Cheezon Ke Saath Har Khareedar Ko In'aam {Gift} Ke Taur par Koi Cheez Dijaatii hei to Us Ke Jaaiz hone mei Koi Shubah {Suspect} Nahie, Ye SeLLing Karne WaaLe Kii Taraf Se Ek Tarah Ka Izaafah {Increase} hei, Aur Fuqahaa Ne Mabee'a {SoLd} mei Izaafe Ko Jaaiz Qarar Diya hei, Aur Chunke Khareedar Ko Apne Paise Kii Cheez miL Jaatii hei, IsLiye Ye Soorat Juwe {Casino} Ke Under mein Nahie aatii.
Lekin Agar Khareedne WaaLe Ka Maqsood hii Gift Cupon HaasiL Karna Tha, Aur Usii Maqsad Ke Liye Samaan Khareedi Kiya tha to Ye Soorat Jaaiz Na hogii........BaLke Ye Juwa {Casino} Ke Hukm mei hoga.
📓 KitaabuL Fatawaa,VoL-5/249.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 06
Tambaku {Tobacco} WaaLa Paan, Gutkha, Cigaratte Waghairah Cheezen Nosh Karna Jaaiz hei Ya Na-jaaiz ?
🔵 J A W A A B- 06
Tambaku {Tobacco} WaaLa Paan, Isse Zyadah Cigaratte Aur Isse Bhii Barh Kar Gutkha Insaanii Sehat {heaLth} Ke Leye Muzir {harmfuL} hei
Is Liye In Muzir {harmfuL} Cheezon Se Bachna Zaroorii hei, Aur Inka Khaana, Chabaana, Munh mei Rakhna Aur Peena Makrooh hei,
Kyun Ke RasooLe Akram SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ne Sehat {heaLth} Ke Liye Mazarrat Rasan {harmfuL} Cheezon Se Mana'a Farmaya hei,
Aur Ab In Cheezon Ka Sehat {heaLth} Ke Liye Nuqsaandeh hona Poori Tarah Saabit ho Chuka hei................Lihaza In Khatarnak {Dangerous} Cheezon Se Parhez Karna Behtar hei. WaLLaahu Subhanahu Wa Ta'aaLa AaLam.
📓 Kitaab-uL-fatawaa-6/188.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab kii Zaahirii Aur Baatini Tamam Beemariyon Se hifazat Farmaye, aamiin.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 07
Qur'aani Ayaat Aur Ahaadeese Nabwiyyah Ke AppLication InstaL Karne Ya pdf Kii Soorat mei DownLoad Karne Ya msg Ke Lihaaz Se Seve Karne Ke Baad Mitaane {DeLete} Ke MutaaLiq Shar'ee Etibaar Se Kya hukm hei ?
🔵 J A W A A B- 07
Qur'aani Ayaat Aur Ahaadeese Nabweeyyah Ke AppLication, pdf Books Aur Msg MobiLe Phone Aur Computers mei Save Karne Ke Baad DeLete Karne mei Koi Qabaahat Nahie,
Kyun Ke Jab Darodeewar Par Likhe huye Isme Baaree Ta'aaLa Ke Mitane {DeLete} Kii Ijaazat hei, Jismei Be-adabee Ka Shaaiba Bhii hei to MobiLe Phone mei Msg Waghairah Mitaane {DeLete} mei Kya haraj hei, Jismei Ye EhtimaaL Bhii Nahie,
Lihaaza Aise Msg, ApLication Aur pdf Books Mitaane {DeLete} mei Shar'an Koi Qabaahat Nahie, Is Liye BiLa Wajah Shukooko Shubhaat mei Pharne Se Ehtiraaz Karna Chaahye.
Chunanchay Durre Mukhtaar mei Mazkoor hei Ke Wo Kitaaben Jo Ghair Muntafea hein, Un mei Se ALLaah Ka, Farishton Aur RasuLon Ka Naam Mita Diya jaye.
WaLLahu Ta'aaLa AaLam.
📓 By : DaruL Iftaa WaL-qazaa, Jamia Binoria.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab Ko Ishaa'ate Deen Aur Seekhne Seekhane Ke Liye MobiLe Phone IstimaaL Karne Ke Taufeeq Ataa Farmaye,aamiin.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 08
Kya Ghair MusLim Ke Haath Ka Pakwaan {Cooked} IstimaL Karna Jaaiz hei Ya Na-jaaiz ?
🔵 J A W A A B- 08
IsLaam mei Tamam Insaan Bhai Bhai hein, Aur Zaat Paat Kii Bunyaad Par Koi Tafreeq Nahie, MusLim Ke Haath Ka Pakwaan Khaana Jaaiz hei, Aur Ghair MusLim Ke Haath Ka Bhii,
RasooLuLLah SaLLaahu ALayhi WasaLLam Ne Khud Ghair MusLimon Ka Pakwaan Bhii TanawuL Farmaya hei.
📓 Bukhaarii, hadeeth No.-2617.
Is Liye Kisii Insaan Ke Pakwaan Se Usko Haqeer Samajhte huye Gurez Karna Qat'an Jaaiz Nahie, Aur Ye IsLaami TaaLeemat Ke BiLkuL Mughaair {Against} hei.
📓 KitabuL Fatawaa-6/189.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab Kii Rizqe haram Se hifazat Farmaye, Aur Rizqe haLaaL haasiL Karne Ki Taufeeq Ataa Kare.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 09
Kisii Mazhabii Yaa Deenii Ijtima'a, JaLsa Waghairah Kii Videography Karna Is Niyyat Se Ke Uske Zariye Dusre Logon Tak Deen Kii Baaten Pahunchayi Jaaye Aur Deen Seekhaya Jaaye, To Kya Istarah Videography Karna Jaaiz hei ?
🔵 J A W A A B- 09
Sharee'at mei Kisii Baat Ke Jaaiz hone Ke Liye 2 Cheezen Zaroorii hein,
Kaam Ka Maqsad Durust ho, KhiLaafe Sharee'at Na ho,
Us Maqsad Ke Liye Jo Zareeya Ikhtiyaar Kiya Jaaye Wo bhii Jaaiz ho, Agar Maqsad Nek ho, Lekin Agar Usko HaasiL Karne Ke Liye Ghair Shar'ee Tareeqah Ikhtiyaar Kiya Jaaye to Ye bhii Gunah hei,
MasaLan Koi Shakhs Ghareebon Ki heLp Ke Liye Dakaitii {Robbery} Kare, Beemaron Ke ILaaj Ke SiLsiLe mei Raqs {Dance} Waghairah Karke Paisa WusooL Kare.......To Goya Maqsad Nek hei, Lekin Chunke Na-Jaaiz Aur Ghair Shar'ee Tareeqah Ikhtiyaar Kiya Gaya hei, IsLiye Ye Gunah hii Ka Baais hoga Na Ke Sawaab ka,
Logon Ko Deen Kii Baaten Seekhana Aur Seekhne Sheekhane Ki Targheeb Dena Yaqeenan Nek Kaam Aur Ajro Sawaab Ka Baais hei, Lekin Iske Liye Photography Jaaiz Nahie, Shar'ee Zaroorat Ke Baghair Photo Kheenchna Aur Kheenchwana Gunahe Kabeerah hei,
Photography Ki Mazammat Par Kasrat Se Riwayaat Maujood hein, Aur Mazhabee Wa Deenii Ijtima'a Ya JaLsa Jaisii Muqaddas Aur Mubaarak Jagah mei photography to Gunah BaLaaye Gunah hei, Deen Ke Seekhne Aur Seekhane Ka Maqsad Photography Ke Baghair bhii Behtar Aur Mu'assir Tareeqe Par HaasiL Kiya Jaasakta hei.
📓 KitaabuL Fatawaa, VoL-6/169.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 10
Beedii, Cigaratte, Gutkha Aur Tobacco WaaLe Paan Waghaira Kii Dukaan Lagana Jaaiz hei Ya Na-Jaaiz?
🔵 J A W A A B- 10
Khareedo Farokht {Buy & SeLL} Ke SiLsiLe mei UsooL Ye hei Ke Jo Cheez Jaaiz ho Uska Bechna Jaaiz hei, Jo Cheez haraam ho Uska Bechna haraam, Aur Jo Makrooh ho Uska Bechna bhi Makrooh hei, Phir Uske IstimaL mei Jis Darjah Ki Karaahat hogi, Farokht Karne mei bhi Us Darjah Ki Karaahat hogi,
Cigaratte, Beedii, Gutkha Aur Tobbeco WaaLa Paan Sehat {heaLth} Ke Liye Muzir hei, Is Liye Karaahat Se KhaaLi Nahie,
WaLLahu Ta'aaLa AaLam.
🔵 KitaabuL Fatawaa-5/201.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab Ko Kasbe HaLaaL Naseeb Farmaye, aamiin.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 11
AeropLane mei Gosht {Meat} Aur Mashroobat {Drinks} Ke Baare mei Ye MaaLum Karna MushkiL hei Ke Ye haLaaL hei Ya haraam ?............Aisii Soorat mei Kya Karna Chahye ?
🔵 J A W A A B- 11
Mashroobat Ke Baare mei haLaaL Aur haraam Ka MaLoom Karna Isqadar Dushwaar Nahie, Lekin Gosht {Meat} Ke Baare mei Dushwaarii ho Saktii hei, Aisii Soorat mei UsooL Ye hei Ke Agar Mu'atabar Khabar Dene WaaLa Koi Shakhs Maujood Na ho to Qareenah Se FaisaLa Kiya Jaaye..........Aur Qareena Ye hei Ke Agar Kisii MusLim MuLk Se AeropLane Kii Udaan ho to GhaaLib Gumaan Ye hei Ke Wo Gosht {Meat} Zabeehah Ka hoga, Aur Ghair MusLim MuLk Se AeropLane Uda ho to GhaaLib Gumaan Us Ke haraam hone Ka hei, Lihaaza Is Kii Raushnee mei FaisLa Kiya Jasakta hei,
Lekin BaharhaaL Ehtiyaat Is mei hei Ke AeropLane Aur Train mei Vegiterian Khane Ka Ehtimaam Kiya Jaaye, Aur Non Vegiterian Se Ijtinaab {parhez} Kiya Jaaye.
WaLLahu Ta'aaLa AaLam.
📓 KitaabuL Fatawaa-6/188.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab Ki haraam khuree Se hifaazat farmaye, aamiin.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 12
IsLaam mei Tijaratii Cheezon Par Munafa Kii Miqdaar Aur had Kya hei ?
🔵 J A W A A B- 12
Sharee'at mei Munafa {Profit} Ki Koi had Muqarrar Nahie Kii Gayii hei, Aur Usko Fitree Utaar Charaao {Market VoLatiLity}Par Rakhkha Gaya hei,
ALbattah RasooLe Kareem SaLLaLLahu ALayhi WasaLam Ne Tijarat {Trade} Ke Ahkaam mei Is Baat Ko MaLhooz Rakhkha hei Ke TaLab Aur Rasad mei Tawaazun {BaLance}Qaaim Rahe, Taake Qeemat mei Bhii Tawaazun {BaLance} Baqee Rahe,
ALbattah Kisii Cheez Par Itna Zyadah Munafa {Profit} Lena, Jo Ghabane Faahish Ke Daaire {Under} mei Aata ho to Karaahat Se KhaaLii Nahie,
Ghabane Faahish Se Itna Munafa {Profit} Muraad hei Ke Jo Saaman Kii Qeemat Muqarrar Karne WaaLon Ke Daaira-e-Takhmeen Se Bhii Zayadah ho, Yaanii Ek Cheez Market mei 10 Se 15 Rs.mei MiLtee hei, Lekin Koi Shakhs 15 Rs. Se Bhii Zyadah WasooL KarLe to Ye Soorat Ghabane Faahish hei, Aur Isko Fuqahaa Ne Na-pasand Qarar Diya he.
📗 KitaabuL Fatawaa-5/221.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab Ko IsLaami UsooLon Par Tijarat Karne Kii Taufeeq Ataa Farmaye, aamiin.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 13
MobiLe Phone mei Qur'aane Paak Kii TiLaawat Karna Ya Sunna Jaaiz hei ? Agar jaaiz hei to Be-wuzoo Parhna Durust hei ?
🔵 J A W A A B- 13
MobiLe Phone mei Qur'aane Paak Kii TiLaawat Karna Aur Sunna Donon Jaaiz hei, TiLaawat Karne Ki HaaLat mei Jab Ke MobiLe Phone Haath mei ho Aur UngaLyon Se Waraq {Pages} PaLat Raha ho to Ba-Wuzoo hona Zaroorii hei, ALbattah Audio FiLe Yaanii MP3 Sunne Ki Soorat mei Ba-wuzoo hona Zaroorii Nahie.
📓 By : DaruL Iftaa WaL-qazaa. Jamia Binoroa.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab Ko Zayada Se Zyada Qur'aane Paak Kii TiLaawat Kare Use Samajhne Aur Us Par AmaL Karne Ki Taufeeq Ataa Farmaye, aamiin.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 14
MobiLe Phone Ya TV Par Aayate Sajdah Sunne Se Sajdah Waajib hota hei ?
Neez TV Ya Radio Par Live Aayate Sajdah Sunne Kii Soorat mei Wujoobe Sajdah Ke MutaaLiq Shar'ee Kya hukm hei ?
🔵 J A W A A B- 14
TV Par Jo TiLaawate Qur'aan Nashra {Broadcast} Kii Jaatii he, Aam Taur Se Us Ko PehLe Se Record Kar Liya Jaata hei, Us Ke Baad Use TV Par Nashra {Broadcast} Kiya Jaata hei, Aisii Soorat mei Sunne WaaLe Par Sajda-e- tiLaawat Waajib Nahie hoga, Aur Yahii hukm MobiLe Phone Par Sunne Ka Bhii hei,
Lekin Agar Radio Ya TV Se Live TeLecast Ki Soorat mei Aayate Sajdah Sunne Par Sajda-e-tiLaawat Waajib hoga,
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
📓 AhsanuL Fatawaa-4/65.
⚪ ALLaah Ta'aaLa hamare Liye Qur'aan Ke Ahkamo MasaaiL Par ChaLna Aasan Farmaye, aamiin
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 15
ALchoL miLii huyii Adviyah {Medicines} Aur Khwab aawar GoLii {SLeeping PiLLs} Khana Shar'an Jaaiz hei Ya Nahie ?
🔵 J A W A A B- 15
Ba-waqte Zaroorat Khwab aawar GoLi {SLiping PiLLs} Khane mei Muza'eqah Nahie, Ke Ye Bhi Ek ILaaj hei, ALchoL aamez Adviyah Us Waqt Khaai Jaasakti hei Jab ALchoL Se Paak Dawaa Maujood Na ho, Ya ho to usse Sehat {heaLth} mei Taakhir Ka Andeshah ho, Ya Zyada Mehngi {Expensive} hone Ki Wajah Se Us Ke Khareedne Ki Istitaa'at Na ho.
📓 Jadeed Fiqhee MasaaiL-1/326.
⚪ ALLaah Ta'aaLa har Qisam Ki Beemariyon Se hamari hifaazat Farmaye, aamiin.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 16
TeLevision Par Cricket Match Dekhna Jaaiz hei Ya Nahie ?
🔵 J A W A A B- 16
TeLevisison Ke Programs Umooman Music, Fahash Tasaweer, Be-hayaai Aur Fahaashi Par Mabnee hote hein, Aise mei Kisi Jaaiz Aur Mabaah Program Ka Dekhna Bhi MahaLLe IshkaaL hei, Chejaayeke Cricket Match Dekha Jaaye, Jo Juwaa Aur Sattebaazi Jaise Gunahon Par MushtamiL hone Ke Saath Faraaize Waqtiyah Ya Kam Se Kam Waqt Se Mu'akhkhar Karne Aur Qeemti Waqt Ko Barbaad Karne Ke Mataraadif {Synonym} hei, Is Liye TV Ke aam Programs Aur Cricket Match Dekhne Se MukammaL Ehtiraaz Karna Chaahye.
DaruL Iftaa WaL-qazaa, Jamia Binoria.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Hamei Apne Qeemti Waqt Ki Qadardaani Naseeb Farmaye.Aameen
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 17
Kya Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Naam Ke Saath MukammaL Durood Ki Bajaaye Sirf S.A. Ya S.A.W Likhna Jaaiz hei ?
🔵 J A W A A B- 17
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Naam Ke Saath Sirf S.A. Likhna Ya isitarah Ka Koi aur Mukhaffaf {Abbreviated} Lafz Likhna Jo Durood Ki Taraf Ishaara Kare BakheeLi aur KhiLaafe Adab hei, Istarah Likhne Se Durood Ka Koi Faaidah aur Sawaab haasiL Nahie hota, Is Liye Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Naam Ke Saath MukammaL Durood Likhne Ka Ehtimam Karna Chaahye.
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
DaruL Iftaa WaL-qazaa, Jamia Binoria.
⚪ ALLaah Ta'aaLa hamei hardam haraan hargarhi Duroode Paak Parhne ki Taufeeq Ataa Farmaye, aameen.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 18
Kya Bank Ke Sood {Interest} Se Masjid Ka BaituL KhaLa {ToiLet} Banana Jaaiz hai?
🔵 J A W A A B- 18
BaituL KhaLa {ToiLet} bhi ek zaroorat hai, BaLke aisi zaroorat hai ke jisse sarfe nazar mumkin nahie, Masjid aur uski zarooriyaat mei jaaiz aur haLaaL paisa hi istimaaL karna chaahye,
Kyun ke ALLaah Ta'aaLa maaLe khabees ko qubooL nahie karte, Fuqahaa ne bhi masjid mai maaLe haraam istimaaL karne ko mana'a kiya hai. {RadduL Muh'taar-2/431}
IsLiye masjid ka baituL khaLa {ToiLet} Sood {Interest} ke paise se banana jaaiz nahie.
📓 KitabuL Fatawaa-4/335, MahmuduL Fatawaa-3/62.
⚪ ALLaah Ta'aaLa hamein kasbe haLaaL naseeb farmaye, aur rizqe haraam se hamari hifaazat farmaye, aameen.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 S A W A A L- 19
Akhbaraat {News papers} mai aaye din ahLe iLm ki Tasaaveer {Photos} aati rehti hai, jisse Log hujjat pakarte hai, to kya istrah Logon ka hujjat pakarna aur akhbaraat mai Tasaaveer ka chhapna jaaiz hai ?
🔵 J A W A A B- 19
Is tarah aakhbaraat mai ahLe iLm ki tasaaweer chhapne se jawaaz par istidLaaL nahie kiya jasakta, Kyun ke shar'ee masaaiL ka suboot adiLLa-e-arba'a {Char daLaaiL} se hota hai.
Yahan ye baat bhi Tahqeeq taLab hai ke jin Logon ki tasaaweer {Potos} News papers mai print ki jaati hai unko tasweer chhapne ke bare mai jankaari bhi hai.....? Aur agar jankaari hai to wo isko jaaiz bhi kehte hai......? Ye Saheeh maaLum nahie hota, baLke wo bhi na-jaaiz hi kehte honge, BiLfarz agar jaaiz bhi kehde tab bhi jaaiz nahi.
📓 Fatawaa Mahmoodia- 5/208.
⚪ ALLaah Ta'aaLa hamen na-jaaiz umoor se mukammaL taur par bachne ki taufeeq ataa farmaye, aameen.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 *_S A W A A L- 20_*
Aabe Zamzam nihayat mutabarrak paani hai, usse be-wuzoo shakhs ka namaz ke Liye wuzoo karna aur junoobi shakhs ka ghusL karna jaaiz hai ?
🔵 *_J A W A A B- 20_*
Jo shakhs ba-wuzoo aur paak ho, Wo agar barkat ke Liye aabe Zam zam se wuzoo aur ghusL kare to jaaiz hai, Isitarah kisi paak kapre ko barkat ke Liye aabe Zam zam se bhigona bhi jaaiz hai,
Lekin be-wuzoo shakhs ka aabe Zamzam se wuzoo karna, Yaa kisi junoobi shakhs ka ghusL karna makrooh hai,
Zaroorat ke waqt {jab ke dusra paani na miLe} aabe Zamzam se wuzoo karna to jaaiz hai, Magar gusLe janaabat har haaL mai makrooh hai,
Isitarah agar badan ya kapre par najaasat Lagi ho usko aabe Zam zam se dhona bhi makrooh hai, BaLke baaz jaga haraam hai, Yahi hukm aabe Zam zam se istinjaa karne ka hai,
KhuLasah ye ke aabe Zamzam intihaai mutabarrak paani hai, Us ka adab aur ehtiraam zaroori hai, Us ka peena mujibe khairo barkat hai, aur chehra, sar, badan par daLna bhi maujibe barkat hai, Lekin najaasat zaaiL karne ke Liye istimaaL karna kisi soorat mai jaaiz nahie.
WaLLaahu Ta'aaLa aaLam.
📓 Aap ke masaaiL aur unka haL, voL-2.
⚪ ALLaah Ta'aaL hamein aabe Zamzam ki khairo barkat se mustafeez hone ki bharpur taufeeq ataa kare, aameen.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
*DEENI MASAAIL*
🔵 *_S A W A A L- 21_*
Patang baazi aur uske mutaaLiqa samaan ki tijaarat karne ka shar'ee Lihaaz se kya hukm hai ?
🔵 *_J A W A A B- 21_*
Patang baazi ke bahut nuqsanaat hei, Jis ki wajah se patang udaana jaaiz nahie,
Chunanche Mufti Rasheed Ahmad sb. Ludhiyanwi Rh. Farmate hein :
Patang Udaana jaaiz nahie, kyun ke usme bahut nuqsanaat hein,
Hz. Abu hurairah Rz,Anhu farmate hein ke RasooLuLLah SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne ek shakhs ko dekha ke wo ek Kabootar ke peeche daudaa chaLa ja raha hai to aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne farmaya :
"Shaitanun Yatbeu Shaitaanah"
Ek Shaitaan dusre Shaitaan ke peechhe chaLa ja raha hai,
{Abu Dawood-2/194.}
Kabootar baazi mai inhimaak ki wajah se umoore deeniyyah aur dunwiyyah se ghafLat ka mufsidah patang baazi mai bhi paaya jataa hai, Lihaaza ye wa'eed usme bhi shaamiL hai,
Is patang baazi mai har shakhs ki niyyat aur koshish dusre ki patang kaatne aur nuqsaan pahunchane ki hoti hai, haLan ke musLman ko nuqsaan pahunchana haraam hai, aur is haraam kam ki niyyat se donon yaani kaatne waaLa aur katwaane waaLa Gunehgaar hote hein,
Beja maaL kharch karna tabzeer aur haraam hai, Qur'aane paak mai aise Logon ko Shaitaan ke bhai qarar diya hai,
Ab raha patang ke mutaaLiqah saaman ki tijarat ka hukm to ye tijarat "ii'aanatun aLaL maasiyah" {Gunah par madad karna} ki binaa par Na-jaaiz hai.
📓 Fatawaa Mahmoodia-16/134.
⚪ ALLaah TaaaLa Na-jaaiz aur Laghw kamon se ham sab ki hifazat farmaye, aameen.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 22 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Lucky inaami scheams ya digar inaami tickets ka khareedna aur uska karobar karna sha'ran kaisa hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 22 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Is quisam ki inaami scheams par juwe {Casino} ki taareef sadique aati hai, Is Liye Lucky inaami scheams ya digar kisi bhi inaami tickets ka kaarobar shar'an jaaiz nahi hai, aur usse haasiL ki gai raqam ka sadqa kardena waajib hai.
📓 JaameuL Fatawaa-6/105.
⚪ ALLaah Ta'aaLa kasbe haraam se hamari hifazat farmaye, aameen.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 23 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Kya Ghair MusLimon Ko Apne Yahan Daawat Di Jaaskti hai, Aur MusaLmanon Ke Gharon mai Unki Aamado Raft {aana jaana} Durust hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 23 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Ghair musLimon ko daawat dena na sirf jaaiz hai, BaLke agar ye niyyat rakhkhi jaaye ke istarah wo isLaam se manoos ho sakenge, aur agar isLam qabooL na karein to kam se kam isLaam aur musaLmanon ke mutaaLiq un ka rawayyah behtar rahega.........to unko daawat dena behtar hai,
RasooLuLLah SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ko jab us baat ka hukm diya gaya ke aap quraishi ristedaaron ko isLaam ki taraf mutawajjeh karein, to aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne banoo haashim ko jamaa farmaya aur unke Liye khane ka ehtimaam bhi farmaya,
Pas maLoom huwa ke behtar niyyat ke saath ghair musLimon ko mad'.uu kiya jaaye to ye Sunnate Nabawee hai.
Jahan tak ghair musLimon ki aamado raft ki baat hai to agar unse deenee ya dunyawee nuqsaan ka andeshah na ho aur hudoode shar'ee ki ri'aayat ke saath aamado raft ho to uski gunaaish hai.
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
📓 KitabuL Fatawaa-6/203.
⚪ ALLaah ham sab ko har kachche pakke ghar mai isLaam ki daawat pahunchane ki taufeeq ataa farmaye.Aameen
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 24 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
majboori ki haaLat mai mane'a hamaL {Contraception} tabLets ke khane ke mutaaLiq shar'ee hukm kya hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 24 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Ma'aashee maqaasid {Economic objectives} ke tahat agar mazeed bachche paida ho gaye to unke khaane peene ka kya nazm hoga, Mane'a hamaL {Contraception} tabLets khaana jaaiz nahie, Lekin medicaL zaroorat ke tahat yaani agar Doctor ki saLaah ho ke wiLaadat {Birth} hone ki soorat mai aurat ki jaan ya sehat {heaLth} ko bahut khatrah hai, aur aurat bachche ko doodh peeLati ho aur hamaL thehrne ki soorat mai bachche ka doodh mutaassir hone ka andeshah ho to mane'a hamaL {Contraception} tabLets istimaaL ki jaasakti hai, is siLsiLe mai kisi musaLman Doctor se mashwarah karne aur fir kisi mufti ke samne poori soorate haaL rakhne ke baad faisLa karna chaahye.
WaLLahu Ta'aaLa AaLam.
📓 KitabuL Fatawaa-6/238.
⚪ ALLaah Ta'aaLa na-jaaiz kaam karne se ham sab ki hifazat farmaye, aameen.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 25 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Jistarah aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka naam Lene par Durood parhna waajib hai, kya isitarah Sahaaba-e-kiraam Rz. Anhum ka naam aane par RaziyaLLaahu Anhu kehna zaroori hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 25 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Huzoor Aqdas SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Par Durood bhejne ka hukm hai, Qur'aane Majeed mai saraahatan uska zikr hai, aur hadees mein to is siLsiLe mai kasrat se waarid huee hai, Lekin Sahaabah Rz.Anhum ke baare mai istarah ki taakeed Qur'aan aur hadees mai manqooL nahie, baLke saLfe saaLiheen ke zamane se ehtiraam ke taur par ye Duaaiyah kaLimah ka kehna mustahab to hai, waajib nahie.
📓 KitaabuL Fatawaa-6/265.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham sab ko Huzoor SaLLaLLahy ALayhi WasaLLam par kasrat ke saath Durood bhejne ki taufeeq ataa farmaye, aameen.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 26 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
AajkaL Shehron mai chhote bachchon ki saaLgirah {birthday} bade dhoom dhaam se manaai jaati hai, Cake aur Mombatti {candLe} sajakar rakhte hein, fir bachchon ko Mombatti {CandLe} bujhaane aur Cake katne ko kehte hein, kya istarah saaLgirah {birthday} manana shar'an jaaiz hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 26 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
SaaLgirah {birthday} manana ghair shar'ee amaL hai, na RasooLuLLah SaLLaLLahu ALayhi WasaLam ne apne aur apne bachchon ki saaLgirah {birthday} manaai, na Sahaabah Rz.Anhum ne, na baad ke SaLfe SaaLiheen ne, ye maghrabee Saqaafat aur tahzeeb ki dain hai, Cake katna Mombatti jaLaana Aur bujhaana ghair qaumon ke asaraat hein, isLiye aise rasmo riwaaj se bachna Zaroori hai.
📓 KitaabuL Fatawaa-285.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham sab ki na-jaaiz rasmo riwaaj aur khurafaat se hifazat farmaye, aameen.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 27 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Daure haazir mai VakaaLat {advocacy} ka pesha {profession} ikhtiyaar karne ke mutaaLiq Shar'ee hukm kya hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 27 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Daure haazir mai VakaaLat ka pesha {profession} chunke jhoot, fareb {fraud} aur charb Lisaani {faciLe tongue} ka Zareea hota hai, aur haqqo baatiL mai koi Lihaaz baaqee nahie rehta, Lihaaza VakaaLat {advocacy} ka pesha {profession} tark kar ke aur koi haLaaL pesha ikhtiyaar karna chaahye, Haan.....agar is baat ka iLtizaam ho ke jo haq par hoga usi ki VakaaLat karega, aur khud ko uspar poora itminaan bhi ho to fir VakaaLat ka pesha jaaiz hai.
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
📓 Muhaqqaq Wa MudaLLaL Jadeed MasaaiL- 426.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham sab ko Rizqe haLaaL naseeb kare.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 28 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Masjid jo ALLaah Ta'aaLa ka Ghar hai, Kisi Sahaabee ya kisi Buzurg ki taraf mansoob karke uska name rakhna Shar'an jaaiz hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 28 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Shanakht {pahchaan ke } ke Liye Masjid Ka Name Kisi Sahaabee ya Buzurg Ki taraf mansoob Kar ke rakhkha jaa Sakta hai, Ahde RisaaLat mai Madeena Shareef Ke girdo nawah Ki Masaajid Baaz Ambiyaa Ki taraf mansoob kar ke mausoom thien, Misr {Egypt} aur Shaam {Sirya} mai bhi Sahaabah Ke Name se mansoob masjidon Ka Zikr miLta hai, Jis par SaLaf ne Koi Nakeer {Manaa} nahie Ki hai,
ALbattah yaad rahe Ke Istarah Name rakhne mai Masjidon ki Azmat mai Koi Farq nahie parta, aur na us mai Namaz parhna Kuchh Zyada baaise Ajro Sawaab hai, BaLke wo aam Masjidon Ki tarah rehti hai.
WaLLaahu Ta,aaLa AaLam.
📓 KitabuL Fatawaa-4/229.
⚪ ALLaah Ta,aaLa ham sab ko IkhLaas ki DauLat se Sarfraaz kare.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 29 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Kisi Aurat {femaLe} Ka Masjid mai Safaai Kaam Kaaj ya Paani Waghaira bharne Ki Khidmat Anjaam dene Ke mutaaLiq Shar'an Kya hukm hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 22 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Agar Aurat paak ho, aur uske Masjid mai DaakhiL hone ki wajah se Fitne ka andeshah na ho to Masjid ki Khidmat Karne aur Masjid mai DaakhiL hone mai Koi Qabaahat nahei,
UmmuL Mu,amineen Hz. Safia Rz.Anha Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ke Eatikaaf ke darmiyaan Masjide Nabawee Tashreef Le gaee thien,
Hadeeth mai ①Habshee Khaatoon ka bhi Zikr miLta hai jo Masjide Nabawee mai Safaai Karne ki Sa,aadat HaasiL karti thien,
Lihaaza Aurat ke Leye Shar,ee Hudood mai rehte huye Masjid ki Khidmat karna Shar,an Jaaiz hai.
WaLLaahu Ta,aaLa AaLam.
📓 KitabuL Fatawaa-4/236.
⚪ ALLaah Ta,aaLa ham Sab ki har Qisam ke Shurooro Fitan se hifaazat Farmaye, aameen.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 30 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
AajkaL Market Mai Paani Ki BotteLs 10/= Rs. Mai Aur Pouse 01/= Rs. Mai MiLta Hai, Kya Istarah Paani Ki Khareedo Farokht Karna Jaaiz Hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 30 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Jo Paani Kisi Bartan Waghaira Mai Mahfooz Kar Liya Jaaye, To Insaan Uska MaaLik Ho Jaata Hai, Lihaaza Uski Khareedo Farokht Jaaiz Hai.
ALbattah Zaati TaaLab Aur Kunwan {WeLL} Ke Zaroorat Se Zaaid Paanee Ko Bechna Aur Usse Istifaadah Karne WaaLon Se Qeemat WusooL Karna Behtar Nahie Hai.
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
📗 KitaabuL Fatawaa-5/200.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Ham Sab Ko Kasbe HaLaaL Naseeb Farmaye, aameen.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 31 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Jinnat Ko JaLa Sakte hein ya nahie ? Jab Ke wo aag se paida kiye gaye hein, Fir Kaise jaL Sakte hein ? Aur Shar'an ye AmaL AamiLeen ka kya hukm rakhta hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 31 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Agar Kisi Tadbeer Se Jinnat Peechha Na Chhore Aur Hairano Pareshaan Karta Hi Rahe To JaLaana Bhi Durust Hai,
Ek Allah Wale Ne Likhkha Hai Behtar Hai Ke Us Taaweez Mai Ye Ibarat Likhden Ke Agar Na Jaaye To JaL Jaaye,
Insaan Mittee Se Paida Huwaa Hai, Fir Bhi Mittee Ka DheLa Lagne Se Chot Lagti Hai, Zyada Chot Aur Zakhm Lagne Ki Soorat Mai Maut Bhi Ho Sakti Hai, Isi Tarah Jinnat Ko Aag Se TakLeef Pahunch Sakti Hai, Aur Aag Se JaL Bhi Sakta Hai,
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
📓 Fatawaa Mahmoodia-20/32.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 32 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Bank Ka Pura Nizaam Sood {Intrest} Par ChaLta Hai To Aisi Soorat Mai Bank Mai Account KhuLwaane Ke Muta'aLiq Shar'an Kya Hukm Hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 32 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Bank Mai Fixed Account KhuLwaana Jaaiz Nahie.....Jisse Sood {Intrest} Maqsood Hota Hai, ALLbattah Rupees Ki Hifaazat Ki Niyyat Se Saving Account KhuLwaana Jaaiz hai, Jisme Sood Lena Maqsood Na Ho.
📓 KitaabuL Fatawaa-5/330.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Ham Sab Ko apni Razamandi Se Nawaaze, Aameen.
⚡ Read fallow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 33 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Bank Mai MuLazimat {Job} Karna Shar'an Kaisa Hai ? Jab Ke Bank Ka Sara Nizaam {System} Sood {Intrest} Par ChaL Raha Hota Hai.
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 33 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Bank Ka Saara Nizaam Aur Kaarobar Sood {Intrest} Par Mabnee Hai, Aur Soodi Kaarobaar Haraam Hai,
RasooLuLLah SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Sood Lene WaaLe, Sood Dene WaaLe, Likhne WaaLe, Uske Gawah {Witness} Aur Uska Waastah Banne WaaLe Sab Par Laanat Farmaee Hai.
{Abu Dawood}
Is Liye Ke Ye Tamaam Log Soodi Kaarobar Mai Ta'aawun {HeLp} Kar Rahe Hein,
Bank Ke Wo MuLazimeen Jo Hisaab Kitaab, Lain Dain, Ka Kaam Karte Hein Sab Is Giroh Mai DaakhiL Hein, Aur Maa'siyat Mai Barahe Raast Mu'aawin {Madadgaar} Hein, Is Liye Ye MuLaazimat [Jobs] Shar'an Jaaiz Nahie Hai.
📓 KitaabuL Fatawaa-5/392.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Ham Sab Ki Kasbe Haraam Se Hifaazat Farmaye, Aameen.
⚡ Read Follow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 34 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Mareez Ko Kin Haalaat Mai Khoon Dyaa Jaa Saktaa Hai Is Taluq se mera 3 sawal hai Pls iska jawab dijiye
👉[1] Mareez Ko Kisi Insaan Kaa Khoon Denaa Kaisaa Hai? Kin Haalaat Mai Khoon Denaa Jaaiz Hogaa? Mareez k Koi Rishtedaar Yaa Dost Apna Khoon Denaa Chaahe To De Saktaa Hai Yaa Nahi?
👉[2] Agar Mareez Ko Koi Khoon Dene Waalaa Na Ho To Mareez k Liye Paise Dekar Khoon Khareednaa Jaaiz Hogaa?
👉[3] Kisi Aurat Ko Kisi Mard Ne Khoon Dyaa To is Mard Kaa Nikaah Us Aurat Se Jaaiz Hai Yaa Nahi?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 34 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Insaan Kaa Khoon Doosre k Badan Mai Daakhil Karnaa
[ Yaani istimaal Karnaa ] Do 2 Wajah Se Haraam Hai,
①.Khoon insaan k Badan Kaa Ek Hissa Hai, is Liye Waajibut'takreem Hai, [ Yaani Taazeem Karne k Laaique Hai ]
②.Insaan Kaa Khoon Badan Se Nikaal Liyaa Jaaye To Wo Najis [ Naapaak ] Hai Lihaazaa Aam Haalaat Mai Jab k Koi iztiraari [ Yaani Be Chaini ] Soorat Na Ho To Aayat-e-qur'aani
[ Hurrimat Alaikumul Maita ta Wadda ma ] k Peshe Nazar iskaa istimaal Haraam Hogaa
👉[1]Jab Kisi Mareez Ki Hilaakat Kaa Khatraa Ho Aur Khoon Dene Se Uski Jaan Bachne Kaa Gaalib andesha Ho To Aisi Be Chaini Ki Haalat Mai Baqadr-e-zaroorat Mareez Ko Khoon Denaa Jaaiz Hai, Aur Aisi Be Chaini Ki Soorat Mai Koi Musalmaan Doosre Ko [ Yaani Mareez Ko ] Apna Khoon Muft De To iski Bhi Gunjaaish Hai is Shart k Saat k Khood Ki Hilaakat Kaa Khatraaa Na Ho Sirf Faaide Yaa Khoobsoorti Yaa Quwwat-o-taaqat Badhaanaa Maqsood Ho To Aisi Soorat Mai Khoon istimaal Karnaa Aur Khoon Denaa Hargiz Jaaiz Nahi,
👉[2] Mareez Ko Agar Muft Khoon Na Mil Sake To Uske Liye Majbooran Khareedna Jaaiz Hai Magar Khoon Dene Waale k Liye Qeemat Lenaa Durust Nahi, Hazrat Maulana Mufti Muhammad Shafee Saahib Rahmatullahi Alaih Farmaate Hain, Khoon Ki Khareed-o-farokht To Jaaiz Hai Lekin Jin Haalaat Mai Jin Shartaon k Saath No 1 Mai Mareez Ko Khoon Denaa Jaaiz Qaraar Dyaa Hai, Un Haalaat Mai Agar Kisi Ko Khoon Bagair Paise k Na Mile To Uske Liye paise Dekar Khoon Haasil Karnaa Bhi Jaaiz Hai, Magar Khoon Dene Waale k Liye Uski Qeemat Lenaa Durust Nahi,
👉[3] Kisi Mard Ne Apna Khoon Kisi Aurat Ko Dyaa Ho Baad Mai Agar Wo Donaon Nikaah Karnaa Chaahain To Nikaah Kar Sakte Hain, Khoon Dene Se Hurmat Saabit Nahi Hoti, Hazrat Mufti Muhammad Shafee Saahib Rahmatullahi Alaih, Farmaate Hain Shauhar Kaa Khoon Beewee k Badan Mai Yaa Beewee Kaa Khoon Shauhar k Badan Mai Daakhil Karne Se Nikaah Par Shar'an Koi Asar Nahi Padtaa Nikaah Badastoor Qaaim Rahtaa Hai ,
Fatawa Rahimia Jild No 9.
Page No 174,175,176.
⚡ Read follow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 35 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Kya Kisii AaLim Ko MauLana Kehna Durust Hai ? Kyun Ke Surah Baqrah Ki Aakhree Aayat Mai 'MauLana' Ka Lafz ALLaah Ta'aaLa Ke Liye IstimaaL Huwaa Hai.
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 35 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
MauLana Ka Ma'ana {Meaning} Hai 'Hamare MauLa'
Ye Lafz {Word} MukhtaLif Meanings Mai IstimaaL Hotaa Hai, MasaLan MaaLik, Aaqa, Nigraan, {Supervision} Sarparast,{Care Taker} Dost Waghairah,
ALLaah Ta'aaLa Ke Liye MauLana Ka Lafz MaaLik Ke Ma'ana Mai IstimaaL Huwaa Hai, Agar Kisii AaLim Ko Dost Aur Nigraan Ke Ma'ana Mai Ehtiraaman MauLana Kaha Jaaye To Us mai Haraj Nahie,
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne UmratuL Qazaa Ke Mauqe Se Hz Zaid Bin Haarsa Rz.Anhu Ko {Anta Akhuna Wa MauLana} Tum Hamaare Bhai Aur MauLa Ho Kaha Tha,{Bukhaarii}
Isii Tarah Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Khud Apne Liye Bhi MauLa Ka Lafz IstimaaL Kiya Hai, Aur Hz. ALee Rz.Anhu Ke Liye Bhii Ke Mai Jiska MauLa Hun, ALee Bhii Uske MauLa Hein, "Man Kuntu MauLahu Fa-ALee MauLahu" {Ibne Maajah} IsLiye MauLana Kehne Mai Koi Haraj Nahie.
📓 KitaabuL Fatawaa-1/445.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Hamare Liye Aap Ke Paak Aur Muqaddas Tareeqe Par ChaLna Aasaan Farmaye,. Aameen.
⚡ Read follow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 36 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Kya Ladkiyon Ko Hafiza-e-qur'aan Banana Durust Hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 36 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Hifze Qur'aane Paak Par Jo Ajro Sawaab ManqooL Hai, Wo Ladkiyon Ke Liye Bhi Hai, Aur Ladkon Ke Liye Bhi, Fir TakmeeLe Hifz Ke Baad Qur'aan Ki TaaLeem Ladke Ke Bhi De Sakte Hein, Aur Ladkiyan Bhi, Is Liye Ladkiyon Ko Hafiza Banana Faaide Se KhaaLii Nahie, Baaz Sahabiyaate RasooL Bhi Hafiza Thien, Is Liye Ladkiyon Ko Hafiza Banana Durust Hai.
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
📓 KitabuL Fatawaa-1/422.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Hamein Qur'aan Ke Ahkaam Par ChaLne Ki Taufeeq Ataa Farmaye, Aameen
⚡ Read follow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 37 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
AajkaL Kuchh Log Magnetic NeckLace BLood Pressure Ko ControL Mai Rakhne Ke Liye GaLe Mai Pahente Hein, Shar'an Mardon Ke Liye Iske IstimaaL Ka Kya Hukm Hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 37 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Mardon {MaLe} Ko NeckLace Pahenne Mai Aurton {FemaLe} Se Mushabihat Hai, Aur Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Aurton Kii Mushabihat Se Manaa Farmaya Hai. {Abu Dawood-4031}
Agar Magnetic BeLt Haath Mai Bandh Liya Jaaye To Usse Bhii BLood Pressure ControL Karne Mai Madad {HeLp} MiLtii Hai, Goyaa Magnetic NeckLace Ka BadaL Maujood Hai, IsLiye Mardon Ke Liye Uska IstimaaL Karna Durust Nahie.
📓 KitaabuL Fatawaa-6/211.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Ham Sab Kii Zahiree Aur Baatinee Tamam Bimaariyon Se Hifaazat Farmaye, Aameen.
⚡ Read follow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 38 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Dawate WaLeema Ka Wo Khaana Jo Bach Gayaa Ho, Use Farokht {bechna} Karna Jaaiz Hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 38 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Daawate WaLeema Mai Jo Khaana Banaaya Jaata Hai, Wo MiLkiyat Mai Shumaar Kiya Jaata Hai, Aur MaLik Ko Apnii MiLkiyat Mai Har Tarah Se Tasarruf Ka Haq HaasiL Hai, Lihaaza Dawate WaLeema Ke Bache Huye Khane Ko Farokht Karna Jaaiz Hai,
WaLLaahu Ta'aaLa AaLm.
📓 KitaabuL Fatawaa-4/423.
⚡ Read follow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 39 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Tota {Parrots} Aur Kabootar {pigeons} Waghairah Parindon Ke PaLne Aur Uska Karobaar Karne Ke MutaaLiq Shar'an Kya Hukm Hai ?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 39 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Tota {Parrots} Aur Kabootar {Pigeons} Waghairah Parindon Ko Shauqia Aur Zeenat Ke Liye Pinjare Mai Qaid Karke Rakhna Behtar Nahie, Han !!! Agar Parindon Ko Is Qadar Manoos Kar Liya Jaaye Ke Pinjare Mai Qaid Kiye Baghair Bhi Aap Ke Paas Rehte Hon To Koi Haraj Nahie, Jaise Kabootar Waghairah Kii Parwarish Kii Jaatii Hai, Aur Apni Girift Mai Aane Ke Baad Parindon Kii Khareedo Farokht Jaaiz Hai, Is Liye Ke Sharee'at Ke Lehaaz Se Ye MaaL Hai, Aur Jab ikhtiyaro Qudrat Mai Ho To Qabzah Bhii Paaya Gayaa, Aur Sharee'at Mai Kisii Cheez Kii Khareedo Farokht Ke Jaaiz Hone Ke Liye Yahii ② Cheezen Bunyaadii Taur Par Zaroorii Hai, ① MaaL Ho, ② Us MaaL Par Qabzah Bhi Ho.
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
📓 KitaabuL Fatawaa-6/270.
⚡ Read follow and forward
❁
❁
❁
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿*
*बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ DEENI-MASAAIL ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ S A W A A L - 40 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Masjid Ke BaLaai {uper ke} Hisse Mai Masjid Ke Imaam Kii Rihaaish Ke Liye FamiLy Room Banane Ke MutaaLiq Shar'an Kya Hukm Hai?
🔵 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ J A W A A B - 40 ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
Masjid Ka Wo Hissa Jo Namaaz Adaa Karne Ke Liye Hai Uska Ehtiraam Zameen Kii Satah Se Lekar Fiza Tak Waajib Hai, {RadduL Muhtaar-2/428}
Agar Masjid Ke BaLaai Hisse Mai Imaam Ka FamiLy Qaurter Banaaya Jaaye To Zaahir Hai Ke Ehtiraame Masjid Ko Barqaraar Rakhna Mumkin Na Hoga, Is Liye Masjid Ke BaLaai Hisse Mai Imaam Ke Liye FamiLy Qaurter Banaana Durust Nahie,
Haan...!!! Masjid Ka Wo Hissa Jo Namaaz Ke Bajaaye Dusrii Zarooriyaat Ke Liye Hai, Jaise GhusL Khaana, BaituL KhaLaa, Mehmaan Khaana Waghairah, Inka Ehtiram Chunke Masjid Ki Tarah Waajib Nahie, Is Liye Aisii Imaaraton Kii BaLaai ManziL Par Imaam Ke Liye FamiLy Qaurter Taameer Karna Jaaiz Hai.
📓 {RadduL Muhtaar-2/430}
📓 KitabuL Fatawaa-4/230
⚡ Read follow and forward
Talib e Dua

Create by Tabrez Alam
Save file Shad Ansari
DuniYa oR AkhiRaT
Join Group +919997090918
Save file Shad Ansari
DuniYa oR AkhiRaT
Join Group +919997090918
No comments:
Post a Comment